Kya Biwi apne Shauhar ko yeh keh sakti hai ke “Aap meri rooh hai, main Aapke bina nahi reh sakti?
Romanised By: Umar Asari Ibn e Ashiq Ali Asari
Kya mujhe apne shauhar ko “Meri rooh” keh kar pukaarne ki ijazat hai? Ya main use yeh keh sakti hun ke: “Main tumhaare bina nahi reh sakti?” Yaad rahe ke main yeh jumla sirf aur sirf izhaar-e-mohabbat karte huwe kehti hun.
Jawaab:
Alhamdulillah: *Biwi apne shauhar ko “Meri rooh”, ya “Meri jaan” kahe ya “Main tumhaare bina nahi reh sakti” kahe, to In Sha Allah is mein koi harj nahi hai, yeh miyan biwi ke darmiyaan husn-e-mu’asharat ka hissah hai.*
Jab koi aurat apne husband se yeh baat kehti hai to uska maqsad is jumle ka haqeeqi ma’na nahi hota, balki uska maqsad yeh zaahir karna hota hai ke uske dil mein apne husband ke liye kitna bada maqam hai, jis tarah badan ke liye rooh zaroori hai, usi tarah uske liye uska shauhar zaroori hai.
Isi tarah “Main tumhaare bina nahi reh sakti” ka haal hai, ke yahan maqsood yeh hai ke tumhaare bina zindagi ajeeran (mushkil) hai.
Chunanche yeh alfaaz zaahiri ma’ne aur mafhoom ko dekhe baghair hi kahe jaate hain aur yeh usloob-e-kalaam ma’roof aur mashhoor hai, jaise ke kehte hain: “Aap par mere maa baap qurbaan hon” isi tarah “Tumhaare haath khaak aalood hon” waghera.

*Imam Nawawi Rahimahullah kehte hain:*
Aap ﷺ ka yeh kehna ke (Teer andaazi karo! Mere maa baap tujh par fida hon) is mein is baat ka jawaaz maujood hai ke walidain ko bhi fida kiya jaa sakta hai, Jumhoor ahl-e-ilm isi baat ke qaail hain, jabki Umar bin Khattaab Radhiallahu Anhu aur Hasan Basri Rahimahullah ne ise Makrooh samjha hai, jabki ba’z ulaama-e-kiraam ne apne musalmaan walidain ko fida karna makrooh samjha hai.
Jabki sahih baat yeh hai ke aisa kehna mutlaq taur par jaaiz hai, kiunki yahan par haqeeqi ma’no mein fida karna maqsood hi nahi hai, balki yeh to kahawat, khush kalaami, aur mukhatab se izhaar-e-mohabbat o waqaar hai”
*{“Sharah Muslim” by “Nawawi” se makhooz}*
Wallahu A’lam.

No comments:
Post a Comment