find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label jannat me Hmare Nabi Ka Sath. Show all posts
Showing posts with label jannat me Hmare Nabi Ka Sath. Show all posts

Mafhoom-E-Hadeeth

BismillahirRahmanirRahim 

*✦ Mafhum-e-Hadith: jannat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka saath*
---------------------------------------
✦ Rabi bin Kab al-Aslami Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath raha karta tha aur main Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke wudhu aur jaruriyat ke liye pani laata tha , ek baar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhse maang kya maangta hai ,Maine kaha ki jannat mein Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka saath maangta hu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya iskey alawa aur kuch mainey kaha mujhe bas yahi chahiye , phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya apney liye zyada se zyada sazde karke (yani zyada Namaz paddkar ) meri madad kar
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1307 - Sahih

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sallallahu alaihi wasallam ne hazrat bilal radi allahu anhu se fajar ke waqt pucha ki eh bilal mujhe apna sabse zyada ummed wala neik kaam batao jise tumne islam lane ke baad kiya hai kyunki maine jannat mein apne aage tumhare juto ki chaap (aawaz) suni hai , hazrat bilal ne arz kiya main to apne nazdeek is se zyada ummed ka koi kaam nahi kiya ki jab main raat ya din mein kisi waqt bhi wudhu karta to main us wudhu se nawafil namaz padta rahta hu , jitni meri taqdeer mein likhi gayee hai
Sahih Bukhari, Vol 2, 1149
--------------------------------------------
رابعہ بن کعب سے روایت ہے میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آپ کے وضو اور آپ کی حاجت کا پانی لے کر آتا تھا، تو ایک بار آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو مانگنا ہو مجھ سے مانگو ، میں نے کہا: میں جنت میں آپ کی رفاقت چاہتا ہوں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس کے علاوہ اور بھی کچھ؟ میں نے عرض کیا: بس یہی، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تو اپنے اوپر کثرت سجدہ کو لازم کر کے میری مدد کرو  ۱؎۔
سنن ابی داؤد جلد ۱ ۱۳۰۷ صحیح

 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے بلال رضی اللہ عنہ سے فجر کے وقت پوچھا کہ اے بلال! مجھے اپنا سب سے زیادہ امید والا نیک کام بتاؤ جسے تم نے اسلام لانے کے بعد کیا ہے کیونکہ میں نے جنت میں اپنے آگے تمہارے جوتوں کی چاپ سنی ہے۔ بلال رضی اللہ عنہ نے عرض کیا میں نے تو اپنے نزدیک اس سے زیادہ امید کا کوئی کام نہیں کیا کہ جب میں نے رات یا دن میں کسی وقت بھی وضو کیا تو میں اس وضو سے نفل نماز پڑھتا رہتا جتنی میری تقدیر لکھی گئی تھی۔
صحیح بخاری جلد ۲  ۱۱۴۹
----------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS