find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rajjab Ke Mahine Me Kunde Kyu Mnate Hai? (Part 03)

Kunde Ke Niyaz Ki Haqeeqat (Reality Of Kunde Ki Niyaz)
POST : 03
Kundey ki Niyaz / Kunde ki Eid ek Sharayi Biddat
Ye Niaz/Eid Shariyat me ek Biddat hai aur Biddat ke talluk se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne sakht wayeed ki apni ummat ko “ke Biddat mat karna iss deen me.

Aur Biddatiyo ka kya Anjaam hoga iske talluk se Surah Ghasiya ki ayat 3 aur 4 me Allah Ta’ala farmata hai –

Aamilatun Nasiba , Tasla Naran Hamiya

kuch log Qayamat ke roz tum dekhoge ke amal kar-kar ke thakey hue aayenge, lekin hukm hoga utha kar fenk do inhe Jahannum me

(Al-Quran; Surah Ghasiya 88:3-4)

Isliye kyunki wo amal wo akida Rasool’Allah (ﷺ) ke bataye hue deen se sabit na tha. tou lihaja hume chahiye ke aise mu’amlo me tehkik kare aur aise amal se bachey jo na Shareeyat se sabit ho aur na hi Sahaba ki zindagi me kabhi paya gaya ho.

Note: Agar iss Article par yakin karna mushkil hota hai tou baraye meharbani apne gharo me Urdu/Arbi Calendar ki tawarikh me dekh lijiye 22 Rajjab ki tareekh me kounsa din bayan kiya gaya hai.)

Allah Rabbul Izzat se Dua hai ke:
Allah hume haq sun’ne samjhne ki taufiq dey,
Jab tak hume zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey,
Khatma humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS