find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label nabi ke farman ke Mutabik Chalo. Show all posts
Showing posts with label nabi ke farman ke Mutabik Chalo. Show all posts

Nabi ki Sunnat.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ الصَّبَّاحِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَنْبَأَنَا جَرِيرٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الْأَعْمَشِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي صَالِحٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏  ذَرُونِي مَا تَرَكْتُكُمْ فَإِنَّمَا هَلَكَ مَنْ كَانَ قَبْلَكُمْ بِسُؤَالِهِمْ، ‏‏‏‏‏‏وَاخْتِلَافِهِمْ عَلَى أَنْبِيَائِهِمْ، ‏‏‏‏‏‏فَإِذَا أَمَرْتُكُمْ بِشَيْءٍ فَخُذُوا مِنْهُ مَا اسْتَطَعْتُمْ، ‏‏‏‏‏‏وَإِذَا نَهَيْتُكُمْ عَنْ شَيْءٍ فَانْتَهُوا .

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: जो चीज़ मैंने तुम्हें ना बताई हो उसे यूँही रहने दो, इसलिए की तुमसे पहले की उम्मतें ज़्यादा सवाल और अपने अंबिया से इख़तिलाफ़ की वजह से हलाक हुईं, लिहाज़ा जब मैं तुम्हें किसी चीज़ का हुक्म दूं तो ताक़त भर इस पर अमल करो, और जब किसी चीज़ से मना कर दूं तो इस से रुक जाओ।

🌹Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”jo cheez mein ne tumhe nah batayi ho usay yun hi rehne do, isliye ke tum se pehlay ki ummate zeyada sawal aur apne ambiya se ikhtilaaf ki wajah se halaak huyi, lehaza jab main tumhe kisi cheez ka hukm dun to taqat bhar is par amal karo, aur jab kisi cheez se mana kar du to is se ruk jao“.

🌺رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو چیز میں نے تمہیں نہ بتائی ہو اسے یوں ہی رہنے دو ۱؎، اس لیے کہ تم سے پہلے کی امتیں زیادہ سوال اور اپنے انبیاء سے اختلاف کی وجہ سے ہلاک ہوئیں، لہٰذا جب میں تمہیں کسی چیز کا حکم دوں تو طاقت بھر اس پر عمل کرو، اور جب کسی چیز سے منع کر دوں تو اس سے رک جاؤ“۔

🌹The messenger of Allah ﷺ said: 'Leave me as I have left you (Don't ask me the minor things that I have avoided to tell you). For those who came before you were doomed because of their questions and differences with their Prophets. If I commanded you to do something, then do as much of it as you can, and if I forbid you from doing something, then refrain from it.'

📜 *wazahat:* is hadees mein Allah ke rasool ﷺ ne do ahem baton ki baton ki taraf rahnumayi ki hai un mein se ek ita'at rasool hai jo deen ke arkaan mein ek ahem hissa bhi hai jis ko Allah taala ne quran ke aksar muqamaat par ita'at rasool ya itteba e rasool ka hukm diya hai aur agar hum quran ka bagaur mutala karen to yeh baat wazeh taur par samajh mein ayegi ke Ambiya alaihe salam ki takhleeq ka maqsad bhi yahi tha ke log un ki ita'at wa farma bardari karen aur unke hukmon ko apni zindagi ka namuna banayen jaisa ke Allah rabbul alameen ne quran Majeed mein bayan farmaya hai: _Hum ney her her rasool ko sirf iss liye bheja kay Allah Taalaa kay hukum say uss ki farmanbardari ki jaye [📖Quran 4:64]._ Allah ne aage irshad farmaya _jis ne rasool ﷺ ki ita'at ki usi ne Allah ki ita'at ki [📖Quran 4:80]_ wahi ek aur moqam par Allah azzo wajal ne irshad farmaya _rasool ﷺ jo kuch tumhe de use le lo aur jis chiz se rok de ruk jao... [📖Quran 59:7]_ nabi kareem ﷺ ne farmaya: *saari ummat jannat mein jayegi siwaye unke jinhon ne inkaar kiya sahaba ne arz kiya ya rasool Allah! inkaar kaun karega? farmaya ke: jo meri ita'at karega woh jannat mein daakhil hoga aur jo meri nafarmani karega isne inkaar kiya* [📚Bukhari: 7280].

📚 _*Sunan ibne majah: jild 1, kitab Al sunnah 1, hadith no. 2*_
*Grade Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS