find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aaj ki pyari Hadeeth..

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  🔸🌟🔸 [30-01-2018] 🔸🌟🔸

وَالَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْكَ وَمَا أُنزِلَ مِن قَبْلِكَ وَبِالْآخِرَةِ هُمْ يُوقِنُونَ

And who believe in that which has been revealed to you and that which was revealed before you and they are sure of the hereafter.

Roman Urdu

aur jo log imaan laate hai us par jo aap ki taraf utaara gaya aur jo aap se pehle utaara gaya aur wo aaqirath par bhi yaqeen rakhte hai

(Quran :Surah Al-Baqara, Verse 4)

----------------------------------------
www.findmrf.blogspot.com

Share:

Aaj ki pyari Hadeeth..

♻🔘♻🔘    ﷽    ♻🔘♻🔘

🌺🍁  *Aaj ki pyari ayat !* 🌺🍁

  〰〰〰 ** 〰〰〰

*💫الَّذِينَ يُؤْمِنُونَ بِالْغَيْبِ وَيُقِيمُونَ الصَّلَاةَ وَمِمَّا رَزَقْنَاهُمْ يُنفِقُون💫َ*

*💫Those who believe in the unseen and keep up prayer and spend out of what We have given them.💫*

*❗Roman Urdu❗*

*💫jo log ghayb par imaan laate hai aur namaaz ko qayem rakhte hai aur hamaare diye hoye (maal) mein se qarch karte hai💫*

*(Quran :Surah Al -Baqara, Verse 3)🖋*

-----------------------------------------------------

Share:

MusaAlislam ke Waqiya.

: *υммαт-є-Rαѕυℓ ﷺ☝*

*وَأَوْحَيْنَآ إِلَىٰ مُوسَىٰٓ أَنْ أَسْرِ بِعِبَادِىٓ إِنَّكُم مُّتَّبَعُونَ*

तर्जुमा  *और हमने मूसा के पास वही भेजी कि तुम मेरे बन्दों को लेकर रातों रात निकल जाओ क्योंकि तुम्हारा पीछा किया जाएगा*
कुर्आन शुआरा الشّعراء अ 52

मुसा अ सलाम ने अपनी नबुव्वत का बहुत सारा जमाना उनमें गुज़ारा अल्लाह तआला की आयतें दलीलें उन पर वाज़ेह कर दी लेकिन उनका सर नीचा न हुआ उनका तकब्बुर न टुटा उनकी बददिमागी में कोई फ़र्क न आया .....✍

हजरत मुजाहिद रह० फ़र्माते हे का ..बनी इस्त्राईल ने उस मौकें पर किब्तियों से बहुत से जेवर बतौर आरियतन लिए और चाँद चढ़ने के वक्त चुपचाप चल दिये और उस रात चांद ग्रहण था
तब्री 19/ 354

हजरत मुसा अ सलाम ने रास्ता में पूछा कि हजरत यूसुफ़ अ सलाम की कब्र कहाँ है ? बनी इस्त्राईल की एक बुढ़िया ने कब्र बतला दी आपने ताबूते यूसुफ़ अपने साथ उठा लिया कहा गया है कि खुद आपने ही उसे उठाया था हजरत यूसुफ़ अ सलाम की वसिय्यात थी कि बनी इस्त्राईल जब यहाँ से जाने लगें तो आपका ताबूत अपने साथ लेते जाएं ..✍

*नबी करीम ﷺ किसी आरबी के यहाँ मेहमान हुए उसने आपकी बड़ी खातिरदारी की वापसी में नबी करीम ﷺ ने फ़र्माया कुछ चाहिए ? उसने कहा हां एक ऊँटनी दीजिए होदज के साथ और एक बकरी दीजिए जो दुध देती हो ! आप नबी करीम ﷺ ने फ़र्माया अफ़सोस तूने बनी इस्त्राईल की बुढ़िया जैसा सवाल न किया  सहाबा रजि० ने पूछा वह वाकिया क्या है ?*
हकीम 2/ 404

:

Share:

Ilm o Hikmat Ne Rashq

*सहीह बुखारी शरीफ*

*किताब इल्म के बयान में*

               *हदीस नंबर 73*

*बाब:--- इल्म व हिक्मत में रश्क (ख्वाहिश) करना*

*حَدَّثَنَا الْحُمَيْدِيُّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي إِسْمَاعِيلُ بْنُ أَبِي خَالِدٍ عَلَى غَيْرِ مَا حَدَّثَنَاهُ الزُّهْرِيُّ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ قَيْسَ بْنَ أَبِي حَازِمٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ سَمِعْتُ عَبْدَ اللَّهِ بْنَ مَسْعُودٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ ""لَا حَسَدَ إِلَّا فِي اثْنَتَيْنِ، ‏‏‏‏‏‏رَجُلٌ آتَاهُ اللَّهُ مَالًا فَسُلِّطَ عَلَى هَلَكَتِهِ فِي الْحَقِّ، ‏‏‏‏‏‏وَرَجُلٌ آتَاهُ اللَّهُ الْحِكْمَةَ فَهُوَ يَقْضِي بِهَا وَيُعَلِّمُهَا"".*

*रसूल अल्लाह ﷺ का इरशाद है के हसद सिर्फ दो बातो में जाइज है, एक तो इस सख्स के बारे में जिसे अल्लाह ने दौलत दी हो और वो इस दौलत को राहेहक में खर्च करने पर भी कुदरत रखता हो और एक इस सख्स के बारे में जिसे अल्लाह ने हिक्मत (कुरआन ओर हदीस का इल्म) से नवाजा हो और वो इसके जरिए से फैसला करता हो और (लोगो को) इस हिक्मत की तालीम देता हो,*

====================

Share:

MusaAlaislam ke Waqiya.

Musa Alaih Assalam Ka waqya in Hindi, Musa Alaih Assalam Ka waqya Hindi me

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
*शुरू करता हूं अल्लाह के नाम से जो बड़ा मेहरबान निहायत रहेम वाला है*
          *सुराह- तूल - माईदा*
*आयत नंबर :-- 21,22,23,24,25.*
*یٰقَوۡمِ ادۡخُلُوا الۡاَرۡضَ الۡمُقَدَّسَۃَ الَّتِیۡ  کَتَبَ اللّٰہُ لَکُمۡ وَ لَا تَرۡتَدُّوۡا عَلٰۤی  اَدۡبَارِکُمۡ فَتَنۡقَلِبُوۡا خٰسِرِیۡنَ ﴿21﴾*
*قَالُوۡا یٰمُوۡسٰۤی اِنَّ فِیۡہَا قَوۡمًا جَبَّارِیۡنَ ٭ۖ وَ اِنَّا لَنۡ نَّدۡخُلَہَا حَتّٰی یَخۡرُجُوۡا مِنۡہَا ۚ فَاِنۡ  یَّخۡرُجُوۡا مِنۡہَا فَاِنَّا دٰخِلُوۡنَ ﴿22﴾*
*قَالَ رَجُلٰنِ مِنَ الَّذِیۡنَ یَخَافُوۡنَ اَنۡعَمَ اللّٰہُ  عَلَیۡہِمَا ادۡخُلُوۡا عَلَیۡہِمُ  الۡبَابَ ۚ فَاِذَا دَخَلۡتُمُوۡہُ  فَاِنَّکُمۡ غٰلِبُوۡنَ  ۬ ۚ وَ عَلَی اللّٰہِ  فَتَوَکَّلُوۡۤا اِنۡ کُنۡتُمۡ  مُّؤۡمِنِیۡنَ ﴿23﴾*
*قَالُوۡا یٰمُوۡسٰۤی اِنَّا لَنۡ  نَّدۡخُلَہَاۤ  اَبَدًا مَّا دَامُوۡا فِیۡہَا فَاذۡہَبۡ اَنۡتَ وَ رَبُّکَ فَقَاتِلَاۤ  اِنَّا ہٰہُنَا قٰعِدُوۡنَ ﴿24﴾*
*قَالَ رَبِّ اِنِّیۡ  لَاۤ  اَمۡلِکُ اِلَّا نَفۡسِیۡ وَ اَخِیۡ فَافۡرُقۡ بَیۡنَنَا وَ بَیۡنَ الۡقَوۡمِ الۡفٰسِقِیۡنَ ﴿25﴾*
*21. ए मेरे कोम वालो ! इस मुकद्दस जमीन में दाखिल हो जाओ जो अल्लाह ताला ने तुम्हारे नाम लिख दी है और अपनी पुस्त के बल रुगरदानी न करो के फिर नुकसान में जा पढ़ो,*
*22. इन्होंने जवाब दिया के ए मूसा वहां तो जोरावर लोग है और जब तक वो वहां से निकल न जाए हमतो हरगिज वहां न जाएंगे हा अगर वो वहां से निकल जाए फिर तो हम (बखूबी) चले जाएंगे,*
*23. दो सख्सो ने जो खुदातरस लोगो में से थे,जिन पर अल्लाह ताला का फजल था कहा के तुम उनके पास दरवाजे में तो पहुंच जाओ दरवाजे में कदम रखते ही यकीनन तुम गालिब आ जाओगे, और तुम अगर मोमिन हो तो तुम्हे अल्लाह ताला ही पर भरोसा रखना चाहिए,*
*24. कोम ने जवाब दिया के ए मूसा ! जब तक वो वहा है तब तक हम हरगिज वहां न जाएंगे, इस लिए तुम और तुम्हारा परवरदिगार जाकर दोनो ही लड़भिड लो, हम यही बैठे हुए है,*
*25. मूसा (अलैहि सलाम) कहने लगे इलाही मुझे तो बजुज अपने और मेरे भाई के किसी और पर कोई इख्तियार नहीं, पस तू हममें और इन नाफरमानो में जुदाई कर दे,*
====================
Share:

India Me Islam Kab Aur Kaise Aaya?

Hindustan me Deen e Islam kaun Laya aur Kab aaya?

Post thoda bada hai padhne ke liye  sirf 2 minute lagenge
Is posts me kuch aisi baate hai jo 99% musalman nahi jaante hai  darasal koi unhe batane wala hai hi nahi.
kya aap jaante hai hamare pyare nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hindustan ka  adrak ka achaar khaye hai aur sahaba bhi
Hazrate Anas Razi’Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki
  Kuffar-e-Makkah Ne Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam) Se Ye Darkhwast Ki, Ke Apni Nabuwat Ki Koi Nishaani Batlaiye?
To Rasool Allah Sallallahu AlaihiWa sallam) Ne Chaand Ki Taraf Ungli Se Ishaara Kar ke Chaand Ke Tukde Ho Jana Dikha Diya
Bukhari 3637, Muslim 7076
Hazrate Abdullah Bin Masud Razi’Allahu Anhu Se Riyawat Hai Ke -
Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar Do Tukde Ho Gaya Tha, Aur Aap Sallallahu AlaihiWa sallam Ne Farmaya Tha Ke  “Logon Is Par Gawah Rahna
Sahih Al-Bukhari” Book 56, Hadith 830
Rasool Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ka ye Mubarak Mojza Dunya Bhar Ke Logon Ne Dekha, Usme Se Ek Hindustan Ke Raja Cheraman Perumal Bhi The Jo Tehkik Kar Khud Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Hatho Basharfe Islam Huve Aur Sahabi Ka Sharf Hasil Kiya
MOJZA-E-RASOOL
Chaand Ke Do Tukde Hone Par Raja Cheraman Ki Iman Lane Ki Dasta
CHERAMAN PERUMAL 622-628 CE, 1-7 Hijri
Kodungallur Kerala Ka Raja Tha. Ek Raat Apne Mahal Se Dekha Ke Aasman Me Chaand Ke Do Tukde Hogaye
  M.Hamidulla Apni Kitab “Muhammad Rasoolullah (SAW)” Me Is Waqiye Ko Bakhubi Nakal Karte Hain. Ye Kitab London Ke INDIA OFFICE LIBRARY (Refrence Number: Arabic 2807,152-173) Me Maujood Hai
Jab Kuch Log Malabar Ke Raaste China Jarahe The Unhone Cheraman Perumal Ko Ye Bayan Kiya Ke Ye ARAB Me Rahne Wale Rasool, Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Allah Ki Maddad Se Kiye Hai
Cheraman Perumal Allah Ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Baare Me Sun Kar Hairaan Hogaye. Cheraman Peruman Ne Ye Suna Tha Aur Maloom Tha Ke Ek Shakhs Arab Me Hai Jo Ek ALLAH Ki Daawat De Raha Hai  Wo Apne Aap Ko ALLAH Ka Rasool Kehta Hai,
Kuch Sahaba, Shaykh Sahirudhin ke Sath Raja Cheruman Perumal Se Mulakat Ki Aur Kaha Ke, Wo Arab Se Aye Hain Aur Wo Musalmaan Hain, Wo Srilanka Ja rahe Hain Tijarat Ke Silsile, Raja Cheraman Perumal Jo Islam Se Wakif Tha Un Sahaba Se Islam Ke Baare Me Sunkar Khush Hogaya Aur Kaha Ke Jab Wo Sahaba Wapas Arab Jayen To Use Bhi Sath Lekar Jayen
DALEEL
THUHFATHUL-MUJAH-e-DEEN By Ahmad Zainudhin Makhdum Kitab “KERALOPATHI” Me Likha Hai:
  Fir Cheruman Perumal Hajj Ke Liye Aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Milne Ke Liye Un Sahaba Ke Sath Nikal Pada
RAJA PERUMAL KA SAHABI KA SHARF HASIL KARNA
Raja Perumal Ne Nabi SallallahuAlaihi Wasallam Se Milkar, Bayt Lekar Musalman Huva Aur Apna Naam *TAJUDHIN* Rakh Liya
Abu Saeed Al-Khudri Razi’Allahu Anhu Farmate Hain Cheraman Perumal Ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko *Adrak Wala ACHAR* Diya Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Use Chakha Aur Apne Sahaba Ko Bhi Diya
Hadees Ki Kitab Al-Musthadrak; Kitab Al-Hakim Vol-4, Page-150
Cheraman Perumal, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Milkar Aur Hajj Karke Jab Wapas Laut Rahe The, To Wo Bimaar Hokar Saltanat-e-Omaan Ke Shehar Salaalah Me Unki Wafaat Hogayi,
Cheraman Raja Yaani Tajudin Razi’Allahu Anhu Ka Khath Lekar Malik Bin Deenar Razi’Allahu Anhu 13 Sahaba Ke Sath Hindustan Aaye,
Cheramal Perumal Ki Puri Kahani Ke Waqiye Ko Imam Ibn Hajar Al-Asqalani Ne Apni Kitab
AL-ISABAH Vol.3, Pg.279 Aur LISAN AL-MIZAAN Vol.3, Pg.10 Me Likha Hai
CHERAMAN PERUMAL KI WASIYAT: HINDUSTHAN ME ISLAM KI DAWAT
Cheraman Perumal Ne Apni Wafaat Se Pahle Apne Shehar Walon Ko Ek Khat Likhkar MALIK BIN DINAR Razi’Allahu Anhu Jo Ki Sahaba-e-Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Se The, Unke Haaton Dediya,
Aur Kaha Ke Wo Kerala Jakar Islam Ko Failaye Aur Ek Masjid Tameer Kare. Malik Bin Dinar: A’imaa Aur Fuqaha ne Unhe Hadees Ke Tehkeek Me Ek Bharosemand Raawi Kaha Hai.
Malik Bin Dinar Razi’Allahu Anhu Qabul Shehar Me Paida Huve, Aur Wo Ek Parsi Ghulam Ke Bete The
  Malik Bin Dinar Razi’Allahu Anhu 99 Ki Umr Me Shehar-e-Basra Me Unki Wafaat Huvi (748 C.E)
  Hindustan Me Sabse Pehle Islam Lanewale Malik Bin Deenar Razi’Allahu Anhu Hi The
HINDUSTAN ME PEHLI MASJID*
Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ne Pahli Masjid Hindustan Me 629 C.E Me Kodungallur Thrissur, NH17, Kerala Ke Shehar Me, Raja Varma Kulashekhara Jo Ki Hindustan Ka Pehla Musalman Tha, Uski Madad Se Is Masjid Ko Banaya, Is Masjid Ko Banane Ke Liye Raja Rama Varma Kulashekhara Ne Arathali Namak Ek Jagah Masjid Ke Liye De Di,
Malik Bin Dinar Is Masjid Ke Qazi Bane Rahe, Baad Me Habib Bin Malik Is Masjid Ke Qazi Bane. Is Masjid Ko *CHERAMAN JUMA MASJID* Kahte Hain
Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai. Malik Bin Dinar Ne Hindustan Me Dusri Masjid, Takreeban *642 C.E* Me Thalangana, Railway Station Rd, Kasaragod, Kerala Me Tameer Kiya. Is Masjid Ko *MALIK-IBN-DINAR MASJID* Kahte Hain. Ye Masjid Aaj Bhi Maujood Hai
Rasool’Allah Sallallahu AlaihiWa sallam Ki Wafaat 632 C.E Me Huvi, Aur Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Hindustan 629 C.E Me Aaye Aur Islam Ki Dawat Aam Ki, Masjiden Tameer Ki -
  Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ki Aamad Ke Waqiye Aur Saboot Se Ye Maloom Hota Hai Ke Rasool’Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dour Me Hi Islam Hindustan Me Malik-Bin-Dinar Razi’Allahu Anhu Ke zariye Aa Chuka Tha.
Kuch na samajh logo ka kahna hai Hindustan Me khwaja nahi Aate to deen kaha se Aata tha mere Bhai khwaja kab paida huwe 1142 me aur wafat 1236 me Hindustan Me deen to unse 600 saal pahle aa chuka tha 629 me bani ye Masjid gawah hai,.
AZMAT SIRF ALLAH KA HAQ​
Share:

Har ladka apne Haqeeqe ke Badle me Girwi rakha hua hai.

*Assalamu Alaikum wa*

                                  *Rahamatullahi wa*

*Barakatahu*

_______________________________

                          *Bismillahirrahmanirrahim*

 *Har ladka apne aqeeqe ke badle mein girwi rakha hua hai , isliye uski taraf se saatwe din Qurbani ki jaye*
*Umm Kurz Radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya (Aqeeqe ke liye) ladke ki taraf se do bakre hain hai aur ladki ki taraf se ek, aur is koi farq nahi padhta ki wo (bakre) nar (male) ho mada (female)*
*Sunan Abu Dawud, Vol 2, 1062-Sahih*
*Samurah ibn Jundub Radi allahu anhu se riuvayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya har ladka apne aqeeqe ke badle mein girwi rakha hua hai , isliye uski taraf se saatwe din Qurbani ki jaye aur uska sir mundwaya jaye aur uska naam rakha jaye*
*Sunan Abu Dawud, Vol 2,1065-Sahih*
*Salman bin Amir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ladke ke liye aqeeqa hai isliye uski taraf se qurbani karo aur uski takleef dur karo*
*Sunan Abu Dawud, Vol 2,1066*
___________________________
Share:

Tutlane Aur Haklane Ki wajah Kya Hai? ise Kaise Door Kare?

Stammering (Haklaahat) ek Psychological (Dimagi) Bimari hai.

Bahot se logo ko Haklaane yani ruk-ruk kar baat karne ki adat hoti hai jisko Stammering kaha jata hai. Is bimari me bachho se lekar Budhe tak shamil hote hai.
 Haqiqat me stammering koi Jismani yani Zuban ki bimari ka naam nahi hai balke ye ek Psychological (Dimagi) bimari hai jo 100℅ curable hai.
 Is bimari ko jad se khatm karna ho to insan ko DIMAGI (PSYCHOLOGY) TAUR par strong hona padega. In shaa'a ALLAH, dhire dhire se is bimari ko khatam kiya jaa sakta hai.
❓ *YE BIMARI KYUN AATI HAI?
1. Iski sabse pahli wajah EHSAASE KAMTARI KA SHIKAR HO JANA HAI jisko INFERIORITY  COMPLEX* kaha jata hai yani *DUSRO KO apne se ZYADA BADA aur HOSHIYAR SAMAJNA aur KHUD KO KAMTAR SAMJNA.
2. Is EHSAASE KAMTARTI ki wajah se INSAN ke DIL me darr paida hota hai aur baat karte waqt DIL DHADAKNE LAGTA hai aur Saanse phulne lagti hai aur dimaag me sonch aati hai ke mai baat karunga to kahi log hasenge to nahi ya kahi mazak to nahi udayenge is wajah se baat ruk-ruk kar nikalti hai jisko HAKLAANA kaha jata hai.
❓ *ISKA ILAAJ kya hai?
1. Sabse pahle Allah se dua mange ke ALLAH mujh me HIMMAT ataa kare.
2. Hamesha baat karne se pahle ye dua padhe:
   Surah 20 Taha: Ayat 25-28.*
3. Apni Baat karne ki speed ko kam kiya jaaye aur jumlo ko tod tod (break) ke slow speed se baat kiya jaaye.
◼Jab ye practice aap kuchh mahino ke liye karoge to In shaa'a ALLAH kuchh hi mahino me aap is bimari par kaabu paaloge.
4. Aap gaur kijiye ke kin alfaazo ko adaa karne me rukaawat aarahi hai un alfaazo ko akele me MIRROR KE SAMNE THAHERKAR PRACTICE KI JAAYE.
5. Is bimari ka shikar ho aur agar aap Teacher, Lecturer, Professor ya Salesman ho to jo Lesson aapko kal Class me Padhana ho ya Customer se jo dealing wali baat karna to us lesson ko ya us baat ko ek baar mirror ke Samne akele me practise karke jaaye taake Dil me ka darr nikal jaaye aur actual situation me apko baat karne me fluency bhi aajaayegi.
Khulasa:
Stammering bas ek Zaheni dar ka naam hai jo apko baat karne me rukaawat paida karta hai. Proper training aur counselling se ye masla bilkul 100℅ hal hosakta hai.
Agar ye Jismani bimari yani apki zuban me kuchh fault ya defect hota to jab aap bachho se aur ekele me baat karte waqt bhi haklaahat hona chahiye tha lekin aap akele me jab koi geet ya song acche se gaa lete ho lekin public me aate hi haklaahat paida hojaati hai. Jaisa ke apka hath agar fracture hota hai to akele me bhi dard hota hai aur public me bhi dard hota hai. Isko jismani bimari kahte hai lekin 99 cases me stammering ek Mental yani psychological problem hota hai.Allahu Aalam Bis-Sawab.

Share:

Buri Najer lagna Haque Hai

*🌿🌻Assalamu Alaikum wa*
*Rahamatullahi wa*
*Barakatahu🌻🌿*
______________________________
*🌻Bismillahirrahmanirrahim🌻*

*👉Buri💀 Nazar lagna haq hai🌿🌻*

*👉Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Buri Nazar lagna haq hai aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Jism par godne (tattooing) se mana farmaya.🌿🌻*

*👉📘Sahih Bukhari, Vol 7, 5740*

*👉Umm Salama Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne inke ghar mein ek ladki dekhi jiske chehre par kaale dhabbey(Black spot) Padh gaye they , Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya is par dam kara do kyunki isko nazar lag gayee hai🌿🌻*

*👉📘Sahih Bukhari, Vol 7, 5739*

*👉Ibn Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Hussain wa Hasan radi allahu anhuma ke liye panaah talab kiya kartey they aur farmatey they ki tumharey buzurg Dada (Ibrahim Alaihi salam) bhi Ismaeel aur Isaac (Alaihi salam) ke liye inhi kalamat ke jariye Allah ki panaah maanga kartey they.🌿🌻*

*👈أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّة🌿🌻ٍ*

*👉Aawuzu bikalimatillahit-tammah*
*Min kulli shaytaaniw wa hammah*
*Wamin kulli aynil Aammah🌿🌻*

*👉(Main Panaah maangta hun Allah ki pure purey kalamat ke jariye, har shaitan se aur har zahreeley janwar se aur har nuksan pahunchaney wali nazar-e-bad se.)🌿🌻*

*👉📘Sahih Bukhari,Vol4,3371*
______________________________

Share:

Aaj ki pyari Hadeeth.

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

  🔸🌟🔸 🔸🌟🔸

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Jis ke paas tiin ladkiyan ho,aur wo unke hone pe sabr kare,unko apni kamaa'i se khilai pilai aur pehnai,to wo us shakhs ke liye qeyaamat ke din jahañnam se aad hogi -

English

Allah's Messenger (ﷺ) said, "

"Whoever has three daughters and is patient towards them, and feeds them, gives them to drink, and clothes them from his wealth; they will be a shield for him from the Fire on the Day of Resurrection.'"

 Grade: Sahih (Darussalam)

[ Sunan Ibn Majah : 3669 ]

----------------------------------------

Share:

Salatul Tasbeeh Kya hai? Salatul Tasbeeh Ki Namaj Padhne Ki Fazilat.

Salatul Tasbeeh Kaise Padhe Iske Padhne Ki fazilat.

SalaTul Tasbeeh Ye Namaz Zindagi me Ek Baar To Zarur Padhe Agle Pichle Chote Bade Sab Gunah Muaf Ho Jayenge in shaa Allah
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
Hazrat Ibn Abbas Razi  Allahu Anhuma se rivayat hai ki
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abbas se farmaya
Mere chacha kya main aapko ek atiya na karu ? kya Ek hadiya na du ? kya ek Tohfa pesh na karu ?
kya main aapko aisa amal na bataun ki jab aap isko karenge to aapko 10 fayde hasil honge
Yani Allah ta"ala aapke Agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huve , jaan bujh kar kiye huve, chote, bade, chup kar kiye huve aur khullam khullah kiye huve sab gunaah maaf farma denge.
Wo Amal ye hain ki Aap 4 rakaat "Salatul Tasbeeh" padhe aur har rakaat me surah fatiha aur dusri koi surat padhe jab aap pahli Rakaat me Qirat se farig ho jaye to rukun se pahle 15 baar ye pad le
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكب
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar
Phir ruku kare aur ruku me bhi yahi kalmaat 10 baar padhe
Phir ruku se uth kar qoma me bhi 10 baar yahi kalmaat padhe
Phir sazde me jaye aur 10 baar yahi kalmat padhe Phir sazde me uth kar jalse me 10 baar yahi kalmaat kahe.
Phir dusre sazde me bhi yahi kalmaat 10 martaba kahe Phir dusre sazde ke baad bhi khade hone se pahle 10 martaba yahi kalmaat kahe
Charon rakaat isi tarah padhe aur is tarah se har rakaat me ye kalmaat 75 "15+10+10+10+10+10+10" baar kahe
Mere chacha Agar aapse ho sake to rozana ye namaz ek martaba padha kare ,Agar rozana na pad sako to Juma ke din pad liya karo
Agar aap ye bhi na kar sako to Mahine me ek baar pad liye karo
Agar aap ye bhi na kar sako to Saal me ek baar pad liye karo
Agar ye bhi na ho sake to zindagi me ek baar padh liya karo
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1284 - Sahih,
Sunan Ibn majha - Vol 1 , 1387 - Hasan,
Arabic English text: (Sahi Sanad )
Tehqeeq:
Is Hadees ki sanad ka Tehqeeqi Jayeza
Sunan Abu Daood jild-1 safa-184 kitab al salat hadees no-1105,1297,
Jamai Tirmizi jild-1 safa-63 kitab Al salat hadees no-443,479,
Sunan Ibn Maza jild-1 safa-100 kitab Ikamat Al salat hadees no-1387,1386,1376,3177 "ASanad sahi"
Is Hadees ko “Sahii” Kehne wale  Muhaddaseen hai
1 . Abu Dawood,,
2  .Ibne Hajr Asqlani (Anukat vol.2 pg.848-850,
3  Al-Aajari,
4  As-Sum’aani,
5. al-Madini,
6. al-Mundthiri,
7. Abul-Hasan al-Mundthiri,
8. Ibn As-Salaah,
9. Ad-Dailami,
10. Al-Haakim,
11. Al-A’laali,
12. Az-Zurkashi,
13.Al-Muhaamili,
14. Abul-Hasan al-Muqdasi,
15. al-Juwaini,
16. Al-Baghawi,
17. Ar-Ra’fiee’,
18. Al-Haitami,
19. As-Su’youti,20. Al-Luknawwi,
Aaj ke dour ke Bade Muhaddaseen ne bhi is Hadees ko “Hasan” kaha
1. Muhaddase Shiek Nasruddin Albani ne is hadees ko Hasan kaha "sahih al taghrib wa tarhib"
2. Muhaddis SHAKIR ne bhi is hadees ko sahii kaha,
3. SHEIK MUBARAKPURI Ne is hadees ko Hasan kaha "Mura’at al mufa teh Sareh Miskat Al musabiya jild-4 safa-374 .,
4. Muhaddis Shieik Zubair Ali zai bhi Is hadees ko Hasan kaha ”Sunnan Abu Dawud,Published by Dar us Salam, Volume No.2, Page No. 96"
Muhaddaseen ke view ye hai salatul Tasbeeh ke bareme,
1. Imam Tirmizi kehte hai Zyada se Ulama me aur Unme se Abdullah Bin Mubarak Is salatul Tasbeeh ki namaz ke kayal the "Tirmidhi vol.2 pg.348; Hadith 481.*
2. Imam Baihqi kehte hai ke ye Salatul tasbeeh ki Namaz "Muhaddis" Abdullah Bin Mubarak ka amal tha aur salaf me bhi ye amal tha "Shu’ubul Imaam vol.1 pg.427; Ilmiyyah,
3. Allaamah Munzhiri (RA) kehte Bahut sare Muhaddaseen is Qayal the wo ye log hai
1. Imaam Abu-bakr al-Ajurriy,
2, Imaam Abu Muhammad al-Misriy "Ustaadh of Allaamah Munzhiri"
3, Hafiz Abul-Hasan Maqdisi "Ustaadh of Allaamah Munzhiri",
4, Imaam Abu-Dawud,
5. Imaam Haakim. "Targheeb vol.1 pg.468"
Imam Muslim ne farmaya: Is mamle me Rawiyon ke sahih sanad ke saath isse "yani Ibn Abbas ki riwayat se" behtar koi hadees nahi hai
Imam Suyuti kehte hai 20 jalilul Qadr Muhaddaseen ne bhi Is hadees ko sahii kaha wo ye log hai
6.Hafiz Abu-Sa’eed al-Sam’aaniy,
7. Hafiz Khateeb al-Baghdaadiy,
8, Hafiz ibn-Mandah,
9, Imaam Bayhaqi,
10, Imaam al-Subkiy,
11, Imaam al-Nawawiy,
12, Haafiz ibn al-Salat,
13, Hafiz Abu-Musa al-Madiniy,
14, Hafiz al-Alaaeiy,
15, Imaam Siraaj-ud-Deen al-Bulqiniy,
16, Hafiz al-Zarkashiy and a few others. ,al-Laalil Masnoo’ah vol.2 pg.42-44,
6.Ibne Hajr Asqlani kehte hai Ahmed Bin Hambal ne Unke Ray "Opinioun" Ko Baad me Ruju karliye the Futuhaat al-Rabbaaniyyah vol.4 pg.318, 320,
Share:

Bakhil-w-kanjus kaun hai.

Bukhl wa kanjoosi  

Bukhl wa kanjusi ye hai hai ki jis chiz ka kharch karna shari'at ya muravvat wa sharafat ke takaze se zaruri ho usme kharch karne me tangdili kare ab agar kharch karna farz ya wajib ho maslan zakat, sadqa, fitar, Qurbani, ya walidain aur biwi baccho ke wajib huqook wagairah to yeh bukhl haram aur sakht gunah hai aur agar sharafat wa muravvat ka takaza ho kharch kare aur kharch na kiya to ye haram nahi hai lekin khilaf ula hai aur aise bukhl se bhi momin ko bachna chahiye
Allah Taa'ala ka irshad hai ; aur jo shakhs bukhl karta hai to apne aapse bukhl karta hai
SURAH MOHAMMAD -38!!
Aur Allah taa'ala irshad farmate hai , jo shakhs apne nafs ke bukhl se bacha liya gaya to yahi log poore kamyab hai  SURAH TAGABUN-16 !!
Hazrat abu hurairah (ra.) Se revayat hai ki NABI SWS ne irshad farmaya ki sakhi Allah se kareeb hai jannat se kareeb hai logo se kareeb hai aur bukhl Allah se door hai jannat se door hai logo se door hai Jahannum se kareeb hai aur jahil sakhi Allah ki bakheel ibadat guzar se zyada mehboob hai
TIRMIDHI SAFHA 381 JILD 3 !!
Hazrat abu saeed khuzri (ra.) Se revayat hai ki RASOOL ALLAH SWS ne irshad farmaya ki do khasalte kisi momin me nahi jama ho sakti :Bukhl aur Bad-akhlaqi
TIRMIDHI SAFHA 381 JILD 3!!!!
Hazrat abu baqr siddiq (ra.) Se revayat hai ki NABI SWS ne irshad farmaya ki jannat me Dagabaz, farebi, ehsan, jatlane wala aur bakheel dakhil hoga
TIRMIDHI SAFHA 370 JILD 3 !!!
JAZAKALLAH KHAIRAN KASEERAN
Share:

Kya Babar par kuchh likhna jayeg hai.

A͓̽s͓̽s͓̽a͓̽l͓̽a͓̽m͓̽u͓̽a͓̽l͓̽a͓̽i͓̽k͓̽u͓̽m͓̽ w͓̽a͓̽r͓̽a͓̽h͓̽m͓̽a͓̽t͓̽u͓̽l͓̽l͓̽a͓̽h͓̽i͓̽ w͓̽a͓̽b͓̽a͓̽r͓̽k͓̽a͓̽t͓̽h͓̽u͓̽💖✨

K͓̽y͓̽a͓̽ Q͓̽a͓̽b͓̽r͓̽ P͓̽a͓̽r͓̽ L͓̽o͓̽h͓̽e͓̽ K͓̽i͓̽ P͓̽l͓̽a͓̽t͓̽e͓̽ Y͓̽a͓̽ P͓̽a͓̽t͓̽h͓̽a͓̽r͓̽ W͓̽a͓̽g͓̽a͓̽i͓̽r͓̽a͓̽h͓̽ K͓̽a͓̽ T͓̽u͓̽k͓̽d͓̽a͓̽ R͓̽a͓̽k͓̽h͓̽n͓̽a͓̽ A͓̽u͓̽r͓̽ I͓̽s͓̽ P͓̽a͓̽r͓̽ A͓̽y͓̽a͓̽a͓̽t͓̽ Q͓̽u͓̽r͓̽a͓̽n͓̽i͓̽ K͓̽e͓̽ S͓̽a͓̽t͓̽h͓̽ S͓̽a͓̽t͓̽h͓̽ M͓̽a͓̽y͓̽y͓̽a͓̽t͓̽ K͓̽a͓̽ N͓̽a͓̽a͓̽m͓̽ A͓̽u͓̽r͓̽ T͓̽a͓̽r͓̽i͓̽k͓̽h͓̽ W͓̽a͓̽f͓̽a͓̽t͓̽ L͓̽i͓̽k͓̽h͓̽n͓̽a͓̽ J͓̽a͓̽i͓̽z͓̽ H͓̽a͓̽i͓̽❓

B͓̽i͓̽s͓̽m͓̽i͓̽l͓̽l͓̽a͓̽h͓̽ h͓̽i͓̽r͓̽r͓̽a͓̽h͓̽m͓̽a͓̽a͓̽n͓̽ n͓̽i͓̽r͓̽r͓̽a͓̽h͓̽e͓̽e͓̽m͓̽💖✨

Mayyat Ki Qabr Par Likhna Jaiz Nahi Khuwah Qurani Ayaat Ho Ya Kuch Aur Ho  Lohe Ki Plate Par Likhna Jaiz Hai Na Lakri Ya Pathar Ki Takhti Ya Kisi Aur Chez Par 💖✨

Kyunki👇

Hazrat Jabir R.A. Se marvi Hai Ki Nabi kareem s.a.w Ne Mana Farmaya Ki:💖✨

"Qabr Ko Pukhta Banaya Jaye' Is Par Betha Jaye Aur Is Par Emarat Banai jaye ( in Kano se mana farmaya) hai 💖✨

Sahi Muslim 970📚

Aur Aik Rivayat Mai Yah Alfaz Bhi Marvi Hain Ki 👇

Rasul s.a.w Ne Is Se Bhi Mana Farmaya Ki:👇

"Qabr Par Likha jaye."💖✨
 
At-Trimithi ,1052📚

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

🇦​🇱​~ 🇮​🇸​🇱​🇦​🇭​

🅙🅐🅩🅐🅚🅐🅛🅛🅐🅗 
🅚🅗🅐🅘🅡

🅢🅗🅐🅡🅔 🅨🅞🅤🅡 🅕🅐🅜🅘🅛🅨 🅐🅝🅓 🅕🅡🅘🅔🅝🅓🅢

Share:

Ahlehadeeth ka Founder kaun hai....

📮 *AHLE HADEES KA FOUNDER (BAANI) KAUN HAI?*

📗 08-05-1439 H.

🌷BismillahirRahmanNirRaheem🌷

🌀 Jaisa ke jab HANAFIYAT ki baat aati hai to hamare zahen me IMAM ABU HANIFA (Rahamahullah) ka naam aata hai kyunke HANAFIYAT ka taluq Imam Abu Hanifa se hai.

Usi tarah jab AHLE HADEES ka naam aata hai to logo ke
Zahen me ANGREZO ka daur ata hai kyunke log samjte hai ke AHLE HADEES ANGREZO ki paidawar hai lekin dar haqiqat
*AHLE HADEES* ke *Imam* aur *Founder Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam)* hai kyunke AHLE HADEES koi NAYA FIRQA nahi hai kyunke *AHLE HADEES* ka buniyadi naam SAHABA ki Jamat yani *AHLE SUNNAT WAL JAMAAT* hai is lijaaz se *AHLE HADEES* us *ORIGINAL ISLAM* par qayam hai jo Islam Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) par Allah ki janib se Nazil kiya gaya tha.

🌀 Dusre jitne bhi Firqe hai WO sab ek ek karke AHLE SUNNAT WAL JAMAAT yani AHLE HADEES ke raaste hat gaye hai.

🌀 Han ek baat yad rakhiye ke *JAMIAT E AHLE HADEES(JAH)* Angrezo ke daur me register hui hai. Arabic me *Jamiyat* yani *ORGANIZATION* jisko *TANZEEM* kaha jata hai.

🌀Isliye *JAH* India me AHLE HADEES ki ek *TANZEEM* ka naam hai lekin *AHLE HADEES* ek *MANHAJ* ka naam hai.

🌀AHLE HADEES  duniya bhar me kai sifaati naamo se jaane jaate hai jaisa ke AHLE SUNNAT WAL JAMAT, SALAFI, AS'HABUL HADEES, AHLE ATHAR, FIRQE NAJIYA, TAYFA MANSOORA wagaira.

🌀 Dar asal *Ahle Hadees* ek laqab hai un Musalmano ke liye hai jo *khalis QUR'AN WA HADEES* par amal karte hai.

🔹🔹🔹 *Allahu Aalam Bis-Sawab.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

🖌 *Published by :*

_*Roman-Urdu Islamic Blog*_

💫 *SIRF - _Salsabiil Islamic Research Foundation._

Share:

Seerat-E-Nabi (Part 1)

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

(Shaan e Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam )
Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusre ko zor se bolte ho unke roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynege aur tumko khabar bhi na hogi.
Surah Al-Hujraat, (49), 2.
Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko bulane ko aisa khayal na karna jaisa ki tum Aapas mein ek dusre ko bulate ho. Beshak ALLAH ko ye malum hai jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log unke hukm ki mukhalifat karte hain unko darna chahiye ki un par koi Aafat padh jaye ya takleef dene wala azab nazil ho,].
Surah An Noor (24) , 63.
Nabee (sallallahu alaihi wasallam ) momeeno par unki jaano se bhi Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain.
Surah-Ahzab, (33), 6*
Aur humne Aapko ( Aap sallallahu alaihi wasallam ko) tamam jahano ke liye rahmat bana kar bheja hai
Surah Al-Anbiya (21), 107.
(Oh Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) Aap farma djiye agar tum ALLAH se muhabbat rakhte ho to meri pairwi karo taaki Allah tumse muhabbat kare aur tumhare gunah bakhshe aur ALLAH bakhshne wala meharban hai.
Share:

Biddati Aalim ku burai karte waqt pahle uski tariff byan krna kaisa hai...

Bidati Aalim ki Burai bayan karte waqt pahle uski Tarif bayan karna kaisa hai?

BismillahirRahmanNirRaheem
Dawati kaam karte waqt hamari niyat saaf hoti hai lekin ham ye samajte hai ke kisi Mushrik aur Bidati Aalim aur Da'ee ki burai bayan karne se pahle uski achhaeeyo ko logo ke samne bayan kiya jaaye aur baad me uski buraiya wazeh kiya jaaye taake Dawati kaam me zyada kamiyabi mile. Lekin aisa karna na hi Sunnat-e-Rasool hai aur na hi Salaf ka tariqa hai.
Misal ke taur par, ek Ahle Hadees Da'ee ko jab ye *"Kya Maulana Maududi ki Tafseer padh sakte hai?"* sawal puchha gaya tab us Da'ee ne jawab dete huye pahle Maulana Maududi ki Tarif bayan karte huye kaha ke  *"Maulana Maududi ek Aalim guzre hai, isme koi shak nahi ke Maulana Maududi ne Deen ki kaafi khidmat ki hai, Unki kitabein padhkar bahot sare Musalman Maghribi tahzeeb se mutassir hokar murtad hone se bach gaye wagaira wagaira... iske baad unone Maulana Maududi ke Kitabo ki buraiyo ko wazeh kiya".*
Lekin haqiqat me, Bidati Aalim ki burai bayan karne se pahle uski tarif bayan karne wala kaam uski burai bayan karne wale kaam se zyada khatarnaak hota hai kyunke Insan ke fitrat me ye hota hai ke wo dusro ke buraiyo ko nazar-andaaz karke achhaiyo ko apnata hai. Waise bhi har Insan me kuchh na kuchh achhaiya paayi jaati hai jaise Akhlaq, Hamdardi, Welfare wagaira lekin kya sirf Akhlaq aur hamdardi ke bina par koi Insan Jannat me dakhil kiya jayega? Jannat me dakhil hone ke liye *KHALIS TAWHEED aur KHALIS ITTEBA E RASOOL* ka paya jana laazim hai. Isliye *TAWHEED aur ITTEBA-e-Rasool se badhkar koi neki nahi hai.* Koi insan in 2 nekiyo ko chhodkar baaki dusre nekiyo ko anjaam de raha ho to uski un dusri nekiya bekar hai waise bhi *Mushrik aur Bidati Ulema aur unke Da'ee TAWHEED aur ITTEBA E RASOOL se khali hote hai.
To hame chahiye ke logo ke samne Mushrik aur Bidati Ulema aur unke Da'eeyo ki sirf burai bayan kar kyunke KUFR, SHIRK aur BIDAT sabse bade gunah hai.
Share:

Darood-E-Ibrahimi.

*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*

🍀 *DAROOD E IBRAHEEMI* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

*✨اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ.✨*
  *✨اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيد.✨ٌ*

🌴 *English* 🌴

  *✨O Allah ta"ala! Send Your Mercy on Muhammad sallallahu alaihi wasallam and on the family of Muhammad sallallahu alaihi wasallam, as You sent Your Mercy on ibraheem alaihessalam and on the family of ibraheem alaihessalam , for You are the Most Praise-worthy, the Most Glorious.✨*

  *✨O Allah ta"ala! Send Your Blessings on Muhammad sallallahu alaihi wasallam, and the family of Muhammad sallallahu alaihi wasallam, as You sent your Blessings on ibraheem alaihessalam and on the family of ,ibraheem alaihessalam for You are the Most Praise-worthy, the Most Glorious.'✨*

💐 *sahih al bukhari* 💐
💐 *hadith : 3370* 💐

🌹 *please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Bachpan ki 5 Aadatein mehboob

 *Bachchon ki paanch (5) adatein mehboob*❓

 *Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*
 *Romanised By: Umar Asari*

Logon mein yeh baat phailai jaa rahi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bachchon ki paanch adatein mehboob thin .
riwayat ka matan is tarah se hai:
إنِّي‌ أُحِبُّ مِنَ الصِّبْيَانِ خَمْسَةَ خِصَالٍ: الاَوَّلُ أَنَّهُمْ البَاكُونَ، الثَّانِي‌: عَلَي‌ التُّرَابِ يَجْتَمِعُونَ، الثَّالِثُ: يَخْتَصِمُونَ مِنْ غَيْرِ حِقْدٍ، الرَّابِـعُ: لاَ يَدَّخِرُونَ لِغَدٍ، الخَامِسُ: يَعْمُرُونَ ثُمَّ يُخْرِبُونَ.
*Riwayat ka Maf-hoom:*
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Mujhe bachchon ki paanch adatein bohot pasand hain .
(1) Woh roo kar mangtey hain aur apni baat manwa letey hain.
(2) Woh matti se khailtay hain aur ghuroor or takabbur khaak mein mila detey hain.
(3) Jo mil jaye kha letay hain ziyada jama ya zakheera karney ki hawas nahi rakhtay.
(4) Lartay hain jhagartey hain aur phir sulah kar letey hain yani dil mein hasad, bughz aur keena nahi rakhtay.
(5) Matti ke ghar banatay hain. Khail kar gira detey hain yani woh batatay hain ke yeh duniya baqi rehne wali nahi balkay khatm ho janey wali hai.
*Yeh baat hadees ki kisi kitaab mein maujood nahi hai yahan tak ke zaeef or mauzo (mangharat) mein bhi nahi.* Tab sawal yeh paida hota hai ke phir kahan se logon mein yeh baat mash-hoor ho gayi?
Meiney is ka bohat pata lagaya to maloom howa ke yeh baat Shia ki kitaab mein maujood hai woh log isay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karkay bayan kartey hain jabkay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se aisi baat saabit nahi hai.
Yeh baat mash-hoor *Shia Aalim Syed Nematullah Jazairi* jo ke Shia ke darmiyan Syed Jazairi ke name se Maroof hai us ki kitaab *“Zahrurrab’e”* mein page no 259 pay mazkoor hai. Phir wahan se deegar Shia kutub mein naqal ki gayi. Yahan tak ke social media Twitter, Facebook waghera ki Shia websites pay bhi khoob share ki gayi hai.
Allah Ki Panah.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

Ayeb poshi karna seekhen.

AYEB POSHI KARNA SEEKHEN

 Tehreer : Shaykh Abdul Ghaffar Salafi , Banaras​*
Transliteration By: Bint e Iqbal​
_________________________
Hum mein se har insaan ki zindagi ki kitaab mein kuch aise awraaq (panne) zaroor hote hain jinhein hum kabhi manzar e aam par lana pasand nahi karte. Aise lamhe har insaan ki zindagi mein atey hain jab woh nafs ki pairwi mein ya shaitan ke behkawe mein aa kar aisi harkatein kar baithta hai jin par woh poori zindagi pachtata hai. Hamare aamaal ki yeh siyaahiyan agarche hamare safayed aur ujle kapdon mein nazar na aati hon magar us zaat ko to hamare ek ek pal ki khabar hai jo A'alimun bizaatis sudoor hai (yani seeno me chhupi baato ko janne wala), uski rehmat dekhiye ke woh apne Afoo (maaf karna) aur karam se hamare un ayebon par parda daal kar hamein ruswa hone se bacha leta hai, agar woh aisa na karta aur hamare tamam aamaal aur harkaat manzar e aam par aa jate to hum mein se har shakhs soche ke aaj muashre (society) mein uski kya position hoti? ​
Azeezan e Girami! jab Allah ne hamare be shumaar ayebon par parda daal rakha hai to kya yeh baat hamein Zeb deti hai ke hum dusron ki jasoosi karte phiren, unke naqais (kamiyon) aur ayebon ko talaash karen aur phir unhen muashre mein beizzat karen. Zara sochiye agar izzat o zillat ka maamla Allah ne insanon ke haath mein diya hota to hum mein se koi shakhs apne hareef (dushman) aur muqabil ko kabhi ba izzat zindagi guzaarne hi na deta aur shayad har shakhs zillat o khwari ki zindagi guzaar raha hota. Yeh to us kareem ki shaan e kareemi hai ke usne izzat o zillat apne haath mein rakhi hai :
"Tu jise chahe izzat de aur jise chahe zillat de, tere hi haath mein sab bhalaiyan hain beshak tu har cheez par Qadir hai ."
*( Al- Imran : 26 )*
Aaj duniyawi mukhalfaton aur mukhasamaton (jhagdon) mein har shakhs apne dushman ki izzat ke suraagh me hai, uski aabroo uchhaalne mein masroof hai, uske ayebon ka dhindhora peetne mein laga hai. Magar yaad rakhiye yeh cheeze mominana kirdaar ke manafi (ulat) hain. Ek momin to hamesha apne momin bhai ke ayebon par parda dalta hai taake kal qayamat ke din Rabbul Alameen khud uske ayebon par parda daale. Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasalam farmate hain :
"Jo bandah duniya mein kisi bande ke ayeb chupayega qayamat ke din Allah uske ayeb chupayega."
*( Sahih Muslim : 2590 )*
Yahi wajah hai ke dusron ki tooh mein lagne aur jasoosi karne se hamari Shariat mein sakhti se mana kiya gaya hai. Allah ke nabi sallallaho alaihi wasalam farmate hain :
" agar tum logon ki posheeda baton ke peeche padoge, to tum unmein fasaad paida kar doge, ya qareeb qareeb fasaad ke halaat paida kar doge" .
*( Abu Dawud : 4888 Sahih by Al-Albaani)*
Aaj hamara haal yeh hai ke kisi ke ikhlaq o aadaat se mutalliq agar koi naazeba (namunasib) baat hamein maloom hoti hai to hum usey fauran muashre mein phailaane mein lag jate hain. Jab ke yeh bohat bada gunah hai, iska azaab akhirat ke sath sath duniya mein bhi milta hai. Allah Ta'ala farmata hai :
"Jo log musalmanon mein behayaai ki baat phailane ke arzoo mand rahe hain unke liye duniya aur akhirat mein dard naak azaab hai Allah sab kuch jaanta hai aur tum kuch bhi nahi jante."
*( An-noor : 19 )*
is aayat ki Tafseer mein Hafiz Ibn e kaseer ne musnad Ahmed ki ek hadees naqal ki hai. Hazrat Saubaan kehte hain ke Allah ke Rasool sallallaho alaihi wasalam ne farmaya :
" Allah ke bandon ko iza (takleef) na do, unhen aar na dilao (kisi bure amal par sharm dilana), unki khufia baton ki tooh mein na lagey raho. Jo shakhs apne musalman bhai ke ayeb tatolega Allah uske ayebon ke peeche pad jayega aur usey yahan tak ruswa kerega ke uske ghar wale bhi usey buri nazar se dekhne lagenge ".
*(Musnad Ahmed : 5 / 289)*
*(Sheikh Albani Rahimaullah ne is hadees ko Sahih Ibn Majah me hadees no. 2546 par zikr kiya hai.)* 
Azeezan e graami !
Zara in nusoos ki roshni mein hum apna muhasba ( jaaiza) karen. Aaj har shakhs dusron ki ayebjoi ko apna pasandeeda mashghalah (shauq aur aadat) banaye hue hai. Dusron ke aib par parda daalna to door ki baat hai hamein kisi ka aib maloom ho jaye to hum usey sar e bazaar beizzat karne par tul jate hain. Kaash hum yahi soch kar dusron ki ayeb poshi karte ke kal qayamat ke din hamein is baat ki shadeed zaroorat hogi ke Rabbul Alameen hamare ayebon par parda daal kar hamein ruswa hone se bacha le. Allah hamein is haqeeqat ko samajhney ki taufeeq ataa farmaye .
Share:

Logo me phaili 40 galatfehmiyan...

*ꙮLogon Mein Phaili 40 Ghalat Fehmiyanꙮ*

*✵Part-2✵*

* Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah*

* Romanized By: Umar Asari​*



Is Mazmoon (Topic) Ki Pehli Qist (First Part) Likhi Gai Thi Jis Mein Aik Se Leker Pandrah (15) Ghalat Fehmiyon Ka Izaala (Radd) Kiya Gaya Tha. Ab Is Ka Doosra Part Aap Ki Khidmat Mein Paish Hai.
*❶❻ Subah Sooraj Niklney Tak Sona:*
Insaan Ko Chahiye Key Woh Subah Saweray Beedar Ho (Uthey), Fajr Ki Namaz Parhey Aur Phir Rozi Ki Talaash Mein Nikley. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
مَن صَلَّى الصُّبحَ فَهُوَ فِي ذِمَّةِ اللَّهِ​
*Tarjuma:* Jis Ne Fajr Ki Namaz Parhi Woh Allah Ke Amaan Mein Aa Gaya.​
*(Sahih Muslim: 657)*
Jo Bandah Namaz Chor Kar Rozana Takheer (Late) Se Uthey Us Ki Qismat Mein Barbadi Hi Barbadi Hai Kiyunkay Us Ne Apne Rab Se Amaan Utha Liya, Us Ke Sath Kabhi Bhi Kuch bhi Ho Sakta Hai.
*❶❼ Darakht Ke Neechay Peshaab Karna:*
Kisi Bhi Cheez Ke Saaye (Shadow) Mein Chahe Wo Darakht Ka Ho Ya Kisi Aur Ka Us Ke Neechay Peshaab o Pakhanay Se Mana Kiya Gaya Hai.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ اتَّقُوا اللَّعَّانَيْنِ ‏"‏ ‏.‏ قَالُوا وَمَا اللَّعَّانَانِ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ ‏"‏ الَّذِي يَتَخَلَّى فِي طَرِيقِ النَّاسِ أَوْ فِي ظِلِّهِمْ ‏"‏ ‏​
*Tarjuma:* Laanat Ka Sabab Banney Wali Do Baton Se Bacho, Sahab e Kiram Radhiallahu Anhum Ney Poocha: Aye Allah Key Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Lanat Ka Sabab Banney Wali Wo Do (2) Baten Konsi Hain? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ney Farmaya: Aik Yeh Ke Aadmi Logon Ke Rastay Mein Qazaye Haajat Karey, Dosray Yeh Ke Un Ke Saaye Ki Jagah Mein Aisa Kare.
*(Sahih Muslim: 269)*
*“Tabrani​ Ne Mo’jam Al Awsat” Mein Phaldar Darakht Ke Neechay Qaza e Haajat Ki Mumaniyat Wali Rivayet Zikr Ki Hai, Yeh Rivayet Zaeef hai.* Phaldar Darakht, Saya Wali Mazkoorah Baala (Upar Zikr Ki Gai) Hadees Ke Zimn Mein Hai Kiyunkay Aam Taur Se Har Darakht Ka Saya Hota Hai. Lekin Jo Darakht Aam Ho Aur Waisay Hi Bila-Zaroorat (Bina Zaroorat) Abadi Se Door Sunsaan (Lonesome) Jagah Pay Para Ho To Us Ke Neechay Qaza e Haajat Mein Koi Harj Nahi.
*❶❽ Bait ul Khala Mein Baatein Karna:*
Qaza e Haajat Ke Waqt Baat Karna Mana Hai. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك​
*Tarjuma:* Do Aadmi Qaza e Haajat Karte Hue Aapas Mein Baatein Na Karen Ke Dono Aik Dosrey Ke Satar (Sharamgaah) Ko Dekh Rahey Hon Kiyunkey Allah Taala Is Baat Par Naraaz Hota Hai.
*{Sahih At-Targheeb (Albani): 155}*
Yahan Sawaal Paida Hota Hai Ke Aaj Kal Gharon Mein Hammaam Bana Hota Hai To Kya Is Mein Baatein Karna Jayez Hai?
Hadees Se To Yahi Pata Chalta Hai Ke Is Haalat Mein Kalaam Mana Hai Ke Jab Do (2) Aadmi Nangay Ho Kar Aik Dosray Ko Dekhte Hue Baat Karen Lekin Hammaam Mein Baat Karne Ki Mumaniyat (Preclusion) Par Koi Daleel Nahi Hai. Phir Bhi Behtar Surat Yahi Hai Ke Hamaam Mein Qaza e Haajat Kartey Waqt Baat Na Karen Lekin Zaroorat Padey Ya Phir Qaza e Haajat Se Pehlay Hamaam Mein Daakhil Hotay Waqt Baat Kar Sakta Hai.
*❶❾ Ulta Sona:*
Pait Ke Bal Sona Napasandeedah Aur Makrooh Amal Hai, Is Ki Karahat (Napasandeedgi) Ki Wujohaat (Reasons) Mein Jahannamiyon Ke Sonay Ki Mushabihat Aur Jismani Nuqsaan Waghera (Etc) Hain.
Allah Taala Ka Farmaan Hai:
يَوْمَ يُسْحَبُونَ فِي النَّارِ عَلَى وُجُوهِهِمْ ذُوقُوا مَسَّ سَقَرَ​
*Tarjuma:* Jis Din Woh Apne Mun Ke Bal Aag Mein Ghseetey Jayenge (Aur Un Se Kaha Jayega) Dozakh Ki Aag Lagnay Ke Mazay Chako.
*(Surah Al-Qamar: Surah No: 54 Ayat No: 48)*
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya:
"إِنَّ ھٰذِہِ ضِجْعَۃٌ یُبْغِضُھَا اللّٰہُ تَعَالٰی یَعْنِی الْاَضْطِجَاعُ عَلَی الْبَطَنِ"​
*Tarjuma:* Yaqeenan Is Tarah Letney Ko Allah Taala Napasand Farmata Hai Yani Pait Ke Bal (Ondha) Laytna.
*{Sahih al Jami’(Alabni): 2271}*
*Al-Iztijao Ala-al-Batan “الاضطجاع علی البطن”:* Yani Aisay Sona Ke Pait Zameen Ki Taraf Aur Pusht (Back Side) Upar Ki Taraf Ho.
Is Liye Kisi Ko Pait Ke Bal Nahi Sona Chahiye Magar Aisey Sonay Se Ghareebi Aati Hai Is Ka Koi Suboot Nahi Hai.
*❷0 Qabrastaan Mein Hasna:*
Qabrastaan Aisi Jagah Hai Jahan Jaa Kar Akhirat Yaad Karni Chahiye Is Liye Wahan Hasna Napasandeedah Amal Hai. Wahan Baat Karte Hue Ya Yun Hi Hansi Aa Gai To Is Mein Koi Harj Nahi, Aur Is Se Rizq Par Koi Asar Nahi Padega.
*❷❶ Peenay Ka Pani Raat Mein Khula Rakhna:*
Khanay Peenay Ka Bartan Raat Mein Khula Rakhnay Se Gurbat Nahi Aati, Albatta Sotay Waqt Un Bartano Ko Dhak Den Jin Mein Khaney Peeney Ki Cheezein Hon. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
أَطْفِئُوا الْمَصَابِيحَ إِذَا رَقَدْتُمْ، وَغَلِّقُوا الأَبْوَابَ، وَأَوْكُوا الأَسْقِيَةَ، وَخَمِّرُوا الطَّعَامَ وَالشَّرَابَ ـ وَأَحْسِبُهُ قَالَ ـ وَلَوْ بِعُودٍ تَعْرُضُهُ عَلَيْهِ​
*Tarjuma:* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Jab Sonay Lago To Chairag Bujha Do, Darwazey Band Kar Do, Mashkeze (Water Skins) Ka Munh Bandh Do Aur Khanay Peenay Ke Bartano Ko Dhaanp Do. Hazrat Jabir Radhiallahu Anhu Ney Kaha Key Mera Khayal Hai Key Ye Bhi Kaha Khuwah Lakdi Hi Key Zariye Sey Dhak Sako Jo Uski Chaudai Mein Bismiallah Keh Kar Rakh Di Jaye.
*(Sahih Bukhari: 5624)*
Aik Doosri Rivayat Is Tarah Hai:
غَطُّوا الإِنَاءَ وَأَوْكُوا السِّقَاءَ فَإِنَّ فِي السَّنَةِ لَيْلَةً يَنْزِلُ فِيهَا وَبَاءٌ لاَ يَمُرُّ بِإِنَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ غِطَاءٌ أَوْ سِقَاءٍ لَيْسَ عَلَيْهِ وِكَاءٌ إِلاَّ نَزَلَ فِيهِ مِنْ ذَلِكَ الْوَبَاءِ​
*Tarjuma:* Bartan Dhak Do, Mashkezey (Water Skins) Ka Muh Band Karo, Is Liye Ke Saal Mein Aik Raat Aisi Aati Hai Jis Mein Blaa (Pestilence) Nazil Hoti Hai, Aur Jis Cheez Ka Munh Band Na Ho Aur Jo Bartan Dhaka Howa Na Ho Us Mein Yeh Waba (Pestilence) Utar Padti Hai.
*(Sahih Muslim: 2014)*
Bartan Khula Chorney Se Gareebi Aney Wali Baat Shia Kutub (Books) Se Manqool (Aayi Hai) Hai, Us Ki kitaab Mein Likha Hai Ke Bees (20) Aadatien Aisi Hain Jin Se Rizq Mein Kami Aati Hai, Un Mein Se Aik Pani Ke Bartan Ka Dhakna Khula Rakhna Hai.
*{Bihar ul Anwar (Mohammad Baqar Majalsi) Jild: 73, Page: 314 Hadees: 1}*
*❷❷ Raat Mein Sawali Ko Kuch Na Dena:*
Yeh Baat Bhi Shia Kutub (Books) Se Aayi Hai, Aur Yeh Baat Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Mansoob Ki Jati Hai Jis Ki Koi Haqeeqat Nahi.
*❷❸ Burey Khayalat Karna:*
Insaan Gunaahon Ka Putla Hai, Us Se Hamesha Galati Hoti Rehti Hai. Us Ke Dimagh Mein Burey Khayalat Aatey Rehtey Hain. Aik Muslim Ka Kaam Hai Key Woh Un Buray Khayalat Se Tauba Karta Rahey Aur Un Par Amal Karney Se Bachay. Allah Taala Apne Bandon Pay Bohat Meharban Hai Woh Bandon Ke Dil Mein Paida Honay Walay Buray Khayalat Pay Pakad Nahi Karta Jab Tak Ke Us Par Amal Na Karey.
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ـ رضى الله عنه ـ عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ إِنَّ اللَّهَ تَجَاوَزَ عَنْ أُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، مَا لَمْ تَعْمَلْ أَوْ تَتَكَلَّمْ​
*Tarjuma:* Hazrat Abu Huraira Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Key Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya : Beshak Allah Taala Ney Meri Ummat Se Us Waqt Tak Darguzar (Maaf) Kar Diya Hai (Us Cheez Ko) Jo Us Key Dil Mein (Bura) Khayaal Paida Hota Hai Jab Tak Key Us Par Amal Na Kare Ya Bol Na Dey.
*(Sahih Bukhari: 5269 or Sahih Muslim:127)*
Is Liye Yeh Baat Kehna Galat Hai Ke Buray Khayalat Se Gareebi Aati Hai, Albatta Aik Baat Yeh Kahi Ja Sakti Hai Ke Burayi Aur Fehash Kaam Karney Se Gurbat Aa Sakti Hai. Allah Taala Ka Farmaan Hai:
الشَّيْطَانُ يَعِدُكُمُ الْفَقْرَ وَيَأْمُرُكُم بِالْفَحْشَاءِ​
*Tarjuma:* Shaytaan Tumhein Faqeeri Sey Dhamkaata Hai or Behayai Ka Hukm Deta Hai.
*(Surah Baqarah: Surah No: 2 Ayat No: 268)*
*❷❹ Baghair Wuzu Ke Quran Majeed Parhna:*
Afzal Yahi Hai Ke Wuzu Karkay Quran Ki Tilawat Karey Lekin Baghair Wuzu Ke Bhi Mushaf Se Tilawat Karna Jayez Hai, Is Liye Yeh Baat Kehna Bilkul Galat Hai Ke Baghair Wuzu Ke Quran Majeed Parhnay Se Ghareebi Aati Hai.
*❷❺ Istinja Karte Waqt Batein Karna:*
Aaj Kal Gharon Mein Bait ul Khala Baney Hotey Hain Aur Aadmi Pardey Mein Hota Hai, Is Liye Zaroorat Ke Tehat Istinja Aur Qaza e Haajat Ke Waqt Kalaam Karney Mein Koi Harj Nahi Hai.
Is Silsilay Mein Aik Hadees Aati Hai:
لا يخرجُ الرجلانِ يضربانِ الغائطَ كاشفَينِ عن عوراتِهما يتحدَّثانِ ، فإنَّ اللهَ يمقُتُ على ذلك​
*Tarjuma:* Do Mardon Key Liye Ye Jayez Nahi Hai Key Wo Bait ul Khala Key Liye Niklen, To Apni Apni Sharamgaah Khuli Rakh Kar Aapas Mein Baatein Karney Lagen, Kiyunke Allah Taala Is Baat Par Naraaz Hota Hai.
*{Sahih At-Targheeb (Albani): 155}*
Is Hadees Mein Qaza e Haajat Ke Waqt Baat Karney Ki Mumaniyat Do Baton Ke Sath Hai.
*Pehli Baat:* Dono Baat Karney Waley Aadmi Apni Sharmgaah Kholey Hue Hon.
*Doosri Baat:* Woh Dono Aik Dosray Ko Dekh Rahey Hon.
Yunhi (Bina Zaroorat) Istinja or Qaza e Haajat Key Waqt Baat Karna Makrooh Hai Magar Zaroorat Ke Tehat (Waqt) Baat Kar Saktey Hain.
*Sheikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya Ke Qaza e Haajat Se Pehlay Hamaam Ke Andar Baat Karney Ka Kya Hukm Hai?*
*To Shaikh Ne Jawab Diya:* Is Mein Koi Harj Nahi Hai, Khaas Taur Sey Us Waqt Jab Koi Zaroorat Ho, Kiyunkay Is Ki Mumaniyat Ki Koi Sarahat (Wazahat) Nahi Hai Siwaye Is Soorat Ke Jab Do Aadmi Aik Dosrey Ke Paas Baith Ke Pakhana Karen Aur Dono Batain Karen. Aur Mujarrad (Sirf) Qaza e Haajat Wali Jagah Ke Andar Se Kalaam Karney Ki Mumaniyat Nahi Hai.
*❷❻ Haath Dhoye Baghair Khana Khana:*
Khanay Se Pehlay Haath Dhona Zaoori Nahi Hai, Riwayaat Se Pata Chalta Hai Ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Haath Dhoye Baghair Bhi Khana Khaya Hai. Khana Khanay Se Pehlay Haath Dhoney Wali Koi Rivayat Sahih Nahi Hai Siwaye Aik Rivayet Ke Jo Nasai Mein Hai.
عَنْ عَائِشَةَ، رضى الله عنها أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا أَرَادَ أَنْ يَنَامَ وَهُوَ جُنُبٌ تَوَضَّأَ وَإِذَا أَرَادَ أَنْ يَأْكُلَ غَسَلَ يَدَيْهِ​
*Tarjuma:* Hazrat Aisha Radhiallahu Anha Se Rivayat Hai Unhon Ne Bayan Kiya Ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Bhi Soney Ka Iradah Kartey Aur Aap Haalat e Janabat Mein Hotey To Wuzu Kartey Aur Jab Khanay Ka Iradah Kartey To Apne Dono Haath Dhotay.
*(Sunan Nasai: 257 or 258)*
❗ Is Hadees Ko Sheikh Albani Rahimahullah Ne Sahih Qarar Diya Hai.
Is Rivayat Mein Mutlaq Haath Dhoney Ka Zikr Nahi Hai Balkey Janabat Se Mutalliq Hai, Is Liye Yeh Kaha Jayega Key Agar Haath Mein Gandagi Lagi Ho To Khanay Se Pehlay Haath Dho Lena Chahiye Warna Zaroorat Nahi Hai. Aur Is Se Mutalliq Gurbat Wali Baat Jhooti Hai.
*❷❼ Apni Aulaad Ko Kosna:*
Aulaad Ki Tarbiyat Walidain Ke Zimma Hai, Maa Baap Bachchon Ki Tarbiyat Ke Liye Daant Satkey Hain, Kos Saktey Hain, Balkay Maar Bhi Satkey Hain Kiyunkay Bachon Ke Silsilay Mein Ahem Cheez Un Ki Tarbiyat Hai.
Tarbiyat Ki Gharz (Maqsad) Se Bachchon Ko Maarny Ka Hukm Hamein Islam Ne Diya Hai:
مُرُوا أَوْلاَدَكُمْ بِالصَّلاَةِ وَهُمْ أَبْنَاءُ سَبْعِ سِنِينَ وَاضْرِبُوهُمْ عَلَيْهَا وَهُمْ أَبْنَاءُ عَشْرِ سِنِينَ وَفَرِّقُوا بَيْنَهُمْ فِي الْمَضَاجِعِ​
*Tarjuma:* Jab Tumhari Aulaad Saat (7) Saal Ki Umar Ko Pahonch Jayen To Unhein Namaz Ka Hukm Do Aur Jab Woh Das (10) Saal Key Ho Jayen To (Namaz Mein Kotahi Karney Par) Unhen Saza Do, Aur Bachchon Ke Sonay Mein Tafreeq Kar Do.
*(Sunan Abu Dawood: 495)*
❗Allama Alabani Rahimahullah Ne Sahih ul Jami’: 5868 Mein Sahih Kaha Hai
*Imam Shafa’ee Rahimahullah Kehtey Hain:* Bapon Aur Maaon Ki Zimmedaari (Responsibility) Hai Ke Woh Apni Auladon Ko Adab Sikhayen. Taharat Aur Namaz Ki Taleem Den Aur Bashaour (Sentient) Honay Ke Baad (Kotahi Ki Surat Mein) Un Ki Pitaayi Karen.
*(Sharah al Sunnah: 2 / 407)*
*❷❽ Darwazay Par Baithna:*
Darwaaza se Logon Ka Aana Jaana Hota hai, Is Liye Adab Ka Taqaza Hai Ke Darwazay Pay Na Baithey, Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Hukm Farmaya Hai Key Raastey Ko Haq Do.
Lekin Agar Apna Ghar Ho, Logon Ka Aana Jaana Na Ho To Phir Apney Ghar Ke Darwazay Pay Bethnay Mein Koi Harj Nahi Hai. Farishtey Juma Ke Din Masjid Ke Darwazay Pay Khadey Rehtey Hain.
إِذَا كَانَ يَوْمُ الْجُمُعَةِ كَانَ عَلَى كُلِّ باب مِنْ أَبْوَابِ الْمَسْجِدِ الْمَلاَئِكَةُ، يَكْتُبُونَ الأَوَّلَ فَالأَوَّلَ، فَإِذَا جَلَسَ الإِمَامُ طَوَوُا الصُّحُفَ وَجَاءُوا يَسْتَمِعُونَ الذِّكْرَ ‏"​
*Tarjuma:* Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Farmaya: Jab Juma Ka Din Hota Hai To Farishtay Masjid Ke Har Darwazay Par Kharey Ho Jatay Hain, Pehlay Anay Waley Ka Naam Pehlay, Us Ke Baad Aney Walay Ka Naam Us Ke Baad Likhte Hain (Isi Tarah Aney Walon Ke Naam Un Key Aaney Ki Tarteeb Se Likhtey Rehtay Hain). Jab Imam Khutba Deney Ke Liye (Mimber) Par Baith Jata Hai To Farishtay Apney Register (Jin Mein Aaney Walon Ke Naam Likhay Gaye Hain) Ko Lapait Detey Hain Aur Khutba Sunney Mein Mashghool Ho Jatay Hain.
*(Sahih Muslim: 850 And Sahih Bukhari: 3211)*
Darwazay Par Farsh Bichaaney Se Mutalliq Hazrat Anas Radhiallahu Anhu Se Marwi Rivayat Zaeef Hai:
عَنْ أَنَسٍ قَالَ: "نَهَى رَسُولُ اللَّهِ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ - أَنْ يُفْرَشَ عَلَى بَابِ الْبُيُوتِ، وَقَالَ: نَكِّبُوهُ عَنِ الْبَابِ شيئًا
إتحاف الخيرة المهرة بزوائد المسانيد العشر​
*Is Ki Sanad Mein Musa Bin Mohammad Bin Ibrahim At-Taimi Zaeef Ravi Hai, Is Liye Yeh Hadees Na Qabil e Aitbaar Hai.*
*❷❾ Lehsun (Allium) Piyaaz (Onion) Ke Chilkey (Peels) Jalana:*
Yeh Baat Bhi Shia Se Manqool Hai, Un Ki Kitab *Jami' Al Akhbaar (الجامع الاخبار)* Mein Mazkoor Hai Jisey Baaz (Kuch) Soofiyon Ney Apni Kitaab Mein Zikr Kar Diya Aur Logon Mein Mashhoor Ho Gayi. Is Baat Ko Turkistan Ke Hanfi Alim Burhanuddeen Zarnoji Ney Apni Kitaab"تَعْلِیْمُ الْمُتَعَلِّمِ طَرِیْقُ التَّعَلِّم" Mein Zikr Kiya Magar Islam Mein Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai.
*❸0 Faqeer Se Rooti Ya Phir Aur Koi Cheez Khareedna:*
Yeh Baat Bhi Shia Ki Kitaab *Jami' Al Akhbaar (الجامع الاخبار)* Mein Maujood Hai. Faqeer To Khud Hi Mohtaaj Hota Hai Woh Kiyun Kisi Se kuch Becheyga Aur Agar Us Ke Paas Koi Qeemti Samaan Hai To Usay Baich Sakta Hai. Faqeer Se Kuch Khareedna Ghareebi Ka Sabab Ho To Koi Faqeer Maldaar Nahi Ho sakta Aur Faqeer Se Khareedney Wala Koi Maldaar Nahi Reh Sakta. Aqal o Naqal Dono Aitbaar Se Yeh Jhooti Baat Hai.
Jari Rahega ………………….
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

Logo me phaili 40 Galatfehmiyan..

*ꙮLogon Mein Phaili 40 Galatfehmiyanꙮ*

*✵Last Part✵*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised By: Umar Asari​*

*🌐Source:*
Findmrf.blogspot.com
*❸❶ Phoonk Se Chairag Bujhana:*
Yeh Baat Shia Kitaab *“Jame’ al Akhbaar”* Se Manqool Hai Jo Hamaray Liye Hujjat Nahi Hai. Chairag To Phoonk Se Hi Bujhaaya Jata Hai, Koi Dosray Tareeqay Se Bujhaye Is Mein Bhi Koi Harj Nahi Lekin Phoonk Se Chirag Bujhane Se Gareebi Aati Hai Yeh Sahih Nahi Hai.

*❸❷ Bismillah Parhay Baghair Khana:*
Khana Khatay Waqt Bismillah Kehna Wajib hai:
عَنْ عَائِشَةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ إِذَا أَكَلَ أَحَدُكُمْ فَلْيَذْكُرْ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فَإِنْ نَسِيَ أَنْ يَذْكُرَ اسْمَ اللَّهِ تَعَالَى فِي أَوَّلِهِ فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ
*Tarjuma:* Aisha Radhiallahu Anha Se Riwayet Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya: Jab Tum Mein Se Koi Khana Khaye To Allah Ka Naam Le, Aur Agar Allah Taala Ka Naam Lena Shuru Mein Bhool Jaye To Kahe: بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ
*(Abu Dawood: 3767)* Sahih

Waqaee Bismillah Ke Baghair Khana Khana Nuqsan o Khasarey (Ghaatey) Ka Baees (Reason) Hai, Us Ke Khanay Mein Shaitan Shaamil Ho Jata Hai Is Liye Yeh Kaha Jaa Sakta Hai Ke Allah Ke Zikr Ke Baghir Mustaqil Khana Khanay Se Woh Khanay Ki Nemat Aur Us Ki Barkat Se Mahroom Ho Jayega Lekin Agar Bhool Se Aisa Ho Jaye To Allah Taala Ne Bhool Chook Ko Maaf Kar Diya Hai.

*❸❸ Galat Qasam Khana:*
Islam Mein Jhooti Qasam Khana Gunah e Kabeerah Hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
عَنْ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍو، عَنِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏"‏ الْكَبَائِرُ الإِشْرَاكُ بِاللَّهِ، وَعُقُوقُ الْوَالِدَيْنِ ‏"‏‏ أَوْ قَالَ ‏"‏ الْيَمِينُ الْغَمُوسُ ‏"‏‏​
*Tarjuma:* Abdullah Bin Amr Radhiallahu Anhuma Se Riwayat Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Kabeerah Gunah Yeh Hain: Allah Ke Saath Kisi Ko Shareek Karna, Walidain Ki Nafarmani Karna Ya Farmaya Ki Nahaq Doosrey Ka Maal Lene Ke Liye Jhooti Qasam Khana.
*(Sahih Bukhari: 6870)*

Aisay Logon Ke Liye Dardnaak Azaab Hai, Is Liye Aik Musalman Ko Qataee Tour Par Jhooti Qasam Nahi Khani Chahiye. Agar Kisi Ne Sabiqa (Pichle) Kisi Muamlay Par Amadan (Jaan Boojh Kar) Jhooti Qasam Khayi Hai To Sachchi Tauba Karey, Agar Jhooti Qasam Ke Zariye Kisi Ka Haq Mara Ho To Us ko Uska Haq Wapas Karey Aur Agar Aindah Kisi Kaam Ke Na Karney Par Qasam Khayi Aur Woh Kaam Kar Liya To Qasam Ka Kaffara Ada Karey. Is Ka Kaffara Dus(10) Miskeeno Ko Ausat (Darmiyaani) Darjay Ka Khana Khilana Hai Jo Apney Ghar Walon Ko Khilate Hon Ya Isi Tarah Un Miskeeno Ko Kapray Dena Hai Ya Aik Gardan Yani Ghulam Ya Bandi Ko Aazad Karna Hai. Jisay Yeh Sab Kuch Na Miley To Woh Teen Din Roza Rakhay.

*❸❹ Joota Chappal Ulta Dekh Kar Seedha Nahi Karna:*
Islami Aitbaar Se Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamaney Mein Bhi Joota Tha Magar Aap Se, Sahaba e Kiraam Se Ya Chaaron Imam Se Is Qism Ki Koi Baat Manqool Nahi Hai.
Ibn e Aqeel Hambli Ne Kitaab “Al-Funoon” Mein Likha Hai:
والویل لمن رأوه أكب رغیفا على وجهه،أو ترك نعله مقلوبة ظهرها إلى السماء۔
*(الآداب الشرعیة1 /268-269)​*
*Tarjuma:* Barbadi Hai Us Ke Liye Jis Ne Ulti Hue Rooti Dekhi Ya Palta Howa Joota Jis Ki Peeth Aasman Ki Taraf Ho Usay Chorh Diya.
*(Al-Aadaab As-Shar’iyyah: 1/268-269)*

Is Kalaam Mein Bohat Sakhti Hai, Quran o Hadees Ki Roshni Mein Is Kalaam Ki Koi Haisiyat Nahi Rehti.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Jootay (chappal) Mein Namaz Parhtey They:
سَعِيدُ بْنُ يَزِيدَ الأَزْدِيُّ قَالَ سَأَلْتُ أَنَسَ بْنَ مَالِكٍ أَكَانَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِي نَعْلَيْهِ قَالَ نَعَمْ​
*Tarjuma:* Saeed Bin Yazeed Al-Azadi Kehtey Hain Ki Meiney Anas Bin Malik Radhiallahu Anhu Se Poocha Ki Kya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Apney Jooton Mein Namaz Padhtey They? Unhon Ne Kaha: Haan.
*(Sahih Bukhari: 386 and 5850)*

Zahir Si Baat Hai Jootay Mein Namaz Padhtey Hue Joota Palteyga.
Is Liye Ultay Jootay Ke Mutalliq Mazkoorah Baala (Upar Zikr Ki Hue) Baatein Karna Theek Nahi Hai Albatta Yeh Keh Satkey Hain Ke Chunkay Jootay Ke Nichaley Hissay Mein Gandagi Lagi Hoti Hai Is Wajah Sey Ultay Jootay Ko Palat Diya Jaye Taakay Log Us Se Ghinn Na Mehsoos Karen.

*❸❺ Halaat e Janabat Mein Hajamat Karna:*
Haalat e Janabat Mein Mard o Aurat Ke Liye Mehez (Sirf) Chand (Kuch) Cheezein Mana Hain, Un Mein Namaz, Tawaf, Masjid Mein Qiyam Aur Quran Ki Tilawat Waghera Hain. Baqiya Doosrey Kaam Junubi Anjaam Day Sakta Hai. Haalat e Janabat Mein Hajamat Ko Faqeeri or Gareebi Ka Sabab Batlana Ghir Islami Nazariya Hai.

*❸❻ Makdi Ka Jala Ghar Mein Rakhna:*
Yeh Baat Bhi Baatil or Mardood Hai. Is Baat Ki Nisbat Hazrat Ali Radhiallahu Anhu Ki Taraf Ki Jati Hai:
طهّروا بیوتكم من نسیج العنكبوت ، فإنّ تركه فی البیوت یورث الفقر​
*Tarjuma:* Gharon Ko Makdi Ke Jaalon Se Saaf Rakha Karo Kiunkay Makdi Ke Jaalon Ka Ghar Mein Hona Iflaas (Gareebi) Ka Baais (Sabab) Hai.
Yeh Baat *“Tafseer e Sa’labi”* Aur *“Tafseer e Qurtubi”* Ke Hawaley Se Bayan Ki Jaati Hai Magar Us Ki Sanad Mein *“Abdullah Bin Memoon Al-Qaddah” Matrook Muttaham Bil-Kazib Ravi Hai.*
*(Tehzeeb At-Tehzeeb: 6/44, 45)*

*❸❼ Raat Ko Jharoo Lagana:*
Raat Ho Ya Din Kisi Bhi Waqt Jharoo Laga Saktay Hain, Is Ki Mumaniyat Ki Koi Daleel Nahi Hai, Na Hi Is Kaam Se Masiyat (Nafarmani) Hoti Hai. Is Liye Raat Ko Jhadoo Dena Tangdasti Ka Sabab Batlana Twahhum Parasti Aur Zeaf Aiteqaadi Hai. Musalmanoon Mein Barelly Tabqa Is Tawahhum Ka Shikaar Hai. Allah Taala Inhein Hidaayat De.

*❸❽ Andheray Mein Khana:*
Waisay Ujalay Mein Khaye To Achha Hai Magar Kisi Ko Ujaala Na Mil Sakay To Andheray Mein Khanay Mein Koi Harj Nahi Hai. Surah Hashr Mein Aik Ansari Sahabi Ka Zikr Hai Jinhon Ne Apney Mehman Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Andheray Mein Mehmani Karai Bawajood Ye Kay Chairag Maujood Tha Magar Unhon Ne Biwi Ko Chairag Bujhanay Ke Liye Kaha Taakay Andheray Mein Mehman Shikam Sair Ho Kar (Pait Bhar Kar) Khaye Aur Maizban Bhooka Rahay. Is Manzar Ko Allah Ne Bayan Kartey Hue Farmaya:
وَيُؤْثِرُونَ عَلَىٰ أَنْفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ​
*Tarjuma:* Woh Apne Upar Dosron Ko Tarjeeh Detey Hain Go Khud Ko Kitni Hi Sakht Haajat Ho.
*(Surah Al-Hashr, Surah No: 59 Ayat No: 9)*

*❸❾ Ghadey Mein Muh Laga Kar Peena:*
Pani Ka Koi Bhi Bartan Ho Agar Muh Laga Kar Peena Aasaan Ho, Us Ka Hajam (Volume, Size) Bada Na Ya Us Ka Dahana (Muh) Kushadah Na Ho Jis Se Muh Mein Miqdaar Se Ziyada Pani Jaaney Ka Khatra Na Ho To Bartan Se Muh Laga Kar Piya Jaa Sakta Hai. Muttafaq Alaih (Means Bukhari or Muslim Ki) Aik Riwayet Mein Mashkezey Se Muh Laga Kar Pani Peenay Ki Mumaniyat Hai:
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمَا، قَالَ: نَهَى النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عَنِ الشُّرْبِ مِنْ فِي السِّقَاءِ​
*Tarjuma:* Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma Ne Bayan Kiya Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mashkezey Ke Muh Se Paani Peene Ko Mana Kiya Tha.
*(Sahih Bukhari: 5629)*

Is Ke Alawah Aik Doosri Hadees Hai Jis Se Sabit Ho Raha Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mashkezey Mein Muh Laga Kar Paani Piya Hai:
عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي عَمْرَةَ، عَنْ جَدَّتِهِ، كَبْشَةَ قَالَتْ دَخَلَ عَلَىَّ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَشَرِبَ مِنْ فِي قِرْبَةٍ مُعَلَّقَةٍ قَائِمًا فَقُمْتُ إِلَى فِيهَا فَقَطَعْتُهُ​
*Tarjuma:* Kabshah Radhiallahu Anha Kehti Hain: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Mere Ghar Tashreef Laaye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khaday Khaday Latki Hue Mashkezah Ke Muh Se Pani Piya, Fir Mein Mashkezah Ke Muh Ke Paas Gai Us Ko Kaat Liya.
*(Tirmidhi: 1892)* Hasan

Khulasa Ke Taur Par Yeh Kehna Chahoonga Ke Bartan Chota Ho To Us Mein Muh Laga Kar Pani Piyen, Bada Ho To Dosray Chootey Bartan Mein Undail Kar Piyen Aur Agar Baday Bartan Se Peenay Ki Zaroorat Pad Jaye To Is Mein Koi Harj Nahi.

*❹0 Quran Majeed Na Padhna:*
Quran Padhnay Aur Amal Karney Ki Kitaab Hai Jo Us Se Doori Ikhtiyar Karta Hai Woh Waqaee Allah Ki Rehmat Se Door Ho Jata Hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Quran Padhnay Ka Hukm Diya Hai Is Se Imaan Mein Ziyadti, Ilm o Amal Mein Pukhtagi (Mazbooti) Aur Zindagi Ki Tamam Cheez Mein Barkat Aati Hai. Is Liye Quran Padhnay Ka Mamool Banayen Aur Samajh Kar Padhen. Jo Bina Samjhey Padhtey Hain Woh Quraan Ke Nuzool Ke Maqsad Se Bekhabar or Tilawat Ke Aadaab Se Na-Waqif Hain.

🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
-------------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS