▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫
Tohfa-e-Nikaah Part - 11
Nikaah Karna Ambiya Ki Sunnat Hai
Nikaah insaan ki ek fitri zaroorat hai, is mein bahot saare deen wa dunya ke faaide hain, yahi wajah hai ke nikaah ka riwaaj shuru din se raha hai, aur yeh Ambiya Alaihi Salaam ki sunnat bhi hai.
Qur'aan-e-Kareem mein Allah Ta'ala farmaate hain: Haqeeqat yeh hai ke ham ne Aap se pehle bhi bahot se Rasool bheje hain aur unhein biwi bachche bhi ata farmaaye hain. (Sura-e-Ra'ad: 38)
Is Aayat se maaloom huwa ke Ambiya ne shaadiyaan ki hain. Lihaaza nikaah ek fitri zaroorat hone ke saath Ambiya ki sunnat bhi hai.
*●♧●---------☆---■---☆--------●♧●*
*لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِؕ*
*"Main Gawahi deyta ho Allah k siwa koi Mabood nahi Aur Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ) Allah k Rasool hain"*
*"lā ilaha illa Allahu, Muhammad ur-rasul Ullah"*
*There is none worthy of worship but Allah, Muhammad [peace be upon him] is the messenger of Allah.*
*Servant Of Allah*🌱 *Shoaib Qamar Khan Brother Muhammad Abuzar Brother Shakeel Ahmad & Sister Doctor Arzoo*
Servant Of Allah 🌱 Muslim (Only Brother Group)
Servant Of Allah🌱Muslimah (Only Sister Group)
Servant Of Allah 🌱 Muslim / Muslimah (Broadcast)
❤JazakAllahu Khair'n💐