find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Maa ka doodh bakaswane ki Haqeeqat.

Maa Ka Doodh Bakhshwane ki Haqeeqat

Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah
Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Milti Lekin Samaaj Mein Yeh Baat Mash-hoor (Famous) Hai Ke Maa Se Doodh Bakhshwa Lo. Ya Baaz (Kuch) Maayen (Mothers) Bolti Hain Ke Mein Ney Apna Doodh Bakhsh Diya.
*Yeh Darasal Tawahhumaat (Superstition) Mein Se Hai.* Islam Mein Asal Cheez Hai Allah Taala Ke Huqooq, Uske Baad Bandon Ke Huqooq.
Bande Ko Allah Ke Huqooq Ada Karna Chahiye Aur Isi Tarah Bande Ke Upar Bandon Ke Jo Huqooq Hain Usay Ada Karna Chahiye.
Allah Taala Ne Maa Baap Ke Huqooq Wazeh Kar Diye Hain.
*✵Walidain Ke Huqooq Mein
➤ Walidain Key Saath Bhalai Ka Hukm
➤ Maa Baap Ki Khidmat Karna
➤ Budhaapey Mein Sahara Banna
➤ Walidain Ke Saath Narmi or Tawazo, Khaksari or Inkisari Se Pesh Aana
➤ Walidain Ke Liye Dua Karna
➤ Walidain Ki Narazgi Se Bachna Aur Un Ka Hukum Maanna
Yeh Sab Maa Baap Key Huqooq Hain, Jo In Huqooq Ko Ada Karega Woh Allah Key Yahan Maa Ka Doodh Bakhshwaney Key Mutalliq Nahi Poocha Jayega.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS