find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label islam me Momeen ka kya Mtlb hai. Show all posts
Showing posts with label islam me Momeen ka kya Mtlb hai. Show all posts

Momeen Momeen ka Bhai Hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا الرَّبِيعُ بْنُ سُلَيْمَانَ الْمُؤَذِّنُ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا ابْنُ وَهْبٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ سُلَيْمَانَ يَعْنِي ابْنَ بِلَالٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ كَثِيرِ بْنِ زَيْدٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الْوَلِيدِ بْنِ رَبَاحٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏   الْمُؤْمِنُ مِرْآةُ الْمُؤْمِنِ وَالْمُؤْمِنُ أَخُو الْمُؤْمِنِ يَكُفُّ عَلَيْهِ ضَيْعَتَهُ وَيَحُوطُهُ مِنْ وَرَائِهِ  .

🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: मोमिन मोमिन का आईना है, और मोमिन मोमिन का भाई है, वो उस की जायदाद की निगरानी करता और इस की ग़ैरमौजूदगी में इस की हिफ़ाज़त करता है।

🌺 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: momin momin ka aaina hai, aur momin momin ka bhai hai, woh iski jaedaad ki nigrani karta aur iski ghair maujoodgi mein iski hifazat karta hai.

🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مومن مومن کا آئینہ ہے، اور مومن مومن کا بھائی ہے، وہ اس کی جائیداد کی نگرانی کرتا اور اس کی غیر موجودگی میں اس کی حفاظت کرتا ہے ۔

🌺Allah's Messenger ﷺ said: “The believer is the believer's mirror, and the believer is the believer's brother who guards him against loss and protects him when he is absent.”

📜 *wazahat:* shakhs jab aaine ke samne khada hota hai apne chehray par koi gandagi dekhta hai to woh qatayi gawara nahi karta, woh apne chehre ki khubsurti baqi rakhay ke liye balke woh ussay foran saaf karta hai ek momin ko bhi chahiye ke jab woh kisi momin ke andar koi kami dekhe to isse apna aaina samajte hue iski kami ko apni kami samjhe aur ise saaf karne ki fauran koshish kare, aaina ke samne ek faqeer khada ho ya badshah e waqt, woh kisi se nahi darta aur be khauf aur khatar haqeeqat ka izhaar karta hai, ek momin ko bhi dusre momin ko bhi isi aaina ki tarha be baak hona chahiye, aur bina dusro ki parwah kiye apne momin bhai ki madad karna chahiye.

📚 _*Sunan Abi Dawud: jild 4, kitab Al adab 43, hadith no. 4918*_
*Grade Hasan*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS