find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label nya chand dekhte waqt ki dua. Show all posts
Showing posts with label nya chand dekhte waqt ki dua. Show all posts

Namaj-E-Juma ki Fazilat.

Ummat-e-Nabi ﷺ

⭐ Namaze Juma : Farziyat, Fazilat aur Masail …

1). Juma Behtareen Din:

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.

Share:

Naya Chand Dekhte waqt ki Dua

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari dua !* 🔆 🔅

  🔸🌟🔸 🔸🌟🔸

*Naya chaand deykhte waqt ki dua !*

   *اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ ‏*

*Allāhumma ahlilhu `alainā bil-yumni wal-Īmān, was-salāmati wal-Islām, rabbī wa rabbuk Allāh.*

*Aye Allah ! Mubarak kar hame ye chaand,barkat aur iimaan aur salamati aur islam ke saat, (aye chaand !) Mere aur tumhara rab Allah ta ala hai -*

*English translation*

*O Allah, bring it over us with blessing and faith, and security and Islam. My Lord and your Lord is Allah.*

*[ Jami` at-Tirmidhi 3451]*
----------------------------------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS