find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label khichra ye sb mnana kaisa hai. Show all posts
Showing posts with label khichra ye sb mnana kaisa hai. Show all posts

Shab-E-Barat Aur Iski Haqeeqat. (شب برات کی حقیقت)

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه✨💖

S͓̽h͓̽a͓̽b͓̽-͓̽e͓̽-͓̽B͓̽a͓̽r͓̽a͓̽t͓̽ A͓̽u͓̽r͓̽ U͓̽s͓̽k͓̽i͓̽ H͓̽a͓̽q͓̽e͓̽e͓̽q͓̽a͓̽t͓̽‼

💖✨ ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ💖✨

Shaban Maheene Mein 15th Shab Ko Shab-E-Barat Ke Naam Se Yaad Kiya Jata Hai ...!!

Ulma-e-Soo Is Raat Ke Liye Shab-e-Qadr Jaisi Fazilate Bayan Karte Hain... Yeh Aqeeda Rakha Jata Hai Ke Is Raat Poore Saal Main Hone Wale Waqkhyat Ka Faisla Kiya Jata Hai ... Is Raat Infiradi Wa Ijtimayee Ibadato Ka Ahtmam Kiya Jata Hai ...

Atish baziya Ki Jati Hain... Masjido Main Chiragha Kiya Jata Hai ... Bewa Aurte Ye Samajhti Hain Ke Unke Shoharo Ki Roohe Is Raat Aati Hain Isliye Behtreen Qism Ke Pakwan Tayyar Karke Unka INtezar Karti hain ..!!

Shab-E-Barat Ki Fazilat main Quran Ki Yeh Ayat Paish Ki jati Hai ..... "Hamne Is (Quran) Ko Mubarak Raat Main nazil Farmaya , Hum Logo Ko Darane Wale Hain"

Al-Dukhhan Ayat No.3📚

In Ka Yeh Qoul Sarasar Ghalat Wa Bebuniyad Hai Jiski Daleel Yeh Hai ke Allah RabbulAlaameen Ne Is Ayat Main Jis Raat Ko Mubarak Raat Kaha Hai Woh Ramadan Ki Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat. .. Kyonki Yeh Baat Har Musalman Janta Hai Ke Quran Kareem Ka nazool Maha Ramadan main Hua Hai Na Ke Shahban Ke Mahine Main‼

Irshad-e-Rabbani Hai "Ramadan To Woh mahina Hai Jisme Quran Majeed Nazil Kiya Gaya".

Al-Baqra .. Ayat no. 185📚

Doosri Jagah _اَللّٰہُ  RabbulAalaameen Irshad Farmata Hai "Humne Is (Quran Kareem) Ko Shab-E-Qadr Main Nazil Farmaya Tumhe KYa Malum ke Shab-E-Qadr Kya Hai, Shab-E-Qadr Main ek Raat Ki Ibadat Hazar Mahino Ki Ibadat Se Behtar Hai💖✨

Al-Qadr..Ayat no.1-3📚

In Ayaat Se maloom Hua Ke Surah Dukkhan Ki Ayat no. 3 Main Jis Mubarak Raat Ki Taraf Ishara Kiya Gaya Hai Usse Murad Shab-E-Qadr Hai Na Ke Shab-E-Barat‼

Shaban Ki 15wi Raat Ki Fazilat Main Jo Bhi Hadeese Bayan Ki Jati Hain Sab Ki Sab Mozoo Ya Zaeef Hain ... Isi Tarhan Is Raat Ki Ibadato ke silsile Main Jo Bhi hadees bayan Ki Jati Hain Woh Sari Mozoo zaeef  (unAuthentic) Hain❌

Ek Hadees Hai Jo 15wi Shab Ke Liye Bayan Ki Jati Hai "RasoolAllah ﷺ  ne Farmaya Ke Allah zul jalaal 15wi Shaban ki raat ( 15 shaban) ko tamam makhluq ki bakhshis farma detey hain siwaye shirk karne wale ke aur keena rakhney wale ke." 

Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1390📚

Lekin Is Hadees ko Sheikh Zubair Ali Zai ne zaif karar diya hai.  Isme 2 raawi zaif hai, Ibn Lahya aur Waleed bin Muslim aur dono 'An' se riwayat kar rahe hai aur samaa ki tashreeh maujood nahi hai🔎

Aur Jahan Tak Logo Ki Maghfirat Ki Baat Hai Tu Yeh Sirf isi Raat Ke Sath Khas Nahin Hai Balke Yeh To Har Din Hota Hai .. Jaisa Ke Saheeh Hadees Se Sabit Hai Ke.. "Allah Subhaana wata'ala Har Din Akhri Raat Ke Pehar main Sama Dunia Per Aata Hai AUr Yeh Ailan Karta Hai Ke : Kon Hai Jo Mujhe Pukare Phir Main Uski Dua Ko Qabool Karon, Kaun Hai Jo Mujhse Sawal kare Aur Main Use Doo, Kaun Hai Jo Mujh Se Maghfirat Talab Kare AUr Phir Main uski Maghfirat Kardu".

Isse Malum Hua Ke Gunaho Ki Maghfirat Ka Kaam hamesha Hota Rehta Hai. Yeh Sirf Shab-e-Barat Ke Sath Khas Nahin‼

Haqeeqat yeh Hai Ke Shab-E-Barat Ka Islam Se Koee Taulluq Nahin Hai Ise Ijad Karne Wale Raafdi Hain ‼

Ab Koi Yeh Kahe Ke Hum Is Raat Ibadat Hi To karte Hain To Isme Burayee Kya Hai  .. Burayee Ibadat Main Har Giz nahin Hai Burayee Hai is Baat Main Ke Jo Baat Rasool ﷺ  ne Nahin Batayee Woh Hum Kaise Kar SakTe Hain ❓

Ek Insan Agar Asr Ke 4 Farzo Ki jagah 5 Parhne Lage To Kya WOh Sahee HOga? Hargiz Nahin Jabke Woh Ek Rakat Namaz Hi ZYada parh Raha Hai Per Rasool Allah ﷺ  ne 4 Bataye Hain To Hum Usse Zyada Ya kam Nahin Kar Sakte...
Isi Tarhan Ibadat Allah Subhaana wata'ala ke Yahan WOh Qabool Hogi Jiske Karne Ka Hukum Rasool ﷺ  Ne Diya Hai ...
Aur Shab-e-Barat Ki Ibadat Kisi Bhi Sahee Ahdees Se Sabit Nahin‼

Zara Sochiye Ke Agar Yeh Itni Fazilat Wali Raat Hoti To KYa Sahaba e kiram Is Raat Ko Ibadat Na Karte❓

Koee Ek Bhi Wakhiya Sahaba e kiram se Sabit Nahin Ke Un Logo Ne Is Raat Ko Khas Ibadat Ki Ho ... Jo Khas Ibadat Ki Raat Hai WOh To Ramadan Ki Shab-e-Qadr Hai Usme Jitni Chahe Ibadat Karein💖✨

Ek Baat Yaad Rakhein Ke Allah Subhaana wata'ala Us Ibadat Ko Qabool Karta Hai Jisme Niyat Khalis Allah Ki Raza Ki Ho AUr Tareeqa Khalis Rasool Allah ﷺ  Ka Ho ..!!

Ek Baat Aur Ki Jaati Hai 15 Tareekh Ko Ke Log Halwa Banate Hain BantaTe Hain Apas Main Aur Bahut Sawab Samajhte Hain... Iski Haqeeqat Kya Hai Yeh BHi Dekhlein...‼

Halwa Banane Wale iski Daleel Yeh Dete Hain Ke Ghazwa-e-Ohud Main Rasool ﷺ  ke Dandane Mubarak Shaheed Hue The Takleef Ki Wajah Se Aap SAW khana Khane se Qasir The.. Isliye Rasool ﷺ  Ne Halwa Naush Farmaya Tha Aap SAW ki Is Sunnat Per Amal Karte Hue Is Raat Halwa Khaya Jata Hai.. Yeh Woh Daleel Hai Jis Per Halwa Khoro Ki Poori Imarat Qayam hai....‼

Tareekhi Aitbar Se Bhi Ye Daleel Bebuniyad Hai.. Isliye Ke Ghazwa-e-Ohud Shawal 3 Hijri Main paish Aya Tha Na Ke Shahban Ke Mahine Main, yeh Kitni Khilafe Aqal Baat Hai ke Dandane Mubarak Maah Shawal Main Shaheed Hon Aur Halwa Khane Ki Sunnat Maah Shahban Main Ada Ki Jaye.. Woh Bhi Sirf Ek Din ❓

Ilzaami jawaab bhi sun lijiye 👇

Aur Agar Sunnat Se Itni Mohabbat Hai To Pahle Dant Shaheed Karwain Phir Halwa Khaein......

Wallahu Alam

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂

🇦 🇱 ~🇮 🇸 🇱 🇦 🇭

🅦🅐🅢🅢🅐🅛🅐🅐🅜

🅙🅐🅩🅐🅚🅐🅛🅛🅐🅗 
🅚🅗🅐🅘🅡

🅢🅗🅐🅡🅔  🅦🅘🅣🅗 🅨🅞🅤🅡 🅕🅐🅜🅘🅛🅨 🅐🅝🅓 🅕🅡🅘🅔🅝🅓🅢
 

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS