Durood Na Padhne Ki Saza
Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah
1- Sayyeduna Hussain Bin Ali Razi Allahu Anhuma bayan karte hain ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
اَلْبَخِیلُ مَنْ ذُکِرْتُ عِنْدَہٗ؛ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَيَّ
"Jis shaksh ke pass mera zikr kiya jaye aur wo mujh par durood na bheje to wo bakheel hai."
*(Musnad-ul-Imam Ahmad: 1/201, Sunan Tirmizi: 3546, Fazl-us-Salah Alan-Nabi-lil-Imam Ismail al Qazi:32, Al Mustadrak Ala Sahihain: 1/549, Wa Sanaduhu Hasan)*
Is hadees ko Imam Tirmizi Rahmatullah Alaihi (3546) ne Hasan Sahih Gareeb, Imam Ibn e Hibbaan Rahmatullah Alaihi (909) ne Sahih aur Imam Hakim Rahmatullah Alaihi ne Sahih ul Isnad kaha hai. Hafiz Zahabi Rahmatullah Alaihi ne bhi ise Sahih Qarar diya hai. Hafiz Ibn e Hajar Rahmatullah Alaihi farmate hain:
وَلاَ یَقْصُرُ عَنْ دَرَجَۃِ الْحَسَنِ
Yeh hadees Hasan darja se kam nahi.
*(Fatah ul Bari :11/186)*
2- Sayyeduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu ka bayaan hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
رَغِمَ أَنْفُ رَجُلٍ ذُکِرْتُ عِنْدَہٗ؛ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَيَّ
Us aadmi ki naak khaak aalood ho jiske saamne mera tazkira ho lekin wo mujh par Durood na padhe.
*(Musnad-ul-Imam Ahmad: 2/254, Sunan Tirmizi: 3545, Fazl-ul-Salah AlanNabi Lil Qazi Ismael: 16, Wasanaduhu Hasan)*
Is hadees ko Imam Tirmizi Rahmatullah Alaihi ne Hasan Gareeb aur Imam Ibn e Hibban Rahmatullah Alaihi (908) ne Sahih kaha hai.
3- Sayyeduna Abu Huraira Razi Allahu Anhu bayan karte hain:
صَعِدَ رَسُولُ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ الْمِنْبَرَ، فَلَمَّا وَضَعَ رِجْلَہٗ عَلٰی مِرْقَاۃٍ قَالَ : ’آمِینَ‘، ثُمَّ صَعِدَ، فَقَالَ : ’آمِینَ‘، ثُمَّ صَعِدَ، فَقَالَ : ’آمِینَ‘، فَقَالَ : ’أَتَانِي جِبْرِیلُ، فَقَالَ : مَنْ أَدْرَکَ شَہْرَ رَمَضَانَ؛ فَمَاتَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَہٗ؛ فَأَبْعَدَہُ اللّٰہُ، قُلْتُ : آمِینَ، قَالَ : وَمَنْ أَدْرَکَ أَبَوَیْہِ أَوْ أَحَدَہُمَا، فَمَاتَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَہٗ؛ فَأَبْعَدَہُ اللّٰہُ، قُلْتُ : آمِینَ، قَالَ : وَمَنْ ذُکِرْتَ عِنْدَہٗ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیْکَ، فَأَبْعَدَہُ اللّٰہُ، قُلْتُ : آمین
Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam mimbar par jalwa afroz hue, jab pehli seedhi par paao mubarak rakha to Ameen kaha, phir (doosri seedhi par) chadhe to dobara Ameen kaha, phir (teesri seedhi par) chadhe to phir Ameen kaha, phir irshad farmaya: mere pass jibrail aaye the aur (jab main pehli seedhi par chadha to) unhone kaha: jo shaksh ramazan ka maheena paye aur phir is haalat mein mar jaye ki (ramazan ki ibadat ki wajah se) us ki magfirat na ho sake to Allah ta'ala use apni rehmat se door kar de, maine Ameen kaha. (Jab main doosri seedhi par chadha to) Unhone kaha: Jo shaksh apne ma baap dono ko ya kisi ek ko paye, phir is halat mein mar jaye ki (unki khidmat ki bina par) uski magfirat na ho sake, to use bhi Allah ta'ala apni rehmat se door kar de, maine Ameen kaha. (Jab main teesri seedhi par chadha to) unhone kaha: Jis shaksh ke pass Aap ka zikr ho aur wo Aap par durood na padhe, use bhi Allah ta'ala apni rehmat se door kar de, is par bhi maine Ameen kaha.
*(Mo’jam ul Awsat Lit Tabrani: 8131, Musnad Abu Ya’la: 5922, Wasanaduhu Hasan)
Ek Rewayat ke alfaz ye hain:
إِنَّ رَسُولَ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ رَقِيَ الْمِنْبَرَ، فَقَالَ : ’آمِینَ، آمِینَ، آمِینَ‘، فَقِیلَ لَہٗ : یَا رَسُولَ اللّٰہِ، مَا کُنْتَ تَصْنَعُ ہٰذَا، فَقَالَ : ’قَالَ لِي جِبْرِیلُ : أَرْغَمَ اللّٰہُ أَنْفَ عَبْدٍ ـــ أَوْ بَعُدَ ـــ دَخَلَ رَمَضَانَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَہٗ، فَقُلْتُ : آمِینَ، ثُمَّ قَالَ : رَغِمَ أَنْفُ عَبْدٍ ــــ أَوْ بَعُدَ ــــ أَدْرَکَ وَالِدَیْہِ أَوْ أَحَدَہُمَا لَمْ یُدْخِلْہُ الْجَنَّۃَ، فَقُلْتُ : آمِینَ، ثُمَّ قَالَ : رَغِمَ أَنْفُ عَبْدٍ ــــ أَوْ بَعُدَ ــــ ذُکِرْتَ عِنْدَہٗ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیْکَ، فَقُلْتُ : آمِینَ
"Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mimbar par chadhe to teen dafa Ameen kaha, pucha gaya ki Allah ke Rasool! Aap pehle to aisa nahi karte the. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Mujhe Jibreel Alaihissalam ne kaha: Allah ta'ala us shaksh ko zaleel kare jo ramazan mein maujood ho lekin uski magfirat na ho sake, maine Ameen kaha, Phir Jibreel Alaihissalam ne kaha: wo shaks bhi zaleel ho, jo apne maa baap dono ko ya unme se kisi ek ko paye, lekin unki khidmat use jannat mein dakhil na kare, maine Ameen kaha. Phir Jibreel Alaihissalam ne kaha: wo shakhs bhi zaleel ho jaye jiske pass Aapka zikr ho, lekin wo Aap par durood na padhe, maine is par bhi Ameen kaha."
*(Sahih Ibn e Khuzaima:1888, Wasanaduhu Hasan)
4- Sayyeduna Ka'ab bin Ujrah Razi Allahu Anhu bayan karte hain ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
قَالَ رَسُولُ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ : ’احْضُرُوا الْمِنْبَرَ‘، فَحَضَرْنَا، فَلَمَّا ارْتَقٰی دَرَجَۃً قَالَ : ’آمِینَ‘، فَلَمَّا ارْتَقَی الدَّرَجَۃَ الثَّانِیَۃَ قَالَ : ’آمِینَ‘، فَلَمَّا ارْتَقَی الدَّرَجَۃَ الثَّالِثَۃَ قَالَ : ’آمِینَ‘، فَلَمَّا نَزَلَ قُلْنَا : یَا رَسُولَ اللّٰہِ، لَقَدْ سَمِعْنَا مِنْکَ الْیَوْمَ شَیْئًا مَّا کُنَّا نَسْمَعُہٗ، قَالَ : ’إِنَّ جِبْرِیلَ عَلَیْہِ الصَّلَاۃُ وَالسَّلَامُ عَرَضَ لِي، فَقَالَ : بُعْدًا لِّمَنْ أَدْرَکَ رَمَضَانَ فَلَمْ یُغْفَرْ لَہٗ، قُلْتُ : آمِینَ، فَلَمَّا رَقِیتُ الثَّانِیَۃَ قَالَ : بُعْدًا لِّمَنْ ذُکِرْتَ عِنْدَہٗ فَلَمْ یُصَلِّ عَلَیْکَ، قُلْتُ : آمِینَ، فَلَمَّا رَقِیتُ الثَّالِثَۃَ قَالَ : بُعْدًا لِّمَنْ أَدْرَکَ أَبَوَاہُ الْکِبَرَ عِنْدَہٗ أَوْ أَحَدُہُمَا فَلَمْ یُدْخِلَاہُ الْجَنَّۃَ، قُلْتُ : آمِینَ
"Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Mimbar lao, hum mimbar laye to Aap Sallahu Alaihi Wasallam pehli seedhi par chadhe aur Ameen kaha, Jab doosri seedhi par chadhe to Ameen kaha, Jab teesri seedhi par chadhe to phir Ameen kaha, Jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam neeche tashreef laaye to humne arz kiya: Allah ke Rasool! Aaj humne Aapse aisi cheez suni hai, jo pehle nahi sunte the. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jibreel Alaihissalam mere pass aaye aur farmaya: Us shaksh ke liye halakat ho, jo ramazan ko paye, lekin uski maghfirat na ho sake, maine Ameen keh diya. Jab main doosri seedhi par chadha to Jibreel Alaihissalam ne kaha: Wo shaksh bhi halaak ho, jiske pass Aapka tazkirah ho lekin wo Aap par durood na padhe, maine Ameen kaha. Jab main teesri seedhi par chadha to Jibreel Alaihissalam ne kaha: Wo shaksh bhi halaak ho, jiske pass uske waldain ya dono mein se koi ek budha ho aur wo uske jannat mein daakhle ka sabab na ban sake, maine phir Ameen keh diya. "
*(Al Mustadrak Ala Sahihain lil Hakim: 4/153, Wasanaduhu Hasan)*
Imam Hakim Rahmatullah Alaihi ne is Hadees ko Sahih ul Isnad aur Hafiz Zahabi ne Sahih kaha hai.
*Tambeeh:*
Sayyeduna Hussain Bin Ali Razi Allahu Anhuma se mansoob hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَنْ ذُکِرْتُ عِنْدَہٗ، فَخَطِیَٔ الصَّلَاۃَ عَلَيَّ؛ خَطِیَٔ طَرِیقَ الْجَنَّۃِ
"Jis shaksh ke pass mera zikr kiya jaye, lekin mujh par durood na padhe, wo jannat ke raaste se bhatak gaya."
*(Az Zurriyatut Tahira lil Dulabi, safa no: 88, Mo’jam Al Kabeer Lit Tabrani: 3/128)
*Iski Sanad Zaeef hai, isme Muhammad bin Basheer kundi rawi ghair siqa hai.
{ *Note:* Yeh Mazmoon Maahnama Assunnah, Shumara No: 80-86 se liya gaya hai}
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.