Kisi Ko Gali Dena Apne Maa-Baap ko Gaali Dena Hai.
بسْــــــــــــــمِﷲِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيم
1.Rasool’Allah Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya
Ek Munafiq Ki Alamat Hai Gaali Dena
Sahih Al-Bukhari, Hadees : 2459
___________________________________
2.Nabi-e-Kareem Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya
Gaali-Galoch Karne Waale Dono Shaitan Hain Wo Ek-Doosre Par Ilzaam Lagaate Aur Jhoot Bolte Hain
Musnad-e-Ahmad : 17483
___________________________________
3.Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasooll'Allah Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya.
Do Shakhs Jab Gali Galoch Karen To Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shurooaat) Karega. Jab Tak Mazloom Ziyadati Na Karen
Sahih Muslim, Neki Suluq Aur Adab Ke Masayeel : 6591
_______________________________
4.Rasool Allah Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Farmate Hain
Gunaho Me Se Bada Gunah Ye Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare
Log’on Ne Kaha Aye Allah Ke Rasool Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega
Aap Sαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya
Matlab Ki Ek Shaks Doosre Ke Baap Ko Gali De Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gali De Aur Dosre Ki Maa Ko Gaali De Aisa Hai Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De.
Ref Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No 5973..
Ma sha Allah
ReplyDelete