find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label Azmat sirf Allah ka Haque. Show all posts
Showing posts with label Azmat sirf Allah ka Haque. Show all posts

Azmat Sirf Allah ki Haque.

🌴🌿🌴🌿🌴🌿🌴🌿🌴🌿

*🌴​AZMAT SIRF ALLAH KA HAQ​ 🌴*

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀


*Topic👉🏻MUSALMAAN MARD KE PAIRON KA KAPDA  KAHA TAK HONA  CHAAHIYE ?*

*Yeh  Bohat  Eham  Aur  Bada  Mas-ALa  Hai  Jis  Se  Insaan Jahannam  Mein  Jaa Sakta  Hai.*

*Lekin  Aaj  Ummat-e-MusLimah  Ne  Isey  Badi  Aasaani  Se Nazar Andaaz Kardiya  Hai*.

___________________________

🌿 *Aaiye  Dekhte  Hai  Ke  Nabi  (SaLLALLaahu  ALaihi  Wa  SaLLam)  Ne  Is Baarey  Mein  Kya Bataaya Hai.*

🌿 *1.  ALaa  Bin  Abdur-Rahmaan  Apne  WaaLid  Se  Rivaayat  Karte Hain,  Unho  Ne  Kaha  Ke  Mai  Ne  Abu  Saeed  AL-Khudri (RaziyALLaahu  Anhu)  Se  Izaar  (Tahband,  ShaLwaar  Waghairah) Ke  MutaLLiQ Daryaaft  Kiya.*

🌿 *Tou  Unho  Ne  Kaha  Ke  Saahib  ILm  Aur  Khabar  Se  Tumhaara Waasta  Pada  Hai. Nabi*

*(SaLLALLaahu ALaihi  Wa SaLLam)  Ne  Farmaaya  :*

🌿 *“MusaLmaan  Ka  Izaar  (Tehband,  ShaLwaar  Waghairah)  Aadhi PindLi  Tak  Hota  Hai,  Aadhi  PindLi  Se  Takhnon  Ke  Darmiyaan Mein  Koi  Harj  Nahi  Aur  Jo  Takhnon  Ke  Neechey  Ho  Woh  Aag Mein  Hai,  Jis  Ne  Takabbur  Se  Apna  Izaar  (Tahband,  ShaLwaar*

*Waghairah)  Ghaseeta  ALLaah  Ta’aaLaa  Us  Ki  Taraf  Nahi Dekhega.”*

📚 *[Sunan  Abu  Daawood, Hadees  (Saheeh) :  4093;  Ibn Maajah: 3573*

💢 *TASHREEH  :  Mardon  Ka  Apni  ShaLwaar,  Tehband  Ya  Pajaamey Waghairah  Ko  Takhnon  Se  Neechey  Rakhna  Haraam  Hai,  Aur Apni  GhafLat  Aur  JahaaLat  Ki  Laa  Ya’ni  TaaweeLaat (interpretations)  Mein ULajhna Takabbur  Hai.*

🌿 *Takhney  Se  Neechey  Jo  Bhi  Kapda  Hoga  Utna  Hissa  Jahannam Mein,  Aur  Laazim  Si  Baat  Hai  Utna  Hissa  Jahannam  Mein  Hai Matlab Woh  Insaan Hi Jahannam Mein  Hai.*

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS