📮 *HADEES KI SABSE PAHELI 2 KHAAS KITABEIN:*
🌷BismillahirRahmanNirRaheem🌷
🔵Waise to *Sahabi e Rasool Abdullah bin Amr bin Aas (RadhiAllahu)* ki
Sahife ke shakl me Hadees ki sabse pahli kitab *"Sahife Sadiqah”* hai...
Lekin...
🏵 Imam Malik bin Anas (Rahamahullah) ki *"Mua'tta Malik"* Hadees ki wo sabse pahli kitab hai jo *Baab ki Shakl me* yani *Chapter wise* likhi gayi.
◼Yani, is kitab se pahle paayi jaane wali tamam Hadees ki kitabo me Hadeese be-tartib likhi gayi thi lekin Imam Malik ne *topic-wise* Hadeeso ko taksim kiya yani unone apni kitab me *Baab qayam kiye* aur un Baab ke tahat (under) Hadeeso ko likha.
◼Masal ke tur par Tawheed, Salat (Namaz), Zakaat aur Hajj ke naam se unone Baab qayam kiye gaye aur in baab ke tahat Hadees ko likha.
◼Is kitab ke baad jitni bhi Hadees ki kitabein us zamane se lekar aaj tak likhi gayi saari ki saari ki Baab ke tahat likhi gayi.
◼Ye Kitab Sahih Hadees ki Usoolo par nahi likhi gayi isliye is kitab me Zaeef Hadeese paayi jati hai.
🏵Dusari taraf, Imam Bukhari (Rahamahullah) ki *"SAHIH BUKHARI"* apne ap me wo sabse paheli kitab hai jo *"SAHIH HADEES KI USOOLO"* par likhi hai.
◼Sahih Hadees ke 5 Usool hai. Jo bhi Hadees un 5 Usoolo par khari utarti hai usko SAHIH kaha jata hai.
🖍 _Ye Dars Muhammad Maaz Naziri Hafeedhullah ke Video lecture se liya._
🥀 *_Allahu Aalam Bis-Sawab._*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
🌸 *Composed by :* 🌸
✨ *A Roman-Urdu Islamic Blog:*
🌈 *SIRF -*
*_Salsabiil Islamic Research Foundation._*
💚 *May Allah accept our small efforts and May Allah keep us away from RIYA and Guide us towards Path of Hidayah.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*