find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sab Se Jyada Muhabbat Kyu? Part 3.

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat kyu?

Part-③
Tehreer: Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari

Husn o Jamaal:
Teesra sabab jis ki wajah se duniya waale kisi se mohabbat karte hain woh husn o jamaal hai yeh khoobi bhi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke andar mukammal taur par maujood hai, dus (10) saal Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat karne waale Anas bin Maalik Radhiallahu Anhu farmate hain:
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَحْسَنَ النَّاسِ
*Tarjumah:* Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam tamam logon mein sab se ziyadah khoobsoorat they.
*[Sahih Bukhari: 2820]
Husn o jamaal ko bayan karne mein sab se ziyadah mahaarat shu’aaraa (poets) hazraat ko hoti hai, Sahaba e Kiraam mein bhi ek shayar (poet) Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu they unhon ne apne ash’aar mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki khoobsoorti ka hairat-angaiz naqsha kheencha hai, farmate hain:
وأَحسنُ منكَ لم ترَ قطُّ عيني
وَأجْمَلُ مِنْكَ لَمْ تَلِدِ النّسَاءُ
خلقتَ مبرأً منْ كلّ عيبٍ
كأنكَ قدْ خلقتَ كما تشاءُ
Tarjumah:* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah haseen meri aankh ne na dekha
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se ziyadah Jameel kisi khatoon ne nahi jana
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki paidaish har qism ke aib se is tarah paak hai
Ke lagta hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam apni khwahish ke mutabiq paida kiye gaye hain.
*[Ad-dewaan Al-Mansoob ilaa Hassan bin Saabit, Page No: 2. Hassan bin Saabit Radhiallahu Anhu ki taraf in ash’aar ki nisbat par mazboot suboot maujood nahi hai is liye yeh un ke ash’aar ho bhi sakte hain aur nahi bhi lekin behar-haal yeh ash’aar kisi na kisi mo'min hi ke hain, Wallahu A’lam Bis-Sawaab]
Agar duniya waale kisi ke husn o jamaal ki wajah se mohabbat karna chahte hain to unhein sab se ziyadah Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat karni chahiye.
Wazeh rahe ke mohabbat ke yeh tamam asbaab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein ek saath kamaal ke darje mein maujood hain, jis zaat ke andar yeh kamalaat hon usay yeh kehne ka haq haasil hai:
لَا يُؤْمِنُ أَحَدُكُمْ حَتَّى أَكُونَ أَحَبَّ إِلَيْهِ مِنْ وَالِدِهِ وَوَلَدِهِ وَالنَّاسِ أَجْمَعِينَ
*Tarjumah:* Tum mein se koi bhi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke baap, us ke bete aur tamam logon se ziyadah mehboob na ban jaaun.
*[Sahih Bukhari: 15]
Is Hadees mein Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ka jo mutalba hai woh bila-wajah nahi hai, jab mohabbat ke jitne bhi asbaab hote hain sab ek saath Aala darjaa mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki zaat mein paaye jaate hain to is soorat e haal ka fitri taqaza hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat ki jaaye.
Asbaab e mohabbat yeh mohabbat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka sirf ek pehlu hai is ke saath saath mohabbat e Rasool ke deegar pehluon par nazar rakhni chahiye.
Allah se dua hai ke Allah hum tamam musalmanon ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se sab se ziyadah mohabbat aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki pairwi ki taufeeq ata farmaaye, Aameeen.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
-------------------
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS