"Hum Tou Baap-Dada Ke Deen Par Hi Chalenge." Iss bahaney Se Mushrikaan-e-Makkah Allah Ki Hidayat Ko Thukra Detey They.
__________________
Allah Raabul Izzat Mushriko Ki Hatdharmi bayan Karte hue Quraan Me Farmata Hai,
“Aur Jab Mushriko se Kaha Jaye Ki Allah Ke Utare(Hidayat) Par Chalo Tou Kahenge: Hum Tou usi pe Chalenge Jis Par Humne Apne Baap-Dada ko Paya, Agar Che unke Baap-Dada Na Kuch Aqal Rakhte Ho Na Hidayat."
[Surah(2)Baqrah; Aayat-170]
Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humara Bhi Muamla Bhi Kuch Aisa Hi Hai Ke –
– Hum Bhi Apne Aaba-o-Azdad Ke Tareeko ko Kitabo Sunnat Par Tarzi De rahe Hai,
– Humse Bhi Jab Koi Kitabo Sunnat ki Baat Karta hai Tou Uska Mazak Udaya Jata hai,
Allah Ke Liye Jab Koi Quran-o-Hadees Ki Taraf Hume Bulaye tou Bagour uski Baate Suney
*Warna La-ilmi me Kahi Hum Uski Mukahliafat me iss Hadd Tak Aagey Na Badh Jaye
Jo Humari Musibat-Wa-Barbadi ka Bayis ho..!
◎
Jiske Talluk Allah Rabbul Izzat nei Quraan Me Wajahat farmata Hai Ke:
“Aur Tum Par Jo Museebat Aati hai Wo Tumhare Hi Haatho ke Kiye huye Kaamo se Aati hai Jabki wo(Allah) Bahut se Gunaah Muaf Bhi Farma Deta hai.”
(Surah(42)Ash-Shura; Aayat-30)
Tou Behrhaal Jab Bhi Koi Kitabo-Sunnat Ki Hume Dawat Dey
Tou Hume Chahiye Ke Uspe Gour Kare
Aur Tassuf Ke Chasme Utaar Kar Mehaz Haq Ki Taraf Ruzu Karey.
In’sha’Allah-Ul-Azeez
Allah Ta’ala Hume Haq Sun’ne, Samjhne Aur Uss Par Amal Ki Taufiq Dey,
Humey Kitabo-Sunnat ka Muttabey Banaye,
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye,
Khatma Humara Imaan Par Ho.
Aameen Yaa Musawwir
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen.
No comments:
Post a Comment