find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label jume ke din padhe jane wali dua. Show all posts
Showing posts with label jume ke din padhe jane wali dua. Show all posts

Juma behtareen Din


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                  
         *اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*

    ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

1. Juma Behtareen Din:

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.

2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.

3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.

4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.

5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’

– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.

Mafhum-e-Hadith: Jumaa ke din mujh par zyada se ziyada durud Parha karo

Urdu Translation:

Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.

{SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih)}



🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney…

Share:

Jummah ke Din Awwal waqt Mein Masjid Jane ki Fazilat.

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *JUM"AH KE DIN AWWAL WAQT MEIN MASJID JAANE KI FAZEELAT.* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

  َّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنِ اغْتَسَلَ يَوْمَ الْجُمُعَةِ غُسْلَ الْجَنَابَةِ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ رَاحَ فَكَأَنَّمَا قَرَّبَ بَدَنَةً، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ رَاحَ فِي السَّاعَةِ الثَّانِيَةِ فَكَأَنَّمَا قَرَّبَ بَقَرَةً، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ رَاحَ فِي السَّاعَةِ الثَّالِثَةِ فَكَأَنَّمَا قَرَّبَ كَبْشًا أَقْرَنَ، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ رَاحَ فِي السَّاعَةِ الرَّابِعَةِ فَكَأَنَّمَا قَرَّبَ دَجَاجَةً، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ رَاحَ فِي السَّاعَةِ الْخَامِسَةِ فَكَأَنَّمَا قَرَّبَ بَيْضَةً، ‏‏‏‏‏‏فَإِذَا خَرَجَ الْإِمَامُ حَضَرَتِ الْمَلَائِكَةُ يَسْتَمِعُونَ الذِّكْرَ"".

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya " Jo shakhs jum"ah ke din ghusl e janabat kar ke Namaz padhne jaye to jaise uss ne ek oont ( camel ) ki qurbani di  ( agar awwal waqt masjid mein paunhcha ) Aur agar baad mein gaya to jaise uss ne ek gaaye ( cow ) ki qurbani di aur jo teesre number par gaya to jaise uss ne ek seeng wale mendhe ( horned ram; ) ki qurbani di. Aur jo koi chauthe number par gaya to uss ne jaise ek murgi ( hen ) ki qurbani di aur jo paanchve number par gaya to uss ne jaise ek anda ( egg ) Allah ta"ala ke raaste mein diya. Lekin jab imam khutba ke liye bahar aajata hai to farishtay khutba sunne lag jaate hain.

🌴 *Urdu* 🌴

   رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص جمعہ کے دن غسل جنابت کر کے نماز پڑھنے جائے تو گویا اس نے ایک اونٹ کی قربانی دی  ( اگر اول وقت مسجد میں پہنچا )  اور اگر بعد میں گیا تو گویا ایک گائے کی قربانی دی اور جو تیسرے نمبر پر گیا تو گویا اس نے ایک سینگ والے مینڈھے کی قربانی دی۔ اور جو کوئی چوتھے نمبر پر گیا تو اس نے گویا ایک مرغی کی قربانی دی اور جو کوئی پانچویں نمبر پر گیا اس نے گویا انڈا اللہ تعالی کی راہ میں دیا۔ لیکن جب امام خطبہ کے لیے باہر آ جاتا ہے تو فرشتے خطبہ سننے میں مشغول ہو جاتے ہیں۔

🌴 *English* 🌴

  Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam said, Any person who takes a bath on Friday like the bath of Janaba and then goes for the prayer (in the first hour i.e. early), it is as if he had sacrificed a camel (in Allah's cause); and whoever goes in the second hour it is as if he had sacrificed a cow; and whoever goes in the third hour, then it is as if he had sacrificed a horned ram; and if one goes in the fourth hour, then it is as if he had sacrificed a hen; and whoever goes in the fifth hour then it is as if he had offered an egg. When the Imam comes out (i.e. starts delivering the Khutba), the angels present themselves to listen to the Khutba.

💐 *Sahih Bukhari* 💐
💐 *Hadith : 881* 💐

Share:

Jume Ke Din Masjid Mein Gola Bnaker Na Baithe.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كُرَيْبٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا حَاتِمُ بْنُ إِسْمَاعِيل . ح وحَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ رُمْحٍ، ‏‏‏‏‏‏أَنْبَأَنَا ابْنُ لَهِيعَةَ جَمِيعًا، ‏‏‏‏‏‏عَنِ ابْنِ عَجْلَانَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَمْرِو بْنِ شُعَيْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِيهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ جَدِّهِ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  نَهَى أَنْ يُحَلَّقَ فِي الْمَسْجِدِ يَوْمَ الْجُمُعَةِ قَبْلَ الصَّلَاةِ .

🌺

🌺 Rasool Allah ﷺ ne jume ke din namaz se pehle masjid mein halqa (gola) bana kar bethne se mana farmaya.

🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے جمعہ کے دن نماز سے پہلے مسجد میں حلقہ بنا کر بیٹھنے سے منع فرمایا ۔

🌺Allah's Messenger ﷺ forbade sitting in circles in the mosque on Fridays before the prayer.

📜 *wazahat:* kyun ke juma ke din khutbah sun na aur khamosh rehna zaruri hai, aur jab log gola banakar baithenge toh zahir si baat hai ke wo chah na chah kar baatein karne lagenge, isliye jume ke din masjid mein halka bana kar baithne se mana kiya gaya hai.

📚 _*Sunan ibne majah: jild 1, kitab iqamah as salah wa sunnah fiha 5, hadith no. 1133*_
*Grade sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Namaj-E-Jumah Ka Byan

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim*🍃

🍀 *NAMAZ E JUM'AH KA BAYAN* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

    یٰۤاَیُّہَا  الَّذِیۡنَ  اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِیَ لِلصَّلٰوۃِ مِنۡ یَّوۡمِ الۡجُمُعَۃِ  فَاسۡعَوۡا اِلٰی ذِکۡرِ اللّٰہِ  وَ ذَرُوا  الۡبَیۡعَ ؕ ذٰلِکُمۡ خَیۡرٌ  لَّکُمۡ   اِنۡ  کُنۡتُمۡ  تَعۡلَمُوۡنَ ﴿۹﴾

   فَاِذَا  قُضِیَتِ الصَّلٰوۃُ  فَانۡتَشِرُوۡا فِی الۡاَرۡضِ وَ ابۡتَغُوۡا مِنۡ فَضۡلِ اللّٰہِ وَ اذۡکُرُوا اللّٰہَ  کَثِیۡرًا  لَّعَلَّکُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ ﴿۱۰﴾

  وَ اِذَا  رَاَوۡا  تِجَارَۃً  اَوۡ لَہۡوَۨا انۡفَضُّوۡۤا اِلَیۡہَا وَ تَرَکُوۡکَ  قَآئِمًا ؕ قُلۡ مَا عِنۡدَ اللّٰہِ  خَیۡرٌ  مِّنَ اللَّہۡوِ وَ مِنَ  التِّجَارَۃِ ؕ وَ اللّٰہُ  خَیۡرُ  الرّٰزِقِیۡنَ ﴿۱۱﴾

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Aey woh logo jo iman laye ho! Jum"ah ke din namaz ki azan di jaye to tum Allah ta"ala ke zikar ki taraf daud pado aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumhare haq mein bauhat hi bahtar hai agar tum jantay ho.

  Phir jab namaz ho jaye to zameen mein phail jao aur Allah ta"ala ka fazl talash karo aur Allah ta"ala ka zikar kasrat se karo takay tum kamyab ho.

  Aur jab koi sauda bikte dekhe ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf daudtay  jaatay hain aur aap ko khada hi chhor dete hain aap kah dijiye ke Allah ta"ala  ke pass jo hai woh khel aur tijarat se bahtar hai. Aur Allah Ta"alaa bahtareen rozi dene wala hai.

💐 *surah : al jumah* 💐
💐 *aayat : 9/10/11* 💐

🌹 *please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Jume ke Din ki Fazilat.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

Jum'a ko zyada se zyada durood padhna chahiye
( Kitab-Abu Dawud
Hadees No. 1047)

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

"Durood ek Dua he
Jo ham Rasul
sallallahu alaihiwasallam ke liye Allah se mangte he"
💐💐💐💐💐💐💐💐

"Sabse Afzal Durood
Durood-e-Ibrahim he
Jo ham Namaz me Padhte hai jiska matlab he

Ay Allah Rehmat nazil farma Muhammad
Sallallahu alahiwasallam par  Or unki Aal-Aulaad par,
Jese ke tune rehmat naazil farmayi Ibrahim alaihissalam par
Aur unki Aal_Aulaad par

Beshak tu Taarif ke layak Buzurgi wala hai..!

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺 👉1⃣Jumme ke din janha do aadmi baithe ho un ke beech me dakhil na ho

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉2⃣Jumme ke din kisi musalmaan bhai ko uski jagah se utha kar khud wanha na nbaithe
👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉Sahi bukhari jild no : 2
👉Hadith no : 910/11
👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉 Jumme ke Khutbe ke dauran jab koi masjid me dakhil ho tou halki 2 rakte tehtul masjid padhle baithne se pehele

🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇

👉Sahi bukhari jild no : 2
👉Hadith no : 931

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉 janab ibne umar radhi Allahu talanahu se riwayat hai ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam jumme ke baad apne ghar me 2 rakaate padhte the

👉 tashri : yeh amal ghar par padhne ke liye hai muqtadi masjid me hai tou 4 rakaate padhega aur ghar par padhni hai tou 2 rakaate
Wallahu aalam

👉 Sunan nisai jild no : 4

👉 Hadith no : 1429

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

Share:

Namaj ke Ahkaam.

🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🎋Bismillah hir
rehma nir raheem🎋
*AL-QURAN*
🌈Jannat wale Dozakh wale se puchenge ki kaun si chiz tumhe Dozakh me le ayi hai to woh kahenge ki; Hum namaz nahi padte the🍃
SURAH AL-MUDDASSIR SURAH NUM 74 AYET NUM 40 ::43
🌈Quran mein Allah taa'ala ne namaz ka huqm dete hue irshad farmaya hai ki Yakinan namaz musalmano par farz hai aur waqt ke sath mehdood hai 🍃
*SURAH* *NISA* *103*
🌈Aur apne mutaikeen ko namaz ka huqm dijiye aur khud bhi uske paband rahiye hum aapse rozi nahi chahte rozi to aap humko denge aur behtar anjam to parhezgaro ka hi hai🍃
*SURAH* *TAHA* *132*
🌈(Kai Ambiyaein keram ka ziqr karne ke baad farmaya)phir unke baad ais naa'khalaf paida hue jinhone namaz ko barbad kar diya aur khawahishon ki pairvi ki ye log an'kareeb kharabi dekhenge🍃
*SURAH* *MARIYAM* *59
🌈Hazrat* jabir razi Allahu anhu se revayat hai ki Rasool Allah Sal Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki bandey ke aur qufr ke darmiyan bas namaz chod dene ki kasar hai ki jab namaz chod diya to woh kasar mit gayi aur Qufr aa gaya chahe bandey ke andar na aa jaye magar doori to na rahi🍃
*MISHKAT* *SHARIF* *MUSLIM* *SAFHA* *58*
🌹NEXT POST IN SHA ALLAH TOMORROW🌹
*🌷

Share:

Namaj-E-Jumah ka Byan

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim*🍃

🍀 *NAMAZ E JUM'AH KA BAYAN* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

    یٰۤاَیُّہَا  الَّذِیۡنَ  اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِیَ لِلصَّلٰوۃِ مِنۡ یَّوۡمِ الۡجُمُعَۃِ  فَاسۡعَوۡا اِلٰی ذِکۡرِ اللّٰہِ  وَ ذَرُوا  الۡبَیۡعَ ؕ ذٰلِکُمۡ خَیۡرٌ  لَّکُمۡ   اِنۡ  کُنۡتُمۡ  تَعۡلَمُوۡنَ ﴿۹﴾

   فَاِذَا  قُضِیَتِ الصَّلٰوۃُ  فَانۡتَشِرُوۡا فِی الۡاَرۡضِ وَ ابۡتَغُوۡا مِنۡ فَضۡلِ اللّٰہِ وَ اذۡکُرُوا اللّٰہَ  کَثِیۡرًا  لَّعَلَّکُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ ﴿۱۰﴾

  وَ اِذَا  رَاَوۡا  تِجَارَۃً  اَوۡ لَہۡوَۨا انۡفَضُّوۡۤا اِلَیۡہَا وَ تَرَکُوۡکَ  قَآئِمًا ؕ قُلۡ مَا عِنۡدَ اللّٰہِ  خَیۡرٌ  مِّنَ اللَّہۡوِ وَ مِنَ  التِّجَارَۃِ ؕ وَ اللّٰہُ  خَیۡرُ  الرّٰزِقِیۡنَ ﴿۱۱﴾

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Aey woh logo jo iman laye ho! Jum"ah ke din namaz ki azan di jaye to tum Allah ta"ala ke zikar ki taraf daud pado aur khareed-o-farokht chor do. Yeh tumhare haq mein bauhat hi bahtar hai agar tum jantay ho.

  Phir jab namaz ho jaye to zameen mein phail jao aur Allah ta"ala ka fazl talash karo aur Allah ta"ala ka zikar kasrat se karo takay tum kamyab ho.

  Aur jab koi sauda bikte dekhe ya koi tamasha nazar aajaye to uss ki taraf daudtay  jaatay hain aur aap ko khada hi chhor dete hain aap kah dijiye ke Allah ta"ala  ke pass jo hai woh khel aur tijarat se bahtar hai. Aur Allah Ta"alaa bahtareen rozi dene wala hai.

💐 *surah : al jumah* 💐
💐 *aayat : 9/10/11* 💐

🌹 *please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS