find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label imaan. Show all posts
Showing posts with label imaan. Show all posts

Insaan ko Allah ne Kyu Paida kiya?

INSAAN ko Allah ne kyun paida kiya?
*●════════════════════●*
BismillahirRahmanNirRaheem

Allah ne Jinn aur Insan ko sirf aur sirf uski Ebaadat karne ke liye paida kiya.*

Jaisa ke Allah ne khud Quran me farmaya:

*🍃  “Ham ne Jinn aur Insan ko paida nahi kiya magar apne ibaadat ke liye”.*
*📙(Surah 51 Zariyaat : Ayat 56)*

*●════════════════════●*
*🎯 Yaad rahe, Allah ki ibadaat sirf aur sirf Muhammadur Rasoolullah s ke tariqe ke mutabik ki jayegi. Allah ki ibaadat karne me insan apni man-maani nahi kar sakta. Wo shariyat ka paband hai chahe Ibaadat Farz darje ki ho ya fir Sunnat aur Nafil darje ki ho.*
*●════════════════════●*
*🔘Isiliye Allah aur uske Rasool dono ne sirf usi ki “Ibaadat” karne ka aur “Shirk” se bachne ka hukm diya hai…*

*➕Allah ne hukm diya :*

*🍃  “Sirf Allah ki ibaadat karo aur us ke siwa tamaam Tagoot (Ma’aboodo) se bacho”.*

*📙(Surah 16 Nahl: Ayat 36)*

*🚩Yaha Taagoot se murad Allah ne alaawa har wo hasti jo Insan se apni ibaadat karwati hai yani Insan ko apni ibaadat karwane ke liye kaheti hai ya bulati hai.*

*➕Rasoolullah SallallahuA’laihiWaSallam ne Kaha ke :*
*🍃  “Allah Ka Haq Bando Par Ye Hai Ke Sirf Usi ki ibaadat Kare, Kisi Ko Uska Shareek Na Kare aur bando Ka Hak Allah Par Ye Hai Ke Jo Koyi Shirk Na Kare Usay Azaab Na De”.*

*📙(Sahih Bukhari: 2856, Sahih Muslim : 30)*

*●════════════════════●*
Khalis ek Allah ki hi “Ibaadat” karna uske “Tawheed” ka ek ehem hisaa hai isliye koi shakhs agar Allah ki ibaadat karte huye bhi dusro ki  ibaadat karta ho to goya usne Allah ke sath “Shirk-e-Abkar” kiya. Isi halat me agar us shakhs ki maut ho jaati hai to wo hamesha hamesha ke liye Jahannam me jalata rahega. Jannat me kabhi bhi daakhil nahi kiya jayega.*

*🔘Allah ne khud farmaya hai ke wo Shirk karne walo ko kabhi maaf nahi karega :*

*🍃 إِنَّ ٱللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَن يُشْرَكَ بِهِۦ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَن يَشَآءُ ۚ وَمَن يُشْرِكْ بِٱللَّهِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلَٰلًۢا بَعِيدًا*

*🍃  “Use Allah ta’ala qatan (hargiz) na baqshega ke us ke saath shareek muqarrar kiya jaaye, haan shirk ke alaawa gunaah jis ke chaahe maaf farma deta hai aur Allah ke saath shareek karne waala bahut door ki gumraahi mein ja pada”.*

*📙(Surah 04 Nisa’a : 116)*
*🚩Aur 1 jagah ne Kaha :*

*🍃 “Yaqeen maano ke jo shakhs Allah ke saath shareek karta hai, Allah ta’ala ne us par Jannat haraam kardi hai  (حَرَّمَ ٱللَّهُ عَلَيْهِ ٱلْجَنَّةَ )”.
📙(Surah 05 Maydah : Ayat 72)*
●═══════════════●

Share:

Nifaaq Kya Hota Hai? نفاق کیا ہوتا ہے؟

"NIFAAQ KYA HAI निफाक क्या होता है?
ZABAAN SE ISLAM KO MANNE AUR DIL SE US KA INKAAR
*KARNE KO NIFAAQ KEHTE HAI, NIFAAQ BHI KUFR HAI

"ALLAH TA'ALA NE FARMAYA:"
*Baaz Log Kehtay Hain Kay Hum Allah Taalaa Per Aur Qayamat Kay Din Per Eman Rakhtay Hain Lekin Dar Haqeeqat Woh Eman Walay Nahi Hain.*
*Woh Allah Taalaa Ko Aur Eman Walon Ko Dhoka Detay Hain Lekin Dar-asal Woh Khud Apney Aap Ko Dhoka Dey Rahey Hain Magar Samajhtay Nahi.
(Al Baqarah: 8/9)

Share:

Kya Aaj Hm Pakke Sachhe Momeen Kahlane Ke Haqdar Hai?

Kya Aaj Hm Musalman Pure Ke Pure Islam Me Dakhil Hai?

اسلام میں پورے کے پورے داخل ہو جائ
 اللہ تعالی کا فرمان ہے:. "يا أيها الذين آمنوا ادخلوا في السلم كافة ولا تتبعوا خطوات الشيطان..."(سورة البقرة:208)
"اے ایمان والو! اسلام میں پورے کے پورے داخل ہو جائو اور شیطان کے نقش قدم پر نہ چلو۔۔۔"
کیا آج مسلمانان عالم اسلام میں پورے طور سے داخل ہیں؟ اگر نہیں اور یقینا نہیں تو کیا وہ شیطان کے نقش قدم پر نہیں چل رہے ہیں؟ اگر ہاں اور بے شک ہاں تو کیا وہ رحمت الہی کے مستحق ٹھہرتے ہیں؟ امامت کے درجہ پر فائز ہو سکتے ہیں؟ عظمت رفتہ کو پا سکتے ہیں؟
عام مسلمانوں کو تو رہنے دیجئے، دین پسند کہے جانے والے مسلمانوں کا معاملہ بھی عجیب وغریب نظر آتا ہے، ان کے احوال واقعی سے ایسا بالکل نہیں لگتا کہ وہ پورے طور پر اسلام میں داخل ہیں۔  چنانچہ
کچھ مسلمانوں نے ایمان کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف عبادت کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف علم کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف عمل کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف دعوت دین کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف اقامت دین کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف معاملات کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف آداب کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف نیکی کرنے کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف گناہ سے بچنے کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف امر بالمعروف کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف نہی عن المنکر کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف ظاہری اعمال کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف باطنی اعمال کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف اصلاح نفس کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف اصلاح معاشرہ کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف دعوت مسلمین کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف دعوت غیر مسلمین کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف تقوی وپرہیزگاری کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف اخلاق وسلوک کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف عقیدہ ومنھج کی درستگی کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف عبادت وعمل کی درستگی کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف تعدیل وتوثیق کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف نقد وجرح کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف حکومت اور علماء ودعاة کی اصلاح کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف عوام الناس کی اصلاح کو۔
کچھ مسلمانوں نےصرف سرپرستوں کی اصلاح کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف ماتحتوں کی تربیت کو۔
کچھ مسلمانوں صرف امیروں کی اصلاح کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف غریبوں کی اصلاح کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف تعلیم یافتہ لوگوں کی اصلاح کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف جاہلوں کی تعلیم کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف تعلیم وتزکیہ کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف حرکت وجہاد کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف اصلاح وتربیت کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف سیاست وحکومت کو۔
کچھ مسلمانوں نے صرف صبر و تحمل کو اسلام سمجھ رکھا ہے تو کچھ نے صرف بدلہ وانتقام کو۔
حالانکہ اسلام ان تمام کے مجموعے کا نام ہے، اسلام ایک جامع اور شامل دین ہے، اسلام عدل اور توازن والا دین ہے، اسلام حکمت اور مصلحت کا دین ہے۔
آپ کا بھائی:   افتخار عالم مدنی
اسلامک گائڈینس سنٹر  جبیل سعودی عرب
Share:

Allah Zalimo Ko Pasand Nahi Karta Hai.

Wo Kaun Se Kam Hai Jisko Karne Se Allah Mujhe NaPasand Karta Hai?
{हमारे सवालात} ? {क़ुरान के जवाबात} !
सवाल : वो कौन से काम है जिनको करने से अल्लाह मुझे नापसंद करता है ?

जवाब : “बेशक अल्लाह ज़्यादती और ज़ुल्म करने वालो को पसंद नही करता .”
(क़ुरान : सुरा बक़रा 2/190)

“अल्लाह बिगाड़ फैलने वालो को पसंद नही करता.”
(क़ुरान : सुरा मायेदा 5/64)

“बेशक अल्लाह किसी धोखेबाज़, ना शुक्रे को पसंद नही करता.
(क़ुरान : सुरा हज 22/38)

“बेशक वो इनकार करने वालो को पसंद नही करता”
(क़ुरान : सुरा रूम 30/45)

“तुम उस चीज़ का अफ़सोस ना करो जो तुमसे जाती रहे और ना उस पर इतराव जो उसने तुम्हें अता कर दी. अल्लाह इतरने वाले , बड़ाई जताने वाले को पसंद नही करता.”
(क़ुरान : सुरा हदीद 57/23)

“अपने रब को गिड़गिडकर और चुपके चुपके पुकारो. बेशक वो हद से आगे बढ़ने वालो को पसंद नही करता.  (क़ुरान : सुरा अराफ़ 7/55)

“रहे वो लोग जो ईमान लाए और उन्होने अच्छे काम किए उन्हें वो उनका पूरा पूरा बदला देगा. अल्लाह ज़ालिमो को पसंद नही करता.(क़ुरान : इमरान 3/57)

“अल्लाह ब्याज़ को घटता और मिटाता है और सद्क़ो (चॅरिटीस) को बढ़ता है. और अल्लाह किसी ना शुक्रे , हक़ मारने वाले को पसंद नही करता.”
(क़ुरान : सुरा बक़रा 2/276)

“बेशक अल्लाह अच्छी तरह जानता है जो कुछ वो छुपाते है और जो कुछ ज़ाहिर करते हैं . उसे ऐसे लोग पसंद नही, जो अपने आपको बड़ा समझते हो.”
(क़ुरान : सुरा नहल 16/23)
अल्लाह हमे हक़ बात समझने की तोफीक अता फरमाये अमीन

Share:

ALLAH Arsh Pe Hai. (Part 04)

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E AA'IMMA (CHAARO IMAMO) SE DALEEL) PART 4

Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Mai Sab Se Pehle Ummat K Chaar Bade Sahib E Mazhab Imamo Rahimahulla K Aqwaal Paish Kar Raha Hu, Khayal Rahe K Ye Aqwaal In Charo Bade Imamo Rh K Zamene Ki Tarteeb K Mutabik Hai, Kisi Ka Zikr Pehle Ya Kisi Ka Baad Mai Hone Se Uski Darja Bandi Maksood Nahi.
1. IMAM NOMAAN BIN SAABIT ABU HANIFA RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 150 HIJRI
Abu Ismaeel Ansari Apni Kitab "AL FAROOQ" Mai Abu Mutiul Hakam Bin Abdullah Balkhi Hanfi Jinhone Fiqh E Hanfi Ki Motabar Tareen Kitab "FIQHUL AKBAR" Likhi, Jise Galt Aam Toor Par Imam Abu Hanifa Rh Se Mansoob Kiya Jata Hai, In Abu Mutee K Bare Mai Likha K Unhone Imam Abu Hanifa Rh Se Pucha:
"Jo Ye Kahe K Mai Nhi Janta K Mera Rabb Zameen Par Hai Ya Aasman Par To Aesa Kehne Wale K Baare Mai Kya Huqm Hai?",
To Imam Abu Hanifa Rh Ne Farmaya:
To Usne Kufr Kiya Kyunki Allah Kehta Hai Rehman Arsh Par Qayam Hua Aur Uska Arsh Saato Aasmano K Uper Hai, Mene Phir Pucha "
Agar Wo Ye Kahe K Mai Nhi Janta K Allah Ka Arsh Aasman Par Ya Zameen Par Hai (To Phir Uska Kya Huqm Hai)?",
To Imam Abu Hanifa Rh Ne Farmaya:
Aesa Kehne Wala Kafir Hai Kyunki Usne Is Baat Se Inkaar Kiya K Allah Ka Arsh Aasmano K Uper Hai Aur Jo Is Baat Se Inkaar Kare Wo Kafir Hai.
(Mukhtasar Alawul Alliyil Gaffar Rakam 118, Safa No. 136 Mualiff Imam Shamsuddin Zahabi Rh Nashir Maktaba Islamiya Bairoot Labnaan Dusri Isha'at, Sharah Aqeedatut Tahaviya Safa No. 288 Nashir Maktaba Islamiya, Bairoot Labnaan 9vi Isha'at)
Imam Abu Hanifa Rh Ka Zikr Aya Hai To Pehle Unse Mansoob Fiqh K Imamo Ki Baat Nakal Karta Chalu,
1.1. IMAM ABU JAFAR AHMAD BIN MUHAMMAD TAHAVI HANFI RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 321 HIJRI
Apni Mashoor Kitab "AQIDATUT TAHAVIYA" Mai Kehte Hai: Allah Arsh Aur Uske Alawa Bhi Har Ek Cheez Gani Hai Aur Har Cheez Uske Ahaatey Mai Hai Aur Wo Har Cheez Se Uper Hai Aur Uski Makhlook Uska Ahaata Karne Se Kaasir Hai.
1.2. IMAM SADARUDDIN MUHAMMAD BIN ALAUDEEN RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 792 HIJRI
Jo Ibne Abil'az Hanfi K Naam Se Mashoor Hai Is “AQIDATUT TAHAVIYA” Ki Sharah Mai Imam Tahavi Rh Ki Is Mandarja Bala Baat Ki Sharah Mai Likhte Hai K: Ye Baat Puri Tarha Se Saabit Hai K Allah Ki Zaat Makhlook Se Mili Hui Nhi (Balke Alag Aur Juda Hai) Aur Na Allah Ne Makhlokaat Ko Apne Andar Banaya Hai (Yani Allah Ka Har Cheez Par Muheet Hone Ka Ye Matlab Nhi K Makhlokaat Uske Andar Hai Balke Wo Muheez Hai Apne Ilm K Zariye, Iske Dala’il Abhi Ayenge Insha Allah)
Phir Uske Baad Allah Ta'ala K Apni Makhlook Se Juda, Buland Aur Uper Hone K Dalail Mai Warid Hone Wali Nasoos K Baare Mai Bayan Karte Hai K Ye Nasoos Takreeban 20 Iksaam Mai Hai, Aur Phir Inhi Iksaam Ko Bayan Karte Hue 16 Kisam (16 No.) K Bayan Mai Likha: Fir'oon Ne Kaha Ae Haaman Mere Liye Imarat Banao Takey Mai Raasto Tak Pahunch Saku, Aasman K Raasto Tak (Aur Unke Zariye Uper Jakar) Musa AS K Mabood Ko Jhaank Kar Dekh Lu Aur Beshaq Mai Ise (Yani Musa As Ko) Jhoota Samjhta Hu. (Surah Momin Surah No. 40 Ayat No. 36 Aur 37) Hawala (Sharah Aqidatut Tahaviya Safa No. 287 Nashir Maktaba Islamiya, Bairoot, Labnaan 9vi Isha'at)
2. IMAM MALIK IBNE ANAS RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 179 HIJRI
Mahdi Bin Jafar Bin Abudllah Kehte Hai K Imam Malik Ibne Anas Rh K Paas Ek Aadmi Aya Aur Usne Kaha: Ae Abu Abdullah Rahman Arsh Par Qayam Hua Kese Qayam Hua?
Is Sawal Par Imam Malik Rh Itne Gussey Mai Aye K Mene Unhe Kabhi Itne Gusse Mai Nhi Dekha K Gusse Ki Shiddat Se Imam Sahab Paseena Paseena Ho Gye, Aur Imam Rh Bilkul Khamosh Ho Gye, Loog Intezaar Karne Lage K Ab Imam Sahab Kya Kahenge
Kaafi Dair K Baad Imam Malik Rh Ne Farmaya: Allah Ka Arsh Par Qayam Hona (Yani Istawaa Farmana) Anjaani Khabar Nhi, Aur (Allah K Istawaa Farmane Ki) Kefiyat Aqal Mai Aane Wali Nhi (Kyunki Uski Hamare Paas Us Kefiyat K Baare Mai Koi Khabar Nhi Na Allah Ki Taraf Se Aur Na Hi Us K Rasool SAW Ki Taraf Se) Aur Is Par Emaan Lana Farz Hai, Aur Is Kefiyat K Baare Mai Sawaal Karna Bida'at Hai, Aur Mujhe Ye Andesha Hai K Tum Gumrah Ho. Phir Imam Malik Rh Ne Us Aadmi Ko Masjid E Nabwi Se Nikaal Dene Ka Huqm Diya Aur Usko Nikaal Diya Gaya. (Asbaat E Sifatul Uloo, Riwayat 104 Mu'allif Imam Mofiquddin Abdullah Bin Ahmad Bin Kadama Muqaddasi)
Imam Zahbi Rh Ne Kaha K Ye Qaul Imam Malik Rh Se Sabit Hai Is K Alawa Ye Kaul Imam Malik Rh K Ek Aur Ustaad Se Bi Sabit Hai, In Sha Allah Tabayi K Zikr Mai Unka Zikr Karunga.
Abdullah Bin Naafae Rahimahullah Ka Kehna Hai K Imam Malik Rh Ne Farmaya: Allah Aasmano Par Hai Aur Uska Ilm Har Jagah Hai Aur Uske Ilm Se Koi Cheez Kharij Nhi (Aetaqaad Ahlus Sunnah Muallif Imam Habtullah Lalkayi, Tamheed Muallif Imam Ibne Abdul Barr)
3. IMAM MUHAMMAD BIN IDREES SHAFAE RAHIMAHULLAH TAREEKH E WAFAAT 204 HIJRI
Abi Shaiba Aur Abi Soor Rahimahullah Kehte Hai K Imam Shafae Rh Ne Farmaya: Mene Imam Malik Rh Aur Imam Sufyaan Suri Rh Aur Deegar Tabayi (In Ka Zikr In Sha Allah Agey Ayega) Ko Jis Tarha Sunnat Ki Jis Baat Par Paya Mai Bhi Us Par Hi Qayam Hua Aur Wo Baat Ye Hai K: Is Baat Ki Shahadat Di Jaye K Allah K Alawa Koi Saccha Aur Haqeeqi Mabood Nhi Aur Muhammad SAW Allah K Rasool Hai, Aur Allah Aasmano Se Uper Apne Arsh Se Uper Hai, Jise Chahta Hai Apni Makhlooq K Kareeb Hota Hai, Aur Mujhe Chahta Hai Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai Aur Aqeedeh K Degar Muamalaat Ka Zikr Kiya. (Ijtamaul Jevoosh Al Islamiya, Muallif Imam Ibne Qayyim Al Jauzi Rh Nashir Darul Kutub Ilmiya Bairoot Pehli Isha'at)(Mukhtasar Alawul Alliyil Gaffar Rakam 196, Muallif, Muhaqqiq, Nashir Aur Isha'at Tafseel Pehle Likhi Ja Chuki Hai)
4. IMAM AHMAD BIN HAMBAL RAHIMAHULLAH TAREEK E WAFAAT 241 HIJRI
Yousuf Bin Musa Al Bagdadi Kehte Hai K, Unhe Abdullah Bin Ahmad Bin Hambal Rh Ne Bataya K Unke Walid Imam Ahmad Bin Hambal Rh Se Pucha Gaya: Kya Allah Azz Wa Jal Saato Aasman K Uper Apne Arsh Se Uper, Apni Tamaam Makhlooq Se Uper Hai, Aur Uski Kudrat Wa Ilm Har Jagah Hai?
To Imam Ahmad Bin Hambal Rh Ne Farmaya: Ji Han Allah Arsh Par Hai Aur Us (K Ilm) Se Kuch Kharij Nhi, Imam Allama Ibne Qayyim Al Jauzi Rh Ne Ijtimaul Jewush Al Islamiya Mai Likha K Is Riwayat Ko Imam Imam Abu Bakr Khalaal Rh Ne "ASSUNNAH" Mai Sahih Sanad K Sath Nakal Kiya
Wazeh Rahe K Is Aqeedeh K Bare Mai In Aa'imma E Kiraam Ki Taraf Se Sirf Yahi Aqwaal Mayassar Nhi, Balke Aur Bhi Sahih Sabit Shuda Aqwaal Milte Hai, Mene Sirf Ikhtisaar K Paish E Nazar Ye Chand Aqwaal Nakal Kiye Hai
Charo Bade Sahib E Mazhab Imamao Rahimahullah K Farameen K Baad Ab In Sha Allah Degar Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Paish Karunga.
To Be Continued......
Share:

Allah Arsh Pe Hai. (Part 03)

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E SAHABA RA SE DALEEL) PART 3
Quran Aur Ahadees E Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam K Baad Hum Aqwaal E Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen Ki Taraf Aatey Hai
1. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai "Rasool Allah SAW Ki Wafaat K Baad Rasool Allah SAW K Pehle Bila Fazl Khalifa Amirul Momineen Abu Bakr RA Allah K Rasool Allah SAW K Hujre Mai Aye Aur Jhuk Kar Aap Rasool Allah SAW Ki Maiyyat E Mubarak Ko Peshani Par Boosa Diya Aur Farmaya: Aap Par Mere Maa Baap Qurbaan Ho Aap Zindagi Mai Bhi Pakeeza They Aur Mar Kar Bhi Pakeeza Hai Aur Phir Bahar Tashreef Laye Aur Sahaba RA Se Khitab Farmate Hue Irshad Farmaya:

Ae Loogo Agar To Muhammad SAW Tumhare Mabood They Jin Ki Tum Ibadat Karte They To Phir Jaan Lo K Tumhare (Wo) Mabood Muhammad SAW Foout Ho Gye Hai, Aur Agar Tum Loogo Ka Mabood Wo Hai Jo Aasmano Par Hai To Phir Tumhara Mabood Nhi Mara".

(Imam Bukhari Ki Tarikhul Kabeer Hadees No. 623, Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 37021, Imam Zahabi Aur Imam Sakhawi Ne Ise Sahih Kaha Hai)

2. Kaeis Rh Kehte Hai "Jab Amirul Momineen Hazrat E Umar RA Shaam Gaye To Apni Oothni (Camel) Par Sawar They, Loogo Ne Usne Kaha Agar Aap Ghode Par Sawar Hote To Accha Tha Kyunki Aap Se Milne K Liye Bade Bade Loog Aye Hai To Hazrat E Umar RA Ne Farmaya: Kya Mai Tum Loogo Ko Yaha Se Dikhai Nhi De Raha, Balke Fesley To Waha Se Hote Hai Aur Ye Kehte Hue Apni Ungli Se Aasman Ki Taraf Ishara Kiya".

(Musannaf Ibne Abi Shaiba Hadees No. 33844 Aur 34443 Al Albani Ne Kaha Is Ki Sanad Bukhari Aur Muslim Ki Shara'it K Mutabik Sahih Hai)

3. Hafiz Qaazi Abu Ahmad Bin Ahmad Isaal Al Subhaani Rh Ne Riwayat Ki K Abdullah Ibne Mas'ood RA Ne Kaha: Allah Paak Hai Aur Khalis Taareef Allah Hi K Liye Hai Aur Allah Sabse Bada Hai, To In Alfaaz Ko Lekar Ek Farishta Allah Azz Wa Jal Ki Taraf Chadhta Hai, Aur Jin Jin Farishto K Paas Se Wo Farishta Guzarta Hai Wo Farishte Ye Alfaaz Kehne Wale K Liye Magfirat Ki Dua Karte Hai Yaha Tak K In Alfaaz Se Rehman Ka Chehra Khush Ho Jata Hai. (Imam Shamsuddeen Zahabi Ne "Al Aluwul Alil Gaffar" Mai Kaha K Is Riwayat Ki Sanad Sahih Hai)

4. Imam Usman Bin Saeed Daarmi "Al Radd Alal Jahmiyah" Mai Sahih Sanad K Saath Abdullah Bin Mas'ood RA Ka Ye Qaul Nakal Kiya: Kabhi Kisi Bande Ko Tijarat Wa Haqoomat Ki Khawahish Hoti Hai Aur Jab Wo Kaam Uske Liye Asaan Hone Lage To Allah Ta'ala Uski Taraf Saato Aasmano K Uper Se Dekhta Hai Aur Farishto Se Kehta Hai: In Kaamo Ko Is Bande Se Door Kardo Agar Ye Kaam Mene Is K Liye Muhaiyya Kar Diye To Ye Kaam Ise Jahannam Mai Dakhil Karne Ka Sabab Ban Jayenge. (Imam Ibne Qayyim Rh Ne Bhi Al Jayoosh Al Islamiya Mai Is Riwayat Ki Sanad Ko Durust Karaar Diya)

5. Ibne Abi Mulaika Rh Se Riwayat Hai K Emaan Walo Ki Walida Mohtarma, Rasool Allah SAW Ki Pakeeza Aur Mehbooba Begam Hazrat E Aisha RA Ki Maut Ki Beemari K Waqt Abdullah Ibne Abbas RA Ne Unke Paas Aaney Ki Ijazat Talab Ki To Ummul Momineen Aisha RA Ne Farmaya "Mujhe Us Se Koi Kaam Nhi" To Abdur Rahman Bin Abu Bakr RA (Ummmul Momineen Aisha RA K Bade Bhai) Ne Kaha Ammi Jaan Ibne Abbas Aapke Neek Baito Mai Se Hai Aur Aap Ki Iyaadat K Liye Aya Hai, To Hazrat E Aisha RA Ne Abdullah Ibne Abbas RA Ko Aney Ki Ijazat Di, Abdullah Ibne Abbas RA Ne Aaney K Baad Aisha RA Ki Mijaaz Pursi Ki Aur Unki Hoosla Afzayi Karte Hue Kaha: Aur Aap (To Wo Hai Jis) Ki Pakeezagi (Ki Gawahi) Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Nazil Ki Jise Jibraeel AS Le Kar Aye. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 6726, Musnad Ahmad Hadees No. 2496 Is Hadees Ko Imam Hakim Aur Imam Zahbi Ne Sahih Kaha)

6. Anas RA Ka Kehna Hai K (Emaan Walo Ki Walida Mohtarma) Zainab (Binte Jahash RA) Rasool Allah SAW Ki Dusri Begam Fakhr K Sath Kaha Karti Thi: Tum Loogo Ko Tumhare Khandaan Walo Ne Biyaha Hai Aur Meri Shadi Allah Ne 7 Aasmano K Uper Se Ki
Dusri Riwayat Mai Hai K Farmaya Karti Thi: Allah Ta'ala Ne Mera Nikah Aasman Par Kiya. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7420 Aur 7421)
Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal Se Bhi Yahi Sabit Hua K Allah Arh Par Hai
Sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen K Aqwaal E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Tabayi Aur Taba Tabayi Rahimahullah K Aqwaal Se Paish Karunga, Aur Inka Agaaz Ummat K 4 Bade Maroof Aur Marooj Mazahib K Imamo Rahimahullah Se Shuru Karunga
To Be Continued......

Share:

Allah Arsh Pe Mustawi Hai. (Part 02)

Allah Arsh Par Mustawi Hai.Part-2 (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL)
ALLAH ARSH PAR HAI (HADEES E RASOOL SAW SE DALEEL) Part 02
Zikr Shuda Ayaat E Mubaraka K Baad Ab Insha Allah Ahadees E Sharifa Zikr Karta Hu Aeiye Dekhte Hai K Allah K Rasool SAW Ne Allah Ki Is Sifate Uloo Yani Tamaam Tar Makhlooq Se Juda Aur Buland Hone K Bare Mai Kya Farmaya Hai:
1. Muaviya Ibne Hakeemus Sulmi RA Farmate Hai Mere Paas Ek Baandi Hai Jo Uhad (Pahaad) K Saamne Aur Ird Gird Meri Bakriya Charaya Karti Thi Ek Din Mene Dekha K Uski (Nigrani Mai Meri) Jo Bakriya Thi Un Mai Se Ek Ko Bediya Le Gaya, Mai Aadam Ki Aulad Mai Se Ek Aadmi Hu Jis Tarha Baaki Aadmi Gamgeen Hote Hai Mai Bhi Usi Tarha Gamgeen Hota Hu, Lekin Mene (Is Gam Mai) Use Ek Thappad Maar Diya, To Mai Rasool Allah SAW K Paas Aya Kyunki Use Thappad Maarna Mere Liye (Dil Par) Bada (Boojh) Ban Gya Tha, Mene Arz Kiya "Ae Allah K Rasool SAW Kya Mai Use Azaad Kar Du?To Rasool Allah SAW Ne Irshad Farmaya: Us Baandi Ko Mere Paas Lao, To Mai Us Baandi Ko Le Kar Phir Dobara Hazir Hua To Rasool Allah SAW Ne Us Se Daryaft Farmaya Allah Kaha Hai? Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya "Aasmano Par", Phir Daryaft Farmaya "Mai Kon Hu?", Us Baandi Ne Jawaban Arz Kiya "Aap Allah K Rasool Hai" To Rasool Allah SAW Ne Mujhe Huqm Farmaya Ise Azaad Kar Do Ye Emaan Wali Hai. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 537)

2. Abu Huraira RA Se Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jab Raat Ka Akhiri Teesra Pehar Hota Hai To Hamara Rabb Allah Tabark Wa Ta'ala Har Raat Mai Dunya K Aasman Ki Taraf Utarta Hai Aur Farmata Hai "Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujh Se Dua Kare K Mai Uski Dua Kabool Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Koi Sawal Kare K Mai Uska Sawaal Pura Karu, Kon Hai Jo (Is Waqt) Mujhse Magfirat Talab Kare K Mai Uski Magfirat Karu". (Sahih Bukhari Kitabut Tahajjud, Sahih Muslim Kitabus Salaatul Musafireen Hadees No. 758)

3. Abu Huraira RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Raat K Farishte Aur Din K Farishte Tum Loogo Mai Ek Dusre K Pichey Aatey Hai Aur Namaz E Asr Aur Namaz E Fajr K Waqt Ikatthey Ho Jate Hai (Yani Farishto Ka Ek Garoh Fajr K Waqt Ata Hai Aur Asr Tak Rehta Hai, Ye Din K Farishte Hai Aur Dusra Garoh Asr K Waqt Ata Hai Aur Fajr Tak Rehta Hai Ye Raat K Farishte Hai) Phir Wo Farishte Jinhone Tumhare Darmiyan Raat Guzari Hoti Hai (Yani Asr K Waqt Aane Wale Farishte) Uper (Allah Ki Taraf) Chadhte Hai To (Waha) Unka Rabb Unse Puchta Hai, Jabke Wo Bando K Baare Mai Farishto Se Jayada Janta Hai, Tumne Mere Bando Ko Kis Haal Mai Choda? To Farishte Kehte Hai Jab Humne Unhe Choda To Wo Loog Namaz Padh Rahe They Aur Jab Hum Unke Paas Gaye To Wo Namaz Padh Rahe They. (Sahih Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 632, Sahih Bukhari Hadees No. 555, Sahih Ibne Khuzaima Hadees No. 321, Sahih Ibne Hibban Hadees No. 1736, Muatta Imam Malik Hadees No. 416, Musnad Ahmad, Sunan Nasai Kitabus Salaat Hadees No. 489)

4. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Beshaq Allah K Kuch Aese Farishte Hai Jo (Zameen Mai) Chalte Phirte Hi Rehte Hai, Aur (Allah K) Zikr Ki Majliso Ki Talaash Mai Rehte Hai, Jab Wo Koi Aesi Majlis Paate Hai Jis Mai (Allah Ka) Zikr Ho Raha Ho To Wo Zikr Karne Walo K Sath Baith Jate Hai Aur Ek Dusre Ko Apne Paro Se Dhanp Lete Hai, Yaha Tak K Unke Aur Dunya Wale Aasman K Saari Jagah Mai Wo Farishte Phir Jate Hai, Aur Phir Jab Alag Hote Hai To Aasman Ki Taraf Chadhte Aur Buland Hote Hai, Rasool Allah SAW Ne Mazeed Farmaya: To (Waha) Allah Farishto Se Puchta Hai K Tum Sab Kaha Se Aye Ho? Jabke Allah Farishto K Bare Mai Khud Unse Jayada Janta Hai, To Farishte Jawaban Arz Karte Hai, Hum Aapke Un Bando K Paas Se Aye Hai Jo Zameen Mai Aap Ki Pakizagi, Aapki Ki Badhai, Aur Aapki Wahdaniyat Aur Aap Ki Tareef Bayan Karte Hai, Aur Aap Se Sawaal Karte Hai. (Sahih Muslim Kitab Zikr Wa Dua Hadees No. 7015)

5. Abu Saeed Khudri RA Yaman Se Layi Jane Wali Zakat Ki Takseem Ka Ek Waqiya Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Kya Tum Loog Mujhe Amanatdaar Nhi Jaante Jabke Mai Uski Taraf Se Amanatdaar Hu Jo Aasman Par Hai, Aur Mujhe Subah Wa Shaam Se Khabar Aati Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Magazi Hadees No. 4351, Sahih Muslim Kitabuz Zakaat Hadees No. 2500)

6. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jisne Paak (Halaal) Kamayi Se Khajoor K Barabar Bhi Sadqa Kiya Aur (Yaad Rakho K) Allah Ki Taraf Pakeeza (Cheez) K Elawa Aur Kuch Nahi Chadhta To Allah Us Sadqa Ko Apne Sidhey Hath Mai Qabool Farmata Hai Aur Us Sadqa Ko Sadqa Karne Wale K Liye Badhata Hai Yaha Tak Wo Pahaad K Barabar Ho Jata Hai. (Sahih Bukhari Kitabut Tauheed Hadees No. 7430)

7. Abu Huraira RA Se Hi Riwayat Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Uski Kasam Jis K Haath Mai Meri Jaan Hai Jab Koi Khawind Apni Beewi Ko Apne Bistar Par Bulaye Aur Wo Beewi Inkaar Kare To Wo Jo Aasman Par Hai Us Aurat Se Us Waqt Tak Naraaz Rehta Hai Jab Tak Us Aurat Ka Khawind Us Se Raazi Nhi Hota. (Sahih Muslim Kitabul Nikah Hadees No. 1436)

8. Abdullah Bin Umar Wa Bin Aaas Raziallahu Anhuma Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Reham Karne Walo Par Rehmaan Reham Karta Hai, Tum Us Par Reham Karo Jo Zameen Par Hai, Tum Par Wo Reham Karega Jo Aasman Par Hai. (Sunan Tirmizi Hadees No. 1924, Sunan Abu Dawood Kitabul Adab Hadees No. 4931, Musannaf Ibne Abi Shaiba Kitabul Adab Hadees No. 925)

9. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jab Allah Takhleeq Mukammal Kar Chuka To Usne Kitab Mai Likha K Mere Rehmat Mere Gussey Par Galib Hogi Wo Kitab Allah K Paas Hai Arsh K Uper. (Sahih Bukhari Kitabul Bad Ul Khalk Hadees No. 3194, Sahih Muslim Kitabut Tauba Hadees No. 2751)

Allah K Rasool Allah SAW Saaf Bata Rahe Hai K Allah Arsh K Uper Hai, Har Jagah Nhi, Aaiye Dekhte Hai K Arsh Kaha Hai, Kahi Aesa To Nhi K Arsh Yahi Kahi Ho Aur Allah Bhi???

10. Abu Huraia RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Irshaad Farmaya: Jo Allah Aur Uske Rasool Par Emaan Laya Aur Namaz Ada Karta Raha Aur Ramzan K Rooze Rakhta Raha To Allah Par (Uska) Ye Haqq Hai K Allah Use Jannat Mai Dakhil Kare Khawah Usne Allah Ki Raah Mai Jihaad Kiya Ho Ya Apni Basti Mai Hi Zindagi Guzari Ho To Sahaba RA Ne Kaha: Ae Allah K Rasool Allah SAW Kya Hum Loogo Ko Ye Khushkhabri Suna De? To Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Allah Ne Allah Ki Raah Mai Jihaad Karne Walo K Liye Jannat Mai Ek Soo Darjaat Bana Rakhey Hai, Har 2 Darjaat K Darmiyaan Itna Fasila Hai Jitna Zameen Aur Aasman K Darmiyan Hai, Lihaza Jab Tum Allah Se Sawaal Karo To Firdoos Mango Kyunki Wo Jannat Ka Darmiyani Aur Sab Se Buland Muqaam Hai, Mai Samajhta Hu K Us K Uper Rehman Ka Arsh Hai Jis Mai Se Jannat K Darya Phoot Te Hai. (Sahih Bukhari Kitabul Jihaad Hadees No. 2790)

11. Jareer RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Jo Un Par Reham Nahi Karta Jo Zameen Par Hai Us Par Wo Reham Nhi Karta Jo Aasman Par Hai. (Tabraani Hadees No. 2494, Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 3411, Sahih Tagzibut Tahzeeb Hadees No. 2255)

12. Salman Faarsi RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Tumhara Rabb Bahut Haya Karne Wala Aur Buzurgi Wala Hai, Jab Uska Koi Banda Uski Taraf Apne Dono Haath Buland Karta Hai To Allah Uski Baat Se Haya Karta Hai K Us Bande K Haatho Ko Khali Na Moodey. (Sunan Abu Dawood Hadees No. 1485, Sunan Tirmizi Hadees No. 3556)

Jab Banda Apne Haath Uthata Hai To Uske Haath Aasman Ki Taraf Hote Hai, Agar Allah Har Jagah Mojood Hai To Aagey Pichey Daaye Baaye Kisi Bhi Taraf Haath Phela Kar Dua Karli Jaani Chahiye, Aasman Ki Taraf Uper Ki Taraf Haath Kyu Uthaaye Jaate Hai???

13. Abdullah Ibne Umar RA Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Mazloom Ki Baddua Se Daro Kyunki Wo Chingari Ki Tarha Aasman Ki Taraf Chadhti Hai. (Mustadrak E Hakim Hadees No. 81 Is Hadees Ko Imam Hakim Ne Kaha Hai K Ye Muslim Ki Shart Par Sahih Hai)
14. Nawaas Bin Sa'maan Kalbi RA Fitna E Dajjal K Aur Yajooj Majooj K Nikalne Aur Qatal Ki Khabro Par Mushtamil Ek Lambi Hadees Bayan Karte Hue Kehte Hai K Rasool Allah SAW Ne Farmaya: Phir Yajooj Majooj Chal Padege Aur Khamr Naami Pahaad K Paas Ja Pahunchege, Aur Ye Pahaad Baitul Muqaddas Wala Pahaad Hai..
To Be Continue ----------

Share:

Allah Arsh Pe Hai. (Part 01)

ALLAH ARSH PAR HAI (QURAN SE DALEEL) PART-1
1. Beshaq Tumhara Rab Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Din Ko Raat Se Is Tarha Chipa Deta Hai K Raat Din Ko Jaldi Se Aa Leti Hai Aur Suraj Aur Chaand Aur Dusre Sitaro Ko Is Tarha Banaya K Wo Sab Allah K Hukm K Tabay Hai, To Kya Us K Liye Hi Nhi Hai Khaliq Hona Aur Hakim Hona Badi Hi Khubiyo Wala Tamaam Jahano Ka Rabb.(Surah Aaraaf Surah No. 7 Ayat No. 54)

2. Beshaq Tumhara Rabb Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Waha Se Tamaam) Kaam Ki Tadbeer Karta Hai Koi Uski Ijazat K Bagair (Uske Saamne) Shifa'at Karne Wala Nhi Hai, Aesa Hai Tum Sab Ka Rabb Lihaza Uski Ibadat Karo Kya Tum Phir Bhi Soochte Nhi. (Surah Younus Surah No. 10 Ayat No. 3)

3. Allah Wo Hai Jin Ne Aasmano Ko Bagair Satoono K Buland Kiya (Jesa K) Tum Is (Aasmani Dunya) Ko Dekh Rahe Ho Phir Allah Arsh Par Qayam Hua Aur Suraj Aur Chand Ko Is Tarha Apne Ma'tahat Kiya K Wo Ek Muqarrar Shuda Waqt Tak K Liye Chal Rahe Hai Allah Hi Kaam Ki Tadbeer Karta Hai (Aur) Wazahat K Sath Nishaniya Bata Raha Hai Takey Tum Loog Apne Rabb Se Milne Par Yakeen Kar Lo. (Surah Ra'ad Surah No. 13 Ayat No. 2)

4. Rahman (Wo Hai Jo) Arsh Par Qayam Hai. (Surah Taha Surah No. 20 Ayat No. 5)

5. Rahman Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Pas Aap Us K Baare Mai Kisi Khabargeer Se Hi Puchey. (Surah Furqaan Surah No. 25 Ayat No. 59)

6. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Aur Jo Kuch Bhi In K Darmiyan Hai (Sab) Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua (Allah K Saamne) Allah K Elawa Tum Sabka Koi Madadgaar Nahi Aur Na Hi Koi Sifarish Karne Wala Kya Tum Loog Yaad Nhi Rakhte.(Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 4)

7. Allah Wo Hai Jisne Aasmano Aur Zameen Ki Takhleeq 6 Din Mai Ki Phir Arsh Par Qayam Hua Wo Janta Hai Jo Kuch Zameen Mai Dakhil Hota Hai Aur Jo Kuch Zameen Se Nikalta Hai, Aur Jo Kuch Aasmano Se Utarta Hai Aur Aasman Mai Chadta Hai Aur Tum Lood Jaha Kahi Bhi Ho Wo Tum Loogo K Sath Hai Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai.(Surah Hadeed Surah No. 57 Ayat No. 4)

Is Mandarja Bala Aayat E Mubaraka Mai Hamare Is Rawa Mouzu Ki Daleel K Sath Sath Ek Aur Baat Ki Bhi Wazahat Hai, Jis K Bare Mai Aksar Loog Galat Fehmi Ka Shikaar Hote Hai, Aur Wo Hai Allah Ki "Ma'iyat" Yani Uska Sath Hona Jis K Bare Mai Amuman Ye Khayal Kiya Jata Hai K Allah Subhanahu Wa Ta'ala Apni Zaate Mubarak K Zariye Kisi K Sath Hota Hai, Jo Ki Durust Nhi Hai Kyunki Allah Ne Khud Hi Apni "Ma'iyat" Ki Kefiyat Bayan Farmate Hue Irshad Farmaya: WALLAHU BIMA TAMALOONA BASEER Aur Jo Kuch Tum Loog Karte Ho Allah Wo Sab Dekhta Hai Yani Allah Ka Sath Hona Uske Ilm Wa Kudrat, Simaat Wa Basarat K Zariye Hai, Na K Uski Zaat E Mubarak K Wajood Paak K Sath Kisi K Sath Hona Hai.

8. Jo Koi Izzat Chahta Hai To (Wo Ye Jaan Le K) Tamaam Tar Izzat Allah K Liye Hai (Yani Izzat Dene Wala Wahi Hai) Paak Batey Us (Allah) Ki Taraf Chadti Hai Aur Nek Amal Apne Karne Wale Ko Buland Karta Hai Aur Jo Loog Buraiya Karte Hai Unke Liye Shadeed Azaab Hai Aur Unki Buri Haali Hi Nestey Nabood Hogi. (Surah Fatir Surah No. 35 Ayat No. 10)

9. Sawal Karne Wale Ne Azaab K Bare Mai Sawal Kiya Jo Wakai Hone Wala Hai Kafiro K Liye Us Azaab Ko Door Karne Wala Koi Bhi Nahi Allah Ki Taraf Se (Allah Hi Hai) Jo (Aasmano Ki) Sidhiyo Ka Malik Hai Us (Allah) Ki Taraf Farishte Aur Rooh (Unhe Seediyo K Zariye) Chadhte Hai Ek (Aese) Din Mai Jis Ki Mikdaar (Tumhari Ginti K Mutabik) 50 Hazaar Saal K Barabar Hai. (Surah Ma'arij Surah No. 70 Ayat No. 1 Se 4 Tak)

10. Wo (Allah) Aasman Se Le Kar Zameen (Har) Kaam Ki Tadbeer Farmata Hai Phir Wo (Kaam) Ek Aese Din Mai Jis Ki Mikdaar Tumhari Ginti K Mutabik 1000 Saal Hai Allah Ki Taraf Chadh Jata Hai. (Surah Sajda Surah No. 32 Ayat No. 5)

11. Wo (Yani Farishte) Apne Oopar Se Apne Rabb Se Darte Hai Aur Jo Huqm Unhe Diya Jata Hai Usi K Mutabik (Har) Kaam Karte Hai. (Surah Nahal Surah No. 16 Ayat No. 50)
Allah Ta'ala K Mandarja Bala Farameen Se Saaf Wazey Toor Par Samajh Ata Hai K Allah Apni Tamaam Tar Makhlook K Upar Us Se Juda Aur Buland Hai Kisi Lafz Ki Koi Tashrih Ya Taweel Karne Se Pehle Hame Allah K Ye Darj Zael Farameen Bhi Zehan Mai Rakhne Chahiye Jin Mai Allah Ne Apne Rasool Muhmmad SAW Ko Mukhatib Farma Kar Unke Ummatiyo Ko Unki Aap Saw K Mansab Risalat Ki Zimmedariyo Mai Se Sab Se Aham Zimmedar Batai Hai Aur Hame Ye Samjhaya K Allah K Farameen Mubaraka Ko Allah K Rasool SAW Ki Bayan Karda Qauli Aur Amli Tafseer, Sharah Aur Talimaat K Mutabik Samjha Hai Na K Apni Akal Wa Sooch, Mijaaz Pasand Na Pasand Aur Apne Khud Saakta Jahalat Zuda Falsafo K Mutabik.
To Be Continue---------

Share:

Yah Duniya imaan walo ke Liye Kaisa Hai?

Yah Duniya Momeen Ke Liye Qaidkhana Hai?

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ حَدَّثَنَا عَبْدُ الْعَزِيزِ يَعْنِي الدَّرَاوَرْدِيَّ عَنْ الْعَلَاءِ عَنْ أَبِيهِ عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الدُّنْيَا سِجْنُ الْمُؤْمِنِ وَجَنَّةُ الْكَافِرِ
नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: दुनिया मोमिनो के लिए कैद खाना (जेल) है और काफिरों के लिए जन्नत  (बाग वा बहार) है।
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: Duniya momino ke liye qayed khana (jail) hai aur kafiron ke liye jannat (baag wa bahar) hai.
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا،  دنیا مومن کے لیے قید خانہ ( جیل ) ہے اور کافر کے لیے جنت ( باغ و بہار ) ہے ۔
Allah's Apostle ﷺ said, ‘The world is a prison-house for a believer and Paradise for a non-believer.’
Wazahat: Mafhum ye hai ke jis tarah qaid khane ka qaidi jail ke qaede wa qanoon ka paband hota hai isi tarah ye duniya momino ke liye ek qaid khane ki misal hai, iss mein momin shahwat wa khwahishat nafs se bachta hua mominana wa muttaqiyana (parhezgar) ki zindagi guzarta hai, iske bar aqs (muqable) kafir har tarah se azad rah kar shahwaat wa khwahishat ki lazzato mein mast rehta hai goya  duniya uske liye jannat hai jab ki momin ke liye qaid khana hai. Allah swt ne farmaya "
"Logo! Allah Taalaa ka wada sacha hai tumhen zindaganiy-e-duniya dhokay mein na daal day aur na dhokay baaz shaitan tumhen ghaflat mein daal day" [Quran 35:5]. Nabi kareem ﷺ ne farmaya: duniya ki misaal akhirat ke muqable mein aisi hi hai jaise tum mein se koi apni ungli samudar mein daale, aur phir dekhe ke kitna paani uski ungli mein wapas ata hai (yaani jitna paani ungli mein laga wo duniya, baki samundar ki misal aakhirat hai) [ibne majah: 4108].
Sahih muslim: jild 6, kitab Az zuhd wa ar riqaq 55, hadith no. 7417..
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera



Share:

Wo Kaunse Log Honge Jinse Qyamat Ke Din Ambiya Bhi Rashk Karenge.

WOH KAUN SE Log HAI Jin Se Qayamat KE DIN AMBIYAA AUR SHUHADA BHI UN PAR RASHK (Jealousy) karenge.

Ye Woh Log Hai Jo "AL-WaLaa WaL-Baraa" Par 'AmaL Karte Hai.
'Umar Bin AL-Khattaab (RaziALLaahu 'Anhu) Se Rivaayat Hai :
Nabi (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Farmaaya

"‏ إِنَّ مِنْ عِبَادِ اللَّهِ لأُنَاسًا مَا هُمْ بِأَنْبِيَاءَ وَلاَ شُهَدَاءَ يَغْبِطُهُمُ الأَنْبِيَاءُ وَالشُّهَدَاءُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِمَكَانِهِمْ مِنَ اللَّهِ تَعَالَى ‏"‏ ‏.‏
“ Allah Ke Bandon Mein Kuch Log Aisey Bhi Hongey Jo NABI Hongey Na SHAHEED , Magar Qayamat Ke Roz Allah Ke Haan (BuLand) Maraatib (Martabah) Wa ManaaziL Ki Wajah Se AMBIYAA Wa SHUHADAA Bhi Un Par Rashk (Envy/Jealousy) Kareyngey.”

Sahaabah Ne Kaha : Aye ALLaah Ke RasooL ! Humein Batayein , Woh Kaun Log Hongey ?

Aap (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Farmaaya
‏"‏ هُمْ قَوْمٌ تَحَابُّوا بِرُوحِ اللَّهِ عَلَى غَيْرِ أَرْحَامٍ بَيْنَهُمْ وَلاَ أَمْوَالٍ يَتَعَاطَوْنَهَا فَوَاللَّهِ إِنَّ وُجُوهَهُمْ لَنُورٌ وَإِنَّهُمْ عَلَى نُورٍ لاَ يَخَافُونَ إِذَا خَافَ النَّاسُ وَلاَ يَحْزَنُونَ إِذَا حَزِنَ النَّاسُ ‏"‏ ‏.‏ وَقَرَأَ هَذِهِ الآيَةَ ‏{‏ أَلاَ إِنَّ أَوْلِيَاءَ اللَّهِ لاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ ‏}‏ ‏.‏
“ Ye Woh Loag Hongey Jo Aapas Mein Allah Ki Kitaab (Ya ALLaah Ke Saath Muhabbat) Ki Bina Par (Ek Doosre Se) Muhabbat Kartey They (they are people who love one another in the spirit of ALLAAH). HaaLaan Ke Un Ka Aapas Mein Koi RISHTA NAATAA Ya MAALI LEYN DEYN (financial interests) Na Tha.

ALLAAH Ki Qasam ! Un Ke Chehrey NOOR Hongey Aur Woh Log NOOR Par Hongey. Jab Log Khauf Zadah Ho Rahey Hongey , Tou Unhein Koi Khauf Na Hoga.

Jab Log Ghumgeen Wa Pareyshaan Ho Rahey Hongey , Tou Unhein Koi Ghum Aur Pareshani Na Hogi.”

Aap (SaLLaLLaahu 'ALaihi WasaLLam) Ne Ye Aayat-e-Kareemah TiLaavat Farmaai
اَلَاۤ اِنَّ اَوۡلِیَآءَ اللّٰہِ لَا خَوۡفٌ عَلَیۡہِمۡ وَ لَا  ہُمۡ  یَحۡزَنُوۡنَ
“Aagaah Raho ! ALLAAH Ke WaLiyon Ko Koi Khauf Hoga Na Woh Ghum Khayenge.” [ Surah Yoonus : 62]

Sunan Abu Daawood , Kitaab-UL-Ijaarah (Wages) , Hadees [Saheeh] : 3527

NOTE : Aey Logon Allah Ke Liye Dosti Aur Allah Ke Liye Dushmani Karo. Kyun Ke Ye Emaan Ki Mazboot Tareen Zanjeer Hai.

ALLaah Hum Sab Ko Kufr-Bit-Taaghoot, Aur Allah Ke Liye Dosti Aur Allah Ke Liye Dushmani Karne WaaLa Banaaey.

Aur ALLaah Aaj Ke MunaafiQon Ko Hidaayat De, Ya Un Ko Battareen Maut De.
آمين يارب العالمين ...

Share:

Allah Kin Logo Se Mohabbat Nahi Karta?

Allah Kisse Mohabbat Nahi Karta
*وَأَمَّا الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ فَيُوَفِّيهِمْ أُجُورَهُمْ وَاللَّهُ لَا يُحِبُّ الظَّالِمِينَ*

And as to those who believe and do good deeds, He will pay them fully their rewards; and Allah does not love the unjust.

*Roman Urdu

*Lekin iimaan waalo aur neyk amaal waalo ko, Allah ta'ala un ka sawaab pura pura dega aur Allah ta'ala zaalimo se muhabbath nahi karta*

*(Qur'an -Surah Aal-e-Imran, Verse 57).
------------------------------------------------

Share:

Allah Kin Logo Ko Rah-E-Rast Nahi Dikhayega.

Allah Ki Logo ko Hidayat Nahi Deta Hai?

Arabic
  ذٰلِکَ بِاَنَّہُمُ اسۡتَحَبُّوا الۡحَیٰوۃَ الدُّنۡیَا عَلَی الۡاٰخِرَۃِ ۙ وَ اَنَّ اللّٰہَ  لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ  الۡکٰفِرِیۡنَ ﴿۱۰۷﴾
  اُولٰٓئِکَ الَّذِیۡنَ طَبَعَ اللّٰہُ عَلٰی قُلُوۡبِہِمۡ وَ سَمۡعِہِمۡ وَ اَبۡصَارِہِمۡ ۚ وَ اُولٰٓئِکَ ہُمُ الۡغٰفِلُوۡنَ ﴿۱۰۸﴾
  لَاجَرَمَ  اَنَّہُمۡ  فِی الۡاٰخِرَۃِ   ہُمُ  الۡخٰسِرُوۡنَ ﴿۱۰۹﴾
Roman Urdu
  Yeh is liye ke inhone duniya ki zindagi ko aakhirat par ziyada mahboob rakha. Beshak Allah Ta"ala kafir logon ko raasta nahi dikhata.
  Yeh woh log hain jin ke dilon par aur jin kr kanon par aur jin ki aankhon par Allah ta"ala ne mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain.
  Kuch shak nahi ke yehi log aakhirat mein sakht nuksan uthane wale hain.
 Urdu
  یہ اس لئے کہ انہوں نے دنیا کی زندگی کو آخرت سے زیادہ محبوب رکھا یقیناً اللہ تعالٰی کافر لوگوں کو راہ راست نہیں دکھاتا ۔
  یہ وہ لوگ ہیں جن کے دلوں پر اور جن کے کانوں پر اور جن کی آنکھوں پر اللہ تعالی نے مہر لگا دی ہے اور یہی لوگ غافل ہیں ۔
  کچھ شک نہیں کہ یہی لوگ آخرت میں سخت نقصان اُٹھانے والے ہیں ۔
English
  That is because they preferred the worldly life over the Hereafter and that Allah ta"ala does not guide the disbelieving people.
  Those are the ones over whose hearts and hearing and vision Allah ta"ala has sealed, and it is those who are the heedless.
  Assuredly, it is they, in the Hereafter, who will be the losers.
  Surah : Al nahal
Aayat # 107 to 109
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

Allah Se Mohabbat Ke Sacche Dawe-Daar Kaun Hai?

Allah se Mohabbat K Suche Dawe-daar Kon Hai

           True Love From Allah 

فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ

Hamare Muslim mu'ashre m aisa koi nahe jo ye dawa na kare k wo Allah se Mohabbat karta hai, Lekin jab Aamal, Aqayad ki baat aate h aur inhe Nabi ﷺ ki Saheh Hadees bataye jate h to inhe apna maslq, apne imam, apne buzrug, apne peer ki bate he Azeez hote h...
Allah tala Quran e Pak m irshad faramata hai...
 Keh dijiye! Kay agar tum Allah Taalaa say mohabbat rakhtay ho to meri tabeydari kero khud Allah Taalaa tum say mohabbat keray ga aur tumharay gunah moaf farma dey ga aur Allah Taalaa bada bakshney wala meharban hai.*
  *Keh dijiye! Kay Allah Taalaa aur rasool ki ita’at kero agar yeh mun pher len to be-shak Allah Taalaa kafiron say mohabbat nahi kerta.*
* Qur'an: 3: 31,32*
 *Tafseer Ibne Kaseer :-*
Tafseer ibne kaseer m Imam ibne kaseer rahemullah ne is aayat ki tafseer k talluq se kehte hai...
* Is aayat ne faisla kar diya jo shakhs Allah ki mohabbat ka dawa kare, aur iske Aamal Af'aal Aqayad Farman nabi ﷺ k mutabeeq na ho, tareeqa Mohammadiya par wo kar banad na ho, to wo apne is dawe m jhoota hai,‼*
* Shahe Hadees m h Rasool ﷺ faramate hai :- jo shakhs aisa amal kare jis par Hamara amal na ho wo mardood hai. Isliye yaha bhe irshad hota h k agr tum Allah se mohabbat rakhne k dawe m suche ho to meri sunnato par Amal karo, is waqt tumhari chahat se zeyda Allah tumhe dega, yaani wo khud tunhara chahne wala ban jayega. Jaise k baaz Hakeem ulma ne kaha h k tera chahna koi cheez nahe lutf to is waqt h k Allah tujhe chahne lag jaye garz allah ki mohabbat ki yahe nishani yahe hai k har kaam m itteba e Sunnat madde nazar ho. Deen sirf Allah se mohabbat aur Allah k liye dushmani ka naam hai.*
 *Hadees par chalne ki waja se Allah tumhare tamam gunaho ko maaf farma dega,  phir har khas wa aam ko hukm milta hai k sab Allah wa Rasool ko farma bradaar ban jaye. Jo na-farman ho jaye yaani Allah aur Rasool ﷺ ki itaaat se hat jaye to wo kafir hai Allah in se mohabbat nahe rakhta.*
* Is se wazeh ho gaya k Rasool ﷺ ki k tareeqe ki mukhalefat kufr hai aise log Allah k dost nahe ho sakte go inka dawa he kun na ho. Lekin jab tak Allah k suche nabi umme khateemur-Rasool jin wa bashar  ﷺ ki tabedari pairwe aur itteba sunnat na kare wo apne is dawe m jhoote hai.

Hazrat Rasool ﷺ to wo hai k agr aaj Ambiya A.S aur Rasool balke bhtreen aur ulul-azm paigambar bhe zinda hote to bhe Aap  ﷺ ki mane bagair aur Aap  ﷺ ki Shriyat par kar-band huwe bagair chara he na tha.*
 Tafseer Ibne Kaseer: 3:31,32
Allah tala se duwa hai k ham Sab ko apne masayeele ikhtelafat m Quran wa Saheh Hadees* ki Daleel aa jane k baad use tasleem karne ki tofeeq de, beshq yahe log Allah aur Rasool ﷺ se mohabbat k sache Dawe-daar hai ...
*آميــــــــــــــــــــن يَارَبَّ الْعَالَمِين*
____________________________________
Share:

Jo Log Iman Se Munafiq hote Hai Unki Nishaniya*

🔲 *Jo log Iman se MUNAFIQ hote hai unki Nishaniya:*

◼Aaj bhi is tarah ke Munafiq log Musalmano ke darmiyan Islam ka Libaz pahenkar baithe hai. Aap inke dhoke me Na aaye.

🌷

وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ

*"Baaz log kahte hai ke hum Allah Ta'ala par aur Qayaamat ke din par imaan rakhte hai lekin dar haqiqat wo imaan wale nahi hai"*.

يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ

*"Wo Allah Ta'ala ko aur imaan walo ko dhoka dete hai lekin darasal wo khud apne aap ko dhoka de rahe hai, magar samajhte nahi"*.

فِى قُلُوبِهِم مَّرَضٌۭ فَزَادَهُمُ ٱللَّهُ مَرَضًۭا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْذِبُونَ

*"Unke dilo me bimari thi Allah Ta'ala ne unhe bimari me mazeed bada diya aur un ke jhoot ki wajeh se unke liye dardnaak azaab hai"*.

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا۟ فِى ٱلْأَرْضِ قَالُوٓا۟ إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ

*"aur jab un se kaha jaata hai ke zameen me fasaad na karo to jawaab dete hai ke hum to sirf islaah karne waale hai"*.

أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ

*"Khabardaar! yaqinan yahi log fasaad karne waale hai lekin sha'oor (samaj) nahi rakhte".*

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ ءَامِنُوا۟ كَمَآ ءَامَنَ ٱلنَّاسُ قَالُوٓا۟ أَنُؤْمِنُ كَمَآ ءَامَنَ ٱلسُّفَهَآءُ ۗ أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلسُّفَهَآءُ وَلَٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ

*"Aur jab unse kaha jaata hai ke aur logo ki tarah (yaani Sahaba ki tarah) tum bhi imaan laao to jawaab dete hai ke kya hum aisa imaan laye jaisa be'waqoof laaye hai, Khabardaar ho jao! Yaqinan yahi be'waqoof hai, lekin jaante nahi"*.

وَإِذَا لَقُوا۟ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوْا۟ إِلَىٰ شَيَٰطِينِهِمْ قَالُوٓا۟ إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِءُونَ

*"Aur jab imaan waalo se milte hai to kahte hai ke hum bhi imaan waale hai aur jab apne bado (apne sathiyo) ke paas jaate hai to kahte hai ke hum to tumhaare saath hai, hum to unse sirf mazaaq karte hai"*.

ٱللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِى طُغْيَٰنِهِمْ يَعْمَهُونَ

*'Allah Ta'ala bhi un se mazaaq karta hai aur unhe unki sarkashi aur bahkaawe me aur bada deta hai"*.

📕(Surah 02 Baqarah : ayat 08-15)

◻   ◻   ◻  ◻  ◻   ◻
            🌷......✒......🌷
                *Aaj ki Ayat*
                         by
Akhi _Abu Inayah,

Share:

Jo Log Imaan Se Munafiq Hote Hai Unki Nishaniya.

🔲 *Jo log Iman se MUNAFIQ hote hai unki Nishaniya:*

◼Aaj bhi is tarah ke Munafiq log Musalmano ke darmiyan Islam ka Libaz pahenkar baithe hai. Aap inke dhoke me Na aaye.

🌷

وَمِنَ ٱلنَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَبِٱلْيَوْمِ ٱلْءَاخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ

*"Baaz log kahte hai ke hum Allah Ta'ala par aur Qayaamat ke din par imaan rakhte hai lekin dar haqiqat wo imaan wale nahi hai"*.

يُخَٰدِعُونَ ٱللَّهَ وَٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ

*"Wo Allah Ta'ala ko aur imaan walo ko dhoka dete hai lekin darasal wo khud apne aap ko dhoka de rahe hai, magar samajhte nahi"*.

فِى قُلُوبِهِم مَّرَضٌۭ فَزَادَهُمُ ٱللَّهُ مَرَضًۭا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا۟ يَكْذِبُونَ

*"Unke dilo me bimari thi Allah Ta'ala ne unhe bimari me mazeed bada diya aur un ke jhoot ki wajeh se unke liye dardnaak azaab hai"*.

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ لَا تُفْسِدُوا۟ فِى ٱلْأَرْضِ قَالُوٓا۟ إِنَّمَا نَحْنُ مُصْلِحُونَ

*"aur jab un se kaha jaata hai ke zameen me fasaad na karo to jawaab dete hai ke hum to sirf islaah karne waale hai"*.

أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلْمُفْسِدُونَ وَلَٰكِن لَّا يَشْعُرُونَ

*"Khabardaar! yaqinan yahi log fasaad karne waale hai lekin sha'oor (samaj) nahi rakhte".*

وَإِذَا قِيلَ لَهُمْ ءَامِنُوا۟ كَمَآ ءَامَنَ ٱلنَّاسُ قَالُوٓا۟ أَنُؤْمِنُ كَمَآ ءَامَنَ ٱلسُّفَهَآءُ ۗ أَلَآ إِنَّهُمْ هُمُ ٱلسُّفَهَآءُ وَلَٰكِن لَّا يَعْلَمُونَ

*"Aur jab unse kaha jaata hai ke aur logo ki tarah (yaani Sahaba ki tarah) tum bhi imaan laao to jawaab dete hai ke kya hum aisa imaan laye jaisa be'waqoof laaye hai, Khabardaar ho jao! Yaqinan yahi be'waqoof hai, lekin jaante nahi"*.

وَإِذَا لَقُوا۟ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ قَالُوٓا۟ ءَامَنَّا وَإِذَا خَلَوْا۟ إِلَىٰ شَيَٰطِينِهِمْ قَالُوٓا۟ إِنَّا مَعَكُمْ إِنَّمَا نَحْنُ مُسْتَهْزِءُونَ

*"Aur jab imaan waalo se milte hai to kahte hai ke hum bhi imaan waale hai aur jab apne bado (apne sathiyo) ke paas jaate hai to kahte hai ke hum to tumhaare saath hai, hum to unse sirf mazaaq karte hai"*.

ٱللَّهُ يَسْتَهْزِئُ بِهِمْ وَيَمُدُّهُمْ فِى طُغْيَٰنِهِمْ يَعْمَهُونَ

*'Allah Ta'ala bhi un se mazaaq karta hai aur unhe unki sarkashi aur bahkaawe me aur bada deta hai"*.

📕(Surah 02 Baqarah : ayat 08-15)

◻   ◻   ◻  ◻  ◻   ◻
           

Share:

Niyat Ke BAgair Amal Qabul NAhi.

Saare Aamalo Ka Daaromadar Niyyato Par Hai

Ahadees "e" Nabvi Sallallahu Alahiwa Sallam
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​
حدثنا يحيى بن قزعة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ حدثنا مالك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن يحيى بن سعيد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن محمد بن إبراهيم بن الحارث ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن علقمة بن وقاص ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن عمر بن الخطاب ـ رضى الله عنه ـ قال قال النبي صلى الله عليه وسلم ‏  ‏ العمل بالنية ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وإنما لامرئ ما نوى ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ فمن كانت هجرته إلى الله ورسوله فهجرته إلى الله ورسوله صلى الله عليه وسلم ومن كانت هجرته إلى دنيا يصيبها أو امرأة ينكحها ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ فهجرته إلى ما هاجر إليه*
Umar bin Al-Khattab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah SallallahuAlaihi Wasallam  ne farmaya
Aamal ka daromadar Niyat par hai
Aur har shaksh ko wohi milta hai jiski wo niyat kare isliye jiski hijrat (emigration) ALLAH aur uske Rasool ki Raza hasil karne ke liye ho to usko ALLAH aur uske Rasool ki Raza hasil hogi
Lekin jiski hijrat dunya hassil karne ke liye ho ya kisi aurat se shaadi karne ke irade se ho to uski hijrat uske liye hai jiske liye usne hijrat ki
 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ عمل کا دارومدار نیت پر ہے اور ہر شخص کو وہی ملتا ہے جس کی وہ نیت کرے۔ اس لیے جس کی ہجرت اللہ اور اس کے رسول کی رضا حاصل کرنے کے لیے ہو، اسے اللہ اور اس کے رسول کی رضا حاصل ہو گی لیکن جس کی ہجرت دنیا حاصل کرنے کی نیت سے یا کسی عورت سے شادی کرنے کے ارادہ سے ہو، اس کی ہجرت اسی کے لیے ہے جس کے لیے اس نے ہجرت کی*
 *Sahih Bukhari, vol 6, 5070,*
*Comment*
*Insan Uper se kuch bhi kahe Lekin Allah Subhanahu Wata"ala Uske dil ki Niyyat ko Baqoobi Janta hai jo jaisi Niyyat karta hai Behsak Allah usko waisa ajr o Sawab ata karne wala hai*
*Aise logo ke liye Badi Kharabi hai Ki Jo Dunya ke Dikhawe Ke liye Koi kaam  kare*
*Is Hadees se ye pata chalta hai ki Har Amal ka darmadar Niyyat par hai*
*Koi shakhs Namaz ki Niyyat se wazu karta hai phir usko zarurat nahi ki wo Zuban se kahe ki main Do rakat Namaz padhta hun is imaam ke peeche muh mera kabe shareef ki taraf kyun ki Niyyat dil ke irade ka Nam hai jis waqt wo dil me irada kar liye Namaz ka Phir us namaz  ke liye wazu bhi kiya Iske baad zuban se aisa kehna Biddat hai Ye Mal Nabi Kareem Sallallahu Alahiwa Sallam Se sabit bhi nahi hai
*Isee tarha Se koi shakhs Neki ka Irada karta hai phir usne wo Neki ki ho Ya nahi iska ajr o sawab Uske Naam e amal me likh diya jata hai.
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sab Se Jyada Muhabbat Kyu? Part 3.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat kyu?

Part-③
Tehreer: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari

Husn o Jamaal:
Teesra sabab jis ki wajah se duniya waale kisi se mohabbat karte hain woh husn o jamaal hai yeh khoobi bhi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke andar mukammal taur par maujood hai, dus (10) saal Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat karne waale Anas bin Maalik Radhiallahu Anhu farmate hain:
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَحْسَنَ النَّاسِ
*Tarjumah:* Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam tamam logon mein sab se ziyadah khoobsoorat they.
*[Sahih Bukhari: 2820]
Husn o jamaal ko bayan karne mein sab se ziyadah mahaarat shu’aaraa (poets) hazraat ko hoti hai, Sahaba e Kiraam mein bhi ek shayar (poet) Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu they unhon ne apne ash’aar mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khoobsoorti ka hairat-angaiz naqsha kheencha hai, farmate hain:
وأَحسنُ منكَ لم ترَ قطُّ عيني
وَأجْمَلُ مِنْكَ لَمْ تَلِدِ النّسَاءُ
خلقتَ مبرأً منْ كلّ عيبٍ
كأنكَ قدْ خلقتَ كما تشاءُ
Tarjumah:* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah haseen meri aankh ne na dekha
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah Jameel kisi khatoon ne nahi jana
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki paidaish har qism ke aib se is tarah paak hai
Ke lagta hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apni khwahish ke mutabiq paida kiye gaye hain.
*[Ad-dewaan Al-Mansoob ilaa Hassan bin Saabit, Page No: 2. Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu ki taraf in ash’aar ki nisbat par mazboot suboot maujood nahi hai is liye yeh un ke ash’aar ho bhi sakte hain aur nahi bhi lekin behar-haal yeh ash’aar kisi na kisi mo'min hi ke hain, Wallahu A’lam Bis-Sawaab]
Agar duniya waale kisi ke husn o jamaal ki wajah se mohabbat karna chahte hain to unhein sab se ziyadah Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat karni chahiye.
Wazeh rahe ke mohabbat ke yeh tamam asbaab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein ek saath kamaal ke darje mein maujood hain, jis zaat ke andar yeh kamalaat hon usay yeh kehne ka haq haasil hai:
لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ
*Tarjumah:* Tum mein se koi bhi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke baap, us ke bete aur tamam logon se ziyadah mehboob na ban jaaun.
*[Sahih Bukhari: 15]
Is Hadees mein Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ka jo mutalba hai woh bila-wajah nahi hai, jab mohabbat ke jitne bhi asbaab hote hain sab ek saath Aala darjaa mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein paaye jaate hain to is soorat e haal ka fitri taqaza hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ki jaaye.
Asbaab e mohabbat yeh mohabbat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka sirf ek pehlu hai is ke saath saath mohabbat e Rasool ke deegar pehluon par nazar rakhni chahiye.
Allah se dua hai ke Allah hum tamam musalmanon ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki pairwi ki taufeeq ata farmaaye, Aameeen.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

Aamaal Emaan Mein Dakhil Hai.

Aamaal Emaan Mein Dakhil Hain
Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.
Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.
Salaf e saleheen aur unke mukhalif murji (hanafi) firqe mein emaan ke masail mein sab se ziyada ikhtilaaf is masley mein tha ke aamaal emaan mein dakhil hain ya nahi, aslaaf ya’ne sahaba aur tabayeen ka mazhab ye tha ke emaan qaul o amal ka naam hai, wo issey muraad dil ka qaul o aamal, zubaan ka qaul aur aaza’ ka amal letey they.
Murjiyah’ (hanafiyah) ka kehna hai ke emaan sirf dil ki tasdeeq aur zubaan ke iqraar ka naam hai, aamaal emaan mein dakhil nahi, balke uske samraat hain, isi mauqif ki wajah se wo emaan mein kami aur beshee (ziyadti) aur istisna ke munkir huwe.
Jaise hi ye bidat ummat mein zahir huwi, salaf e saleheen aur ahle irjaa ke darmiyan ikhtilaaf aur jhagde ka silsila chal nikla, salaf e saliheen ney murjiyah ke qaul ko batil sabit kiya aur unko bid’ati aur gumrah qaraar dey kar ummat ko unke shanee’ mazhab (burey mazhab) se door kiya.
Hafiz Ibne Rajab (Rahimahullah) likhtey hain:
أنکر السّلف علی من أخرج الأعمال عن الایمان انکاراً شدیداً
"Salaf e saleheen ney un logon par sakht nakeer ki, jinhone emaan se aamal ko kharij kiya."
[Jami’ ul Uloom Wal-Hikam 23,24]
Ikhtilaaf ki wajah ye hai ke murjiyah ke nazdeek emaan ek hi cheez hai, uske ajza nahi hain, jab ke salaf e saleheen ke nazdeek emaan qaul o amal se murakkab (mila huwa) hai.
Hafiz Ibne Qayyim Rahimahullah [751-691] salaf ka mazhab bayaan kartey huwe farmatey hain:
الایمان حقیقۃ مرکّبۃ من معرفۃ ما جاء بہ الرّسول والتّصدیق بہ عقدا والاقرار بہ نطقاً والانقیاد لہ محبۃً وخضوعاً والعمل بہ باطناً وظاہراً وتنفیذہ والدّعوۃ الیہ بحسب الامکان وکمالہ فی الحبّ للّٰہ والمنع للّٰہ ۔
"Emaan Rasool-E-Akram (ﷺ) ki talimaat ki ma’rifat (jankaari), dil se unki tasdeeq, zubaan se iqraar, muhabbat o inkisaari se ita'at, zahiri aur baatani taur par amal, unke nifaaz aur hasb e istetaa'at (taqat bhar) unki taraf dawat se murakkab hai, neez emaan ka kamaal Allah ta'ala ke liye muhabbat aur usi ke liye nafrat mein muzmar hai."
[Al Fawaid: 196]
Ibne Taymiyah Rahimahullah [728-661] murjiyah ka mazhab bayaan kartey huwe farmatey hain:
وقالت المرجئۃ والجھمیّۃ : لیس الایمان الّا شیئا واحداً لا یتبعّض ، امّا مجرّد تصدیق القلب کقول الجھمیّۃ ، أو تصدیق القلب واللّسان کقول المرجئۃ ۔۔۔۔۔وجماع شبھتھم فی ذٰلک أنّ الحقیقۃ مرکّب تزول بزوال بعض أجزائھا ، کالعشرۃ ، فانّہ اذا زال بعضھا لم تبق عشرۃ ، وکذٰلک الأجسام المرکبۃ ۔
"Murjiyah aur jehmiyah kehtey hain ke emaan ek hi cheez ka naam hai, uske ajzaa nahi, jehmiyah ke nazdeek wo sirf tasdeeq e qalbi hai aur murjiyah ke nazdeek dil aur zubaan ki tasdeeq ka naam hai, unka asl aiteraaz (emaan ke murakkab hone par) yehi hai ke murakkab cheez ek juz ke khatm honey se zaayil (khatm) ho jaati hai, jaise "dus" ek murakkab haqiqat hai, agar "ek" bhi peechey hat jaye to dus baqi nahi rehtey, is tarha doosre murakkab ajsaam ka haal hai."
[Majmoo ul Fatawa: 7/510-511]
Is silsile mein unki sab se badi daleel lughat hai, unka kehna hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq ka mana deyta hai, jaise Imam Muhammad Bin Nasr Al-Marwazi Rahimahullah [294_202] farmatey hain:
ومن أعظم حجج المرجئۃ الّتی یقولون بھا عند أنفسھم اللّغۃ ، وذٰلک أنّھم زعموا أنّ الایمان لا یعرف فی اللّغۃ الّا بالتّصدیق ، وزعم بعضھم أنّ التّصدیق لا یکون الّا بالقلب ، وقال بعضھم : لا یکون الّا بالقلب واللّسان ، وقد وجدنا العرب فی لغتھا کلّ عمل حقّقت بہ عمل القلب واللّسان تصدیقاً ۔
"Is bare me murjiyah ki sab se badi daleel lughat hai, unka dawa hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq par bola jaata hai, phir baaz ka khayaal hai ke tasdeeq sirf dil se hoti hai, jabke baaz ke baqaul sirf dil aur zubaan se hoti hai, halanke humne arab ki lughat mein dekha hai ke har wo aamal jis se dil aur zubaan ka aamal sabit ho, usey tasdeeq kaha gaya hai."
[Ta’zeem-o-Qadr As-Salaah: 2/716]
Ibne Taymiyah Rahimahullah farmatey hain:
وقد عدلت المرجئۃ فی ھٰذا الأصل عن بیان الکتاب والسّنۃ ، وأقوال الصّحابۃ والتّابعین لھم باحسان ، واعتمدوا علی رأیھم ، وعلی ما تاوّلوہ بفھمھم اللّغۃ ، وھٰذہ طریقۃ أھل البدع ۔۔۔۔۔۔ولھٰذا نجد المعتزلۃ والمرجئۃ والرّافضۃ وغیرہم من أھل البدع یفسّرون القرآن برأیھم ومعقولھم وما تاوّلوہ من اللّغۃ ، ولھٰذا تجدھم لا یعتمدون علی أحادیث النّبیّ صلّی اللّٰہ علیہ وسلّم والتّابعین وأئمّۃ المسلمین ، فلا یعتمدون لا علی السّنۃ ولا علی اجماع السّلف وآثارھم، وانّما یعتمدون علی العقل واللّغۃ ، وتجدھم لا یعتمدون علی کتب التّفسیر المأثورۃ والحدیث وآثار السّلف ، وانّما یعتمدون علی کتب الأدب وکتب الکلام الّتی وضعتھا رؤوسھم ۔
"Is asl (emaan) ke bare me murjiyah kitaab o sunnat aur qaul e sahaba wa tabayeen se hat gaye hai, unhone apni aql aur lughat par aitemaad kiya hai, ye ahle bidat ka tareeqa hai, yehi wajah hai ke hum mu’tazilah, murjiyah, rawafiz aur deegar bid’atiyon ko dekhtey hain, wo quran ki tafseer apni raaye, aql aur lughat se kartey hain, is liye aap unhein ahadees e nabawi (ﷺ) aur sahaba, tabayeen aur aslaaf ke aasaar par aitemaad karta nahi dekhenge, na wo ahadees ki parwaah kartey hain, na ijmaa' e salaf ki, wo to apni aql aur lughat par inhesaar kartey hain, aap kabhi nahi paayenge ke wo tafseer bil-ma’soor, ahadees aur aasaar e salaf par mushtamil kutub par aitemaad kartey hon, balke wo to adab ki kutub aur apne badon ki likkhi huwi ilm e kalaam ki kitabon par aitemaad kartey hai.n"
[Al-Emaan: 114]
Al-hasil (khulasa yeh ki) salaf e saliheen ney kitaab o sunnat ki mutawatir nusoos aur ijmaa’ ke zariye murjiyah ka mukammil radd kiya hai, unke kuch dalail qari'een ke istefadah ke liye paish kiye jaa rahe hain, mulahiza farmayen:
Farmaan e bari ta'ala hai:
○اِنَّمَا الْمُؤْمِنُوْنَ الَّذِیْنَ اِذَا ذُکِرَ اللّٰہُ وَجِلَتْ قُلُوْبُھُمْ وَاِذَا تُلِیَتْ عَلَیْھِمْ اٰیٰتُہ، زَادَتْھُمْ اِیْمَانًا وَّعَلٰی رَبِّھِمْ یَتَوَکَّلُوْنَ٭ الَّذِیْنَ یُقِیْمُوْنَ الصَّلٰوۃَ وَمِمَّا رَزَقْنٰھُمْ یُنْفِقُوْنَ
▪الأنفال : ٢۔٣▪
"Bila-shuba momin wo hain ke jab unke paas Allah ka zikr kiya jaye to unke dil darr jaatey hain aur jab un par us (Allah ta'ala) ki aayaat tilawat ki jayen to unke emaan ko badha deyti hai, neez wo apne Rabb par tawakkul (bharosa) kartey hain, wo log namaz qayim kartey hain aur jo kuch humne unhen diya hai, us mein se kharch kartey hain."
[Surah Al-Anfaal: 2-3]
Is aayat e kareema mein Allah ta'ala ney bayaan kar diya hai ke mazkoorah tamaam qalbi aur badani aamaal se banda momin banta hai.
Imam Muhammad Bin Nasr Al-Marwazi Rahimahullah farmatey hain:
وصف اللّٰہ عزّوجلّ المؤمنین بالأعمال ، ثمّ ألزمھم حقیقۃ الایمان ، ووصفھم بھا بعد قیامھم الأعمال ، من الصّلوٰۃ والزکّاۃ وغیرھا۔
"Allah ta'ala ney momino ko aamaal se muttasaf farmaya hai, phir unko haqeeqi momin qaraar diya, lekin namaz aur zakaat wagaira jaise mazkorah aamaal ko qayim kar leyne ke baad."
(Ta’zeem-o-Qadr As-Salaah)
Farmaan e Ilahi hai:
○وَمَا کَانَ اللّٰہُ لِیُضِیْعَ اِیْمَانَکُمْ○
▪البقرۃ : ١٤٣▪
"Aur Allah ta'ala tumhare emaan ko zaya karne wala nahi."
[Surah Al-Baqrah: 143]
Hafiz Ibne Abdul Barr Rahimahullah [463-368] likhtey hain:
لم یختلف المفسّرون أنّہ أراد: صلاتکم الی بیت المقدس، فسمّی الصّلوٰۃ ایماناً
"Mufassireen ka ittefaaq hai ke yahan bait ul maqdis ki taraf monh (face) kar ke padhi gayi namaz muraad hai, lehaza Allah ta'a.la ney namaz ka naam emaan rakkha hai."
[At-Tamheed Li Ibne Abdul Barr: 9/253]
Sabit huwa ke emaan mein aamaal dakhil hain, namaz aaza aur jawarih aur dil ka amal hai aur zubaan ka qaul hai.
Farmaan e Bari ta'ala hai:
قُلْ اَطِیْعُوا اللّٰہَ وَ الرَّسُوْلَ فَاِنْ تَوَلَّوْا فَاِنَّ اللّٰہَ لَا یُحِبُّ الْکٰفِرِیْنَ۔
▪آل عمران : ٣٢▪
"(Aye Muhammad ﷺ) keh dijiye, Allah aur uske Rasool ki ita'at o farmanbardari karo, aagar tum phir gaye to Allah kafiron ko pasand nahi karta."
[Surah Aal e Imran: 32]
Is aayat e kareema se sabit huwa ke sirf dil ki tasdeeq aur zubaan ka iqraar emaan ke liye kaafi nahi hai, kuyke yahan emaan ke liye ita'at ko amalan lazim qaraar diya gaya hai.
Farmaan e Rabbul Aalameen hai:
وَمَا اُمِرُوْۤا اِِلَّا لِیَعْبُدُوْا اللّٰہَ مُخْلِصِیْنَ لَہُ الدِّیْنَ حُنَفَآءَ وَیُقِیْمُوا الصَّلٰوۃَ وَیُؤْتُوا الزَّکٰوۃَ وَذٰلِکَ دِیْنُ الْقَیِّمَۃِ
▪البیّنۃ : ٥▪
"Unko sirf ye hukm diya gaya tha ke eksoo ho kar khalis Allah ki ibadat karen, neez wo namaz qayim karen aur zakaat aada karen, yehi mazboot deen hai."
[Surah Al-Bayyinah: 5]
Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah [774-701] farmatey hain:
وقد استدلّ کثیر من الأئمۃ کالزّھری والشّافعیّ بھٰذہ الآیۃ الکریمۃ علی أنّ الأعمال داخلۃ فی الایمان ۔
"Bohot se aaimma e kiraam jin mein imam zohri aur imam shafayee Rahimuhumallah shamil hain, ney is aayat e kareema se istedaal kiya hai ke aamaal emaan mein dakhil hain."
[Tafseer Ibne Kaseer: 8/477]
Doosri bohot si aayaat se bhi aamaal ka emaan mein shamil hona maloom hota hai.
Imam Aajurri Rahimahullah (died on 360 hijri) farmatey hain:
اعلموا۔رحمنا اللّٰہ وایّاکم۔یا أھل العلم بالسّنن والآثار ، ویا معشر من فقّھھم اللّٰہ تعالیٰ فی الدّین بعلم الحلال والحرام : أنّکم ان تدبّرتم القرآن کما أمر اللّٰہ تعالیٰ ، علمتم أنّ اللّٰہ تعالیٰ أوجب علی المؤمنین بعد ایمانھم بہ وبرسولہ العمل ، وأنّہ تعالیٰ لم یثن علی المؤمنین بأنّہ قد رضی عنہم وأنّھم قد رضوا عنہ ، وأثابھم علی ذٰلک الدّخول فی الجنّۃ ، والنّجاۃ من النّار الّا بالایمان والعمل الصّالح ، قرن مع الایمان العمل الصالح ، لم یدخلھم الجنّۃ بالایمان وحدہ ، حتّٰی ضمّ الیہ العمل الصّالح الّذی وفّقھم لہ ، فصار الایمان لا یتمّ لأحد حتّٰی یکون مصدّقاً بقلبہ وناطقاً بلسانہ وعاملاً بجوارحہ ، لا یخفیٰ علی من تدبّر القرآن، وتصفّحہ ، وجدہ کما ذکرت ۔
واعلموا۔ رحمنا اللّٰہ وایّاکم۔ أنّی قد تصفّحت القرآن ، فوجدتُّ ما ذکرتہ فی شبیہ من خمسین موضعاً من کتاب اللّٰہ تعالیٰ أنّ اللّٰہ تبارک وتعالیٰ لم یدخل المؤمنین الجنّۃ بالایمان وحدہ ، بل أدخلھم برحمتہ ایّاھم ، وبما وفّقھم لہ من الایمان ، والعمل الصالح ۔
وھذا ردٌّ علی من قال : الایمان معرفۃ ، وردٌّ علی من قال : الایمان المعرفۃ والقول ، وان لّم یعمل!! نعوذ باللّٰہ من قائل ھٰذا ۔
"Quran o hadees ke ulama aur deen ke fuqaha'! Allah tum par raham karey! Jaan lo ke aagar tum quran par hukm e ilahi ke mutabiq gaur o fikr karogey to tumhe maloom ho jayega ke Allah ta'ala ney apne aur apne Rasool par emaan laaney ke baad momino par amal ko lazim qaraar diya hai, neez unko razamandi ka certificate aur jannat ke husool aur aag se nijaat ki surat mein badla emaan aur aamal e saleh dono ki maujoodgi mein diya hai, yane Allah ta'ala ney emaan ke sath aamal e saleh ko milaya hai, sirf emaan ke sath jannat mein dakhil nahi kiya, yahan tak ke hasb e tawfeeq nek aamaal ko bhi uske sath mila na diya, lehaza kisi ka emaan mukammil tab hi hoga, jab wo dil se tasdeeq, zubaan se iqraar aur aaza se amal kareyga, quran e kareem par gaur o fikr aur uske waraq gardani karne waley is baat ko khoob jaantey they_
Allah ta'ala tum par aur hum par raham karey! Jaan lo ke main quran ki waraq gardani ke baad is nateeje par pohchaa hu ke taqreeban pachchees aise maqamaat hain, jin mein Allah ta'ala ney bayaan kiya hai ke wo sirf emaan ki wajah se jannat mein dakhil nahi kareyga, balke uski rahmat aur hasb e tawfeeq nek aamaal bhi emaan ke sath shamil honge_
Ye un logon ka radd hai jo sirf jaankaari ko emaan kehtey hain, neez un logon ka bhi jo emaan ko sirf dil ki marifat aur zubaan ka iqraar kehtey hain, agarche amal na bhi kiya jaye, aisa kehne walon se Allah ta'ala ki panah mein aata hu."
[Ash-Shari’ah by Aajurri: 2/618-619]
Chand Aahadees-E-Nabawi Bhi Darj Zail Hain:
Sayyiduna Safwan Bin Assal (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke do yahudi Nabi-E-Akram (ﷺ) ke paas aaye aur aap se sawaal pouchaa, jawaab milne par kehne lagey: "Hum gawahi detey hain ke aap Nabi hain." tou Nabi-E-Akram(ﷺ) ney farmaya:
فما یمنعکم أن تتّبعونی
"Tumhe meri itteba se kaunsi cheez maane’ (rukawat) hai."
[Jami’ Tirmidhi: 2733, 3144, Wa Qaala: Hasan Sahih, Sunan Ibne Maajah: 3705, Musnad ul Imam Ahmed: 4/239, Wa Sanaduhu Sahih]
Imam Hakim [1/9] ney is ko "sahih" kaha hai aur Hafiz Zehbi ney unki muwafiqat ki hai.
Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhuma) bayaan kartey hain ke Nabi-E-Akram (ﷺ) ney wafd e abdul qayees se farmaya:
آمرکم بأربع : الایمان باللّٰہ وحدہ ، وھل تدرون ما الایمان باللّٰہ ؟ شھادۃ أن لا الہ الّا اللّٰہ وأنّ محمّدا رسول اللّٰہ، واقام الصّلوٰۃ ، وایتاء الزّکوٰۃ ، وصیام رمضان ، وأن تعطوا من المغنم الخمس
"Main tumhe chaar chizon ka hukm deyta hun, ek Allah par emaan laana, kya tum jaantey ho ke Allah par emaan kya hai? wo ye hai ke gawahi do ke Allah ke siwa koi mabood e barhaq nahi aur Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain, namaz qayim karo, zakaat aada karo, ramazan ke roze rakkho aur maal e ghanimat se khumus nikala karo."
[Sahih Bukhaari: 1/13, Hadees 53.
Sahih Muslim: 1/33, Hadees 17]
Allama Ibne Abi Al-Izz Hanafi Rahimahullah  [731-792] is hadees ke tehat likhtey hain:
وأیّ دلیل علی أنّ الأعمال داخلۃ فی مسمّی الایمان فوق ھذا الدّلیل ؟ فانّہ فسّر الایمان بالأعمال ، ولم یذکر التّصدیق مع العلم بأنّ ھذہ الأعمال لا تفید مع الجحود ۔
"Aamaal ke emaan mein dakhil honey ki daleel isse badi aur kya hogi? Aap ney to emaan ki tafseer hi aamaal se ki hai, tasdeeq ka tazkirah hi nahi kiya, kuy ke maloom hai ke ye aamaal adm e tasdeeq ke sath faideh mand nahi hotey."
[Sharh Aaqidah At-Tahawiyah: 487]
Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
الایمان بضع و سبعون أو بضع وستّون شعبۃً ، فأفضلھا قول لا الہ الّا اللّٰہ ، وأدناھا اماطۃ الأذی عن الطّریق ، والحیاء شعبۃ من الایمان
"Emaan ke sattar (70) se kuch upar ya saath (60) se kuch upar sho’bey hain, sab se afzal sho’ba "La'Ilaaha Illallah" kehna hai aur sab se adnaa sho’ba raastey se takleef-deh cheez ko hatana hai, neez haya bhi emaan ka ek sho’ba hai."
[Sahih Bukhaari: 1/6, Hadees: 9, Sahih Muslim: 1/47, Hadees: 35, Wal Lafzu Lahu]
Ye hadees aamaal ke emaan mein dakhil honey ki wazeh daleel hai, is liye ke is ke shobey jaat dil, zubaan aur aaza' ke aamaal par mushtamil hai, jaise ke "La'Ilaha Illallah" kehna zubaan ka qaoul wa aamal hai, raastey se muzi aashiya ko door karna aaza wa jawarih ka aamal hai aur haya dil ka aamal hai.
Hafiz Ibne Qayyim Rahimahullah farmatey hai:
ولمّا کان الایمان اصلاً لہ شعب متعدّدۃ ، وکلّ شعبۃ منھا تسمّٰی ایماناً ، فالصّلوٰۃ من الایمان وکذٰلک الزّکوٰۃ والحجّ والصّیام والأعمال الباطنۃ کالحیاء والتّوکل والخشیّۃ من اللّٰہ والانابۃ الیہ ، حتّٰی تنتھی ھذہ الشّعب الی اماتۃ الاذٰی عن الطّریق ، فانّہ شعبۃ من شعب الایمان ، وھذہ الشّعب منھا ما یزول الایمان بزوالھا کشعبۃ الشّھادۃ ، ومنھا ما لا یزول بزوالھا کترک اماطۃ الأذی عن الطّریق ، ومنھا شعب متفاوتۃ تفاوتاً عظیماً ، منھا ما یلحق بشعبۃ الشّھادۃ ویکون الیھا أقرب ، ومنھا ما یلحق بشعبۃ اماطۃ الئاذی ویکون الیھا أقرب ۔
"Jab emaan ek aisi asl hai, jis ke bohot se sho’bey hain aur har sho’ba emaan kehlata hai to namaz bhi emaan hai, zakaat bhi, haj bhi aur roza bhi, neez batani aamaal, maslan haya, tawakkul, taqwa, inaabat wagaira bhi, yahan tak ke ye sho’bey takleef deh cheez ko raastey se hataney tak pohanch jaatey hai, ye bhi emaan ka ek sho’ba hai, in sho’bon mein se baaz aise hain, jinke khatm honey se emaan khatm ho jaata hai, jaise ke shahadat e tawheed o risalat ka sho’ba hai, jab ke baaz aise hain, jin ke zayil (khatm) honey se emaan zayil nahi hota, jaise ke takleef deh cheez ko raastey se hataney wala sho’ba hai, inke darmiyaan mein bohot se mutafawit (alag alag, mukhtalif) sho’beyjaat hain, baaz shahadat se miltey hain, wo us ke qareeb hain aur baaz takleef deh cheez ko raastey se hataney se miltey hain, lehaza us ke qareeb hain."
[Kitabus Salaah Li Ibne Qayyim: 53]
Ab is par salaf ka ijmaa' mulahiza farmayen, jo bohot se aaimma ney naql farmaya hai:
Hafiz Baghawi Rahimahullah (died 510 hijri) likhtey hain:
اتّفقت الصّحابۃ والتّابعون فمن بعدھم من علماء السّنّۃ علی أنّ الأعمال من الایمان ، وقالوا: انّ الایمان قول و عمل وعقیدۃ ۔
"Sahaba, tabayeen aur baad ke muhaddiseen ka is baat par ijmaa' aur ittefaaq hai ke aamaal emaan mein dakhil hain, unka kehna hai ke emaan qaul o aamal aur aaqideh (dil ki tasdeeq) ka naam hai."
[Sharah us Sunnah Li Baghawi: 1/38]
Imam Aajurri Rahimahullah farmatey hain:
علموا۔ رحمنا اللّٰہ وایّاکم ۔أنّ علیہ علماء المسلمین أنّ الایمان واجب علی جمیع الخلق، وھو تصدیق القلب واقرار باللّسان وعمل بالجوارح ، ثمّ اعلموا أنّہ لا تجزیئ المعرفۃ بالقلب ونطق باللّسان حتّٰی یکون عمل بالجوارح ، فاذا کملت فیہ ھٰذہ الخصال الثّلاث کان مؤمناً ، دلّ علی ذٰلک القرآن والسّنّۃ ، وھو قول علماء المسلمین ۔
"Allah ta'ala tum par aur hum par raham farmaye! jaan lo ke musalmano ke ulama ka ye mazhab hai ke jo emaan tamaam makhlooq par wajib hai, wo dil se tasdeeq, zubaan se iqraar aur aaza ke amal ka naam hai, phir jaan lo ke dil ki marifat aur zubaan ka iqraar us waqt tak faidah nahi deyta, jab tak aaza se amal na ho, jab ye teeno chizen jama hon to momin banta hai, is par quran o hadees daleel hain, yehi ulama e islam ka mazhab hai."
[As-Shariah by Aajurri: 2/611]
Dekhiye: As-Sunnah Shumara Number: 3, Safa Number: 4-11
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS