find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Char imam Nahi Balke Ek Hi Imam Barhak Hai.

4 IMAM Barhaq nhi balke Barhaq 1 hi Imam hain Yani Imamo ke Imam Rasoolullah ﷺ.

  Quran:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ.
Allah ki baat mano or Allah ke Rasool ﷺ ki baat mano.
   [Surah An-Nisa', Ayah 59]
Ye baat QURAN me 20 se zayada baar kahi gayi hai
Es Ayat se ye Saaf waze hai ki Allah ne  Hme kisi imam ko manne ke liye nahi kaha blke
Rasoolallah ﷺ ki Pairwi karne ko kaha hai.
Or Jaha tak imamo ki baat hai to Charo (4) Imamo ne kaha.
------------------------------------
अगर मेरा फतवा कुरआन और सही हदीस के खिलाफ़ जाये तो मेरे फतवे को छोड़ देना और कुरआन और सही हदीस को मान लेना.
a:-  ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा )
b:-  अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
c:-  जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
d:- ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)
Esi liye 1 imam ko manne ki zaroorat hai yani Rasoolallah ﷺ ko
Or jub Tak ham log 1 imam yani Rasoolallah ﷺ ki baat nahi manenge tab tak ettehad (unity) nhi ho Sakti.
Hme tahqeeq karne ki zaroorat hai:
-----------------
Allah ne farmaya "Aye iman walo! Agar koi fasiq tumhare pas khabar le kar aye to uski tehqeeq kar liya Karo."
  (Surah Hujurat V# 6)
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya
------------------------------
Meri ummat me 73 firqe _Honge jisme se 1 hi Jannat me jaynge to Sahaba (Ra) ne arz kiya Ki wo kon log honge? Rasoolallah ﷺ ne Farmaya wo jo mere or mere sahaba (ra) ke tariqe pe honge.
[Tirmizi:- 2641]
Es hadees se yahi sabit hota hai ki 1 hi giroh jannat me jayega jo Rasoolallah ﷺ or sahaba (Ra)  ke tariqe pe hoga.
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya:
Namaz waise padho jis trah tum ne mujhe padhte huye dekha.
[Bukhari : 631]
Yaha Rasoolallah ﷺ ne kaha meri trah namaz pdho to
Apki Ebadat agar Rasoolallah ﷺ ki Tarah na hui to wo qubool hi nhi hogi to kya fayda aisi ebadat ka jo qubool hi na ho.
En sab Quran or hadees ki bato se yahi sabit hota hai ki
4 IMAM Barhaq nhi balke Barhaq 1 hi Imam hain Yani Imamo ke Imam Rasoolullah ﷺ.
Allah hum sabko Rasoolallah ﷺ ki taqleed (pairwi) karne ki taufeeq  de Aameen.
Jazakallahu-khairan-kaseera

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS