find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kya Billi Palne Ki Ijazat Islam Deta Hai?

 Billi Palna Kaisa Hai? Kya Islam Iski Ijazat Deta Hai?

Mujhe yeh to ilm hai ki islam billiyon ko Pakiza aur taher hewanat ki nazar se dekhta  hai, lekin mujhe yeh ilm nahi ki usay manoos hewanat ki tarhan ghar mein rakhne ka Hukm kya hai?
Mere paas billiyon ki mukhalfat mein koi Daleel to nahi,lekin mein yeh mehsoos karta  hun ki usay ghar mein rehne dena ke woh kitchen aur kamron waghera mein ghoomtay phiray,yeh sahih nahi ?
Aap is silsila mein maloomat faraham Karen....
AlhamDulillah
Insaan ke liye sharai tor par jaaiz hai ke woh Mubah ashya ko apni milkiyat bana sakta hai, jo kisi ki  bhi  milkiyat mein nahi  hon, maslan sehraa se endhan aktha karna, ya jungle se lakdi  lena, aur isi  tarhan billiyan pakad kar un ko paalna aur tarbiyat karna, aur Mubah cheez par haath rakhne, ya is par faili ghalba haasil Karne se   Mubah cheez ki milkiyat  haasil ho jati  hai, jab ki wo kisi ki milkiyat na ho
Upar jo kuch bayan hua  hai us ki  bina par  jo billiyan  kisi ki milkiyat na hon   inhen rakhne mein koi  harj nahi, lekin  shart yeh hai ke  insaan inhen khaney peene   ko dey, aur inhen takleef  na  dey, lekin  jab ye saabit ho jaye wo billi  nuqsaandeh  hai maslan woh bemaar ho, ya yeh khadsha ho ke  is ki bina par kisi  ko koi beemari muntaqil ho jayegi , is ka saboot honay par usay nahi rakhna chahiye, kyunki  rasool Karim ﷺ  ka farmaan hai
" na to apna nuqsaan karo, aur na hi  kisi  ko nuqsaan do
to jisay billi ke  wujood se nuqsaan aur zarrar pohanchana ho usay billi  nahi rakhni  chahiye, aur isi  terhan jo usay khilane  aur pilanay ki  istetat na rakhe to wo bhi  usay chod de taki  woh zameen ke keede makode   kha kar guzar-basar kar le, aur wo usay apne ghar mein mahboos na kare
sahih bukhari aur sahih muslim mein  Hazrat Abdulllah bin Umar r.a se hadees saabit hai ke  rasool Karim ﷺ ne  farmaya.
 Jo BAtein Quran O HAdees Me NAhi HAi O Ahle HAdees Kyu KArte HAi?

 JAb Shaitan HAr JAgah Aaker Gumrah Ker Sakta HAi To NAbi Sallahu Alaihe Wasallam Har JAgah HAzir O NAzir Kyu NAhi HAi?
Kya Ahle HAdees Imaam Ke Dushman Hai? Jo Unhe NAhi MAnte 
Shiyon KA Ahle BAit Se Mohabbat Aur MAtam Ki HAqeeqat. 
1 aurat ko billi ki Bina par azaab diya gaya, is aurat ne billi  ko bandh diya hatta ke  wo mar gayi  wo usay na to khane ke  liye kuch deti  aur na hi  peenay ke  liye, aur na hi  usay choda ke  wo zameen  ke keede makode khaye , to wo aurat billi ki  wajah se aag mein daakhil ho gayi
sahih bukhari hadees number 3223 sahih muslim hadees number 1507
aur billi  agar khane  mein se kuch  kha jaye, ya Pani pi   jaye to wo palid aur najas nahi ho jata, kyunki abudawood  wagera mein hadees hai
1 Aurat ne Ammi Ayesha r.a  ko harisa  bheja to wo namaz parh rhi thin , unhon ney namaz mein hi  ishara kya ke  wo usay rakh dey, to billi ayi aur akar is mein se kha gayi ,  amma aisha r.a ne namaz ke  baad use  jagah se
Harisa  khaya  jahan se billi  ne  khaya  tha, aur farmaya : bila shuba rasool Karim ﷺ  ka farmaan hai
yeh ( billi  ) palid aur najas nahi, Balki  ye to tum par anay jaaney waliyan hain
Amma aisha r.a bayaan Karti  hain
meine rasool Karim ﷺ  ko billi  bachay hue pani  se wuzu  karte hue dekha
sunan abu dawood hadees number 69
aur 1 rivayat mein hai :-
Kabsha Binte Kaab bin Malik jo ke  Ibn abi  Qatadah ki BIWI  hain woh bayan Karti  hain ke  abu Qatadah r.a hamaray ghar aye to mein ne unke wuzu ke  liye pani  bartan mein dala to billi  ayi  aur is se peenay lagi , to unhon ne  is ke  liye bartan terha kr diya hatta ke  us ne pani pe liya
Kabshah bayan Karti  hain ke  unhon ne mujhe  dekha ke me unki taraf ja Rahi hun  to wo farmane lagey
Meri bhateeji kya tum tajjub kar Rahi ho ❓
to meine  jawab diya : ji  han..
to wo kehne lagey : rasool Karim ﷺ  ne farmaya hai
" yeh najas aur palidh nahi, balke  yeh to tum par ghoomnay phirnay waleyan hain
sunan abbu dawood hadees number 68
un dono riwayton ko imam Bukhari  aur daar kutni  wagera ne sahih kaha hai
Dekhiye al talkhees li  Ibn hajar 1 / 15
Qaul  :" tum par anay jaaney aur ghoomnay phirnay waliyan hain
is ka mani ye hai  ke ye khadimon
Ki  mushaba hain, jo tumhari khidmat karte hain, aur wo logon ke  sath hi  unke  gharon mein rehtay hain, aur unke  bartano aur samaan ke  paas hotay hain, is se un ka bachna mumkin nahi
is liye jab jab koi billi  bartan se pi jaye, ya kuch  kha jaye to woh najas aur palidh nahi ho jata, is ke  Malik ko ikhtiyar hai ke  agar is ka dil chahay aur usay zaroorat ho to wo usay kha aur pi sakta hai, kyunki  wo pak aur taher hai, lekin  agar is ka zarrar aur nuqsaan saabit ho jaye to phir nahi, aur agar is ka dil na  chahay to woh usay na khaye  aur piye aur chore day
Lekin yahan 1 cheez.ka tanbiyah  karna zaroori  hai k  baaz log billiyon ka bohat ziyada khayaal rkhte hain, aur inhen khobsorat bananay mein mubaligha karte hain, aur un par bohat ziyada maal kharch karte hain jo ke  aqal ke aqal ki kamzor  aur zaef, aur raqt deen, aur asayish mein mubaligha par Dalalat krta hai
Halanki mashriq  o maghrib ki zameen ko maghrib mein Lakho  musalman zarooratmand aur mohtaaj paye jate hain, hum musalmanoon ke  liye to bohut unchay maqasid hain jo hamara waqt len, aur usay nafa mand kam se bhar den, aur is fuzool aur be faida kam se door rahen jo Europe aur kuffar se hamaray andar sarahat kar gaya hai jo ke  kuttay aur billiyon par apni  aulaad se bhi  ziyada kharch karte hain, chahein jaye ki  wo kisi  mohtaaj aur zarooratmand par kharch Karen
balke wo to usay kisi fivestar hotel mein rakhte, aur lamba chaura maal un ko virasat mein dete hain, alhamdulillah Allah ka shukr hai jis ne hamein islam se nawaza aur izzat wa takreem   di, aur hamein baki  ummato   par imtiyaz ata farmaya
Isi  terhan is par bhi mutnabba rehna chahiye ke  Shariat islamia mein billiyon ki  khareed o farokht mana hai
sahih muslim mein abbu Zubair r.h  se hadees marvi hai wo  kehte hain ke  meine  jabir r.a  se kuttay aur billi  ki   keemat ke  mutaliq daryaft kya  to woh kehne lagey :
" Nabi e Kareem ﷺ  wasallam ne  is se danta hai ❌
sahih muslim hadees number 2933
wallahu alam.........
Share:

47 comments:

  1. Kali (black) billi palna kesa hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hmari paltu billi ko jungli billi marti h
      Kya us jungli billi ko mar skte h hum jaan se
      Jld hi btao plz

      Delete
    2. aap kisi bhi trah ka billi pal sakte hain lekin oose saf suthra rakhe idhar udhar na khula chhor de jisse wo gandi ho jaye

      Delete
    3. Billi kisi v colour ki ho paane m Koi Harz nhi hai

      Delete
  2. Agr bili touch kr jay kapro ko tu namaz hoti he k na.
    Kindly information de den

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye is Baat pe depend karta hai ke billi kahan ki hai kyun ke billi pak bhi ho sakti hai aur na paak. aapko uske baare me maloomat honi chahiye ke wo kahan ki haim kidhar rahti hai, agr aapne apne ghar me paala hai to wo paak hi hogi aur iss halat me namaj hogi.
      wallahu Alam

      Delete
  3. Mere paas ek billi hai aur usne Aaj 6 bacche diye , ab meri ye mushkil hai ki main inhe yaani 6 bachho Ko paal nahi sakta tho inhe kab aur Kaise aur kaha chode,

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap Nahi Pal Sakte to kya hua Billi khud apne Bache ko Pal sakti hai aap ne use apne ghar me rakha hai to kahin aisi jagah oose chor de jahan uski jan safe ho aur ho sake to uske kabh kabhar oose jakr dekhte rahe

      Delete
  4. Assalam o alaikum mne ak billi li h abi kch dn phle kya m use pl skti ho...Plz mjhe bta de

    ReplyDelete
    Replies
    1. ji aap pal sakti hain lekin use saaf suthra(clean) rakhna hoga aur idhar udhar ke liye use chhorna nahi hoga

      Delete
  5. Asslam o alikum!!mery pas 1 bili hai or wo bht bemaar ho gyi hai even wo chl b ni skti uska bht ilaaj krwaya hai lekin thk ni ho ri...to mjhy smjh ni a ri mai kia kru wo bht drd may hai😢

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aaap se jitna ho saka aapne kiya Allah ke Haal par chhor de

      Delete
  6. Assalamoalaikum,agar billi khanay banany k pateelay may pee kr day tu kya unhay kalmay say pak kr k istemal kr saktay hain?

    ReplyDelete
  7. 7 Martba us Bartan ko dhole, Pahli ya Aakhiri Martba Mitti Se Jarur dhoye.

    ReplyDelete
  8. 1...Mai billi palna chahti hu to kia mai billi khareed sakti hu? Q k stray cats ghar par ni rehti to palnay k liye mughe khareedni parray gi?

    2...agar khareedna mana ha to kia mai apni kisi dost sai keh sakti hu k mughe tohfa (gift) mai billi dai dy, ta k mai pal sakun?

    Shariat islamia mein billiyon ki khareed o farokht mana hai
    sahih muslim mein abbu Zubair r.h se hadees marvi hai wo kehte hain ke meine jabir r.a se kuttay aur billi ki keemat ke mutaliq daryaft kya to woh kehne lagey :
    " Nabi e Kareem ﷺ wasallam ne is se danta hai ❌
    sahih muslim hadees number 2933
    wallahu alam.

    ReplyDelete
  9. G haa Aap Unse Le Sakte HAi? Ager Aap Billi Ko Palne Ki Shaukeen HAi To?

    ReplyDelete
  10. Kal main apni bili ko ghar ko khana khila k ghar chorr k chala gya. jub wapis aaya to wo murda thee... Meri ghalati ye hai k usy band nhi kiya tha. mujhy nhi ptaa uski moat kesy hui... kya mujh py kuch sadqa wajib hai. mujhy buhat pyaar thaa apni cat sy

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mere hisaab ha Maut aur Zindigi Allah ke hath me ha. Jo huwa woh Allah ka hukm tha aur Allah humse kai guna behtar jaanta ha. Bas us billi ke liye dua karo aur ho sake to Yaseen padh kar usko bhaksh diya karo kyon ki woh hamara janwar tha hamari family ka ek khaas hissa.

      Delete
  11. Mera ek sawal ha mere paas ek Billa ha aur bhaut pyara ha lekin mera ghar kaccha bana huwa ha to bahar ke jungli bille aakar mere bille ko maar dete hain jiski wajha ha usko takleef hoti ha to agar main us jungli bille ko acche se bina zulm pinjre me pakad kar kahin dusri jagha chod doon jaise ki shadi haal ya fir ki rihayshi ilaqe me to kisi tarhan ka koi gunha to nahi hoga. Please reply zaroor karen.

    ReplyDelete
  12. Ha Aeisa Kar Sakte Hai Koi Gunah Nahi HAi.

    ReplyDelete
  13. Aslamo-o-Alikum
    mere pass ak bili hy new li hy mujy shoq hy palne ka
    janna yeh chahta hun ager bili galti sy napak jgah par behth jaye toh
    kiya karna chaiye naha le toh theek ?
    tarika kiya ho ga

    ReplyDelete
    Replies
    1. walaikum Assalam wa Rahmatullah o Barkatahu
      usko Nala De, napak Jagah Pe Baithne Se Kuchh Nahi Hota

      Delete
  14. Mere pas ek billi hai wo har kuch month me bacche dedethi hai tho kya hum birth contol injection lagwa sakthe hai??? wo billi ab family ki tarha hai isliye usko chor na nai chathe lekin uske bar bar bacche dene se pareshani horai hai..

    ReplyDelete
  15. Assalamualaikum,
    Mere ek rishtedar k waha billi hai recently kisi ne kaha ki billi nahi pallna chaye manos hoti hai rizq chin leti hai kya ye sach hai mujhe is baat par yakin nahi hua ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Nahi Aeisa kuchh bhi nahi hai.
      Mushkil aur pareshani Allah deta hai ya khushi ka lamha bhi Allah hi ata karta hai isme kisi Janwer ya dusre chij se kuchh nahi hota.

      Delete
    2. Ager aapko kisi bhi Deeni Mamlat ki jankari hasil karni ho ya Fir kis Shak me mubtla h gye hai to Aap is website pe Padh sakte hai, Yaha har qism ke Messages milenge, aap jaisa Messages padhna chahte hai wo word search kare ya fir waisa Section me jaye, Namaj, Roze, Shirk, Biddat, Parde ke masail, Aurato ke huqooq islam me, Ghar ki islah kaise kare, Shadi karne ki Shart islam me is tarah ke sare Masail ka hal yaha mil jayega aapko. In sha Allah

      Delete
  16. Assalamualaikum,
    Mere ek rishtedar k waha billi hai recently kisi ne kaha ki billi nahi pallna chaye manos hoti hai rizq chin leti hai kya ye sach hai mujhe is baat par yakin nahi hua ??

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ghar me Billi Palne ya Rakhne se Nahoosat wa Iflasi aati bol rahe hai,kya ye Sahi hai ?
      Billi palne ki ijazat hai,ya Nahi ?
      Jawab:Walikumassalam wa rahmatullah,
      Ghar me Billi(Cat) rakhne ya Palne Se kisi Qusam ki Nahoosat ya Iflasi Nahi aati hai,usko palne ki bhi ijazat hai,kyu ke Nabi e Akram(sallallahualihiwasallam) ke Daur e Mubarak me sahaba e kiram ke Gharo me Billiya huva karte,aur kayi hadeeso se sabit hai.
      (Jamiut Tirmizi,Vol/2)

      Delete
  17. Yah sb badsaguni kah lata hai, koi Mahina ya din yah sb Manhoos nahi hota, yah iman ki kamjori hai.
    https://findmrf.blogspot.com/2018/11/badsaguni-kya-hai-sitaron-se-baarish.html

    Is link pe click karke padhe

    ReplyDelete
  18. meri khala hain unhone billi paali hui hai aur masla ye hai ke wo pure ghar main jahn usko jaga milti hai pisab kar deti bathroom nhi jati hai maine boht samjya isay ghar napak hojata hai lekin wo log safai ka khyl nhi rakhte aur ghar se bhi boht gandi smell ati ha pisab ki. iske bare main batayin ke unko kya karna chahye.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Billi Ko Bathroom Jane Ki Adat Lagana Chahiye Sath hi Aapke Khala Ko Zid Nahi Karna Chahiye, Islam Koi Bhi Amal Karne Se Pahle Teharat Ke Baare Me Batata Hai. Isliye Tehrat(Paaak - Saaf) Bahot Jaruri Hai Warna wahan Ki Jane Wali Ibadat Qabool Nahi Hogi Aur Farishte Bhi Ghar Me Nahi Aayenge.dusri baat ye hai ke billi palna farz nahi hai aap chhae to paalen ya na paalen. lekin ibadat farz hai aur uske sharayet hai .
      Wallahu Alam

      Delete
    2. AwalTo Ye ke Billi Palna Farz Nahi Hai, Paaal Bhi Sakte Hai Aur Nahi Bhi.
      aapke Khala ko Chahiye Ki Us Billi Ko Bathroom Me Le Jane Ki Aadat Banaye Agar aisa Nahi Hota Hai to dusri jagah billi ko rakhen, kyunki Teharat Bahot Jaruri Hai Agar Ghar Me Teharat Nahi Hogi to Wahan ki Koi ibadat Qabool Nahi Hogi Sath hi Farishte bhi Ghar Me Nahi Aayenge, Yaad Rakhen Ki Billi Palne Se Jyda Jaruri Ibadat Hai Aur Ye Farayez Me Se Hai.
      Wallahu Allam

      Delete
  19. Mene 1 billi pali thi jo 15 din ki thi 2 sal tk usey bchon ki trha hr wqt khayal rkhaa wo persian billi thii balon wali...lekn jb wo 2 sal ki hui achank useyy Daieriya ki bimari hugyii or usey hospital le gyee hr ilaj krwayaa lekn 12 ghanty bad allah k pas chali gyii..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Mere bhai MERI bili bhi ASI hi thi parshan mat ho yah Allah k hukam sy hi hota hai Udas mat Hona dukh tuh mujhy bhi bhot huwa tha lekin Agee chalo or bhi bhot biliyan Hain unka khiyal Rakho or lelo

      Delete
  20. Assalamualaikum.
    Meri behn k pas do billiyan hen... Or Meri behn ki aulad ni ho paa rhi h.. saari reports or ilaaj normal hen...tou unhen kisi ne kaha k billiyan ghr men aulad paida ni honey detin... Kia esa hota h k billiyan aulad paida ni honey detin..?

    ReplyDelete
  21. Assalamualaikum...
    Meri behn k pas do billiyan hen..
    Or uski Meri ki aulad ni ho paa rhi h .. usko kisi ne kaha k ye billiyan aulad paida ni honey detin.... Tou kia esa hota h k billiyon aulad paida ni honey detin?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Walaikum Assalm Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh!
      Allh Ke Alawa Koi Aulad Dene Wala Aur Chhinne Wala Nahi Hai,
      Ye Sab Shaitani Baaten Hai Ke Billi Paalne Se Aulad Nahi Hoti.

      Delete
  22. Agar billi pero ke darmiyaan se guzar jaye to kya bache nahi hote? Please jawab de

    ReplyDelete
    Replies
    1. Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barkatuh.
      Ye Maghirat Baat Hai, Iski Daleel Quran Aur Nabie Ke Sunnat Se Nahi Milti Hai.
      Aur Nahi Kisi Scientific research Me Aisa Paya Gaya Hai
      Aulad Dene Aur Chhinne Wala Allah Hai Wo Jo Chaahta Hai Wahi Hota Hai, Isliye Khud Nek Banen Aur Nek Aulad Ke Liye Khalis Allah Se Dua Karen.

      Delete
  23. Assalam o Alikum...Maine poochna tha k kia billi ka pishab na pak hai.....ghar main 4 billiyan mojood hain jo k har jagha pishab kar deti hain.....wo zyada tar bus khana khanay ati hain warna bahirvrehti hain.....iske bare main kia ehkam hai? or doosra kia napaki nahoosat ki wajha banti hai? jaise betiyon k shadi k masail k koshish k bawajood rishta nahi ho raha...?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hame Pak saaf rahna chahiye kyu ke Paki nisf (half) Imaan hai. Magar Betiyon ki shadi se iska koi talluq nahi. Yah badaaguni hai, jiska jahan rishta likha hota hai wahi hota hai.

      Delete
  24. Mae ny ye pochna tha k bili k bachy thy gr unhy hum kisi or jaga chor ay hai to es ka koi gunnah to nh hai..

    ReplyDelete
    Replies
    1. Use aeise jagah rakhe jaha use dusre janwaro se khatre nahi.

      Delete
  25. AOA mre ggr me bili thi usky bachy huy lkn Kuch he din m bari bari bili or bachy sb mrty gay ksi na ksi hadssy ya bger vjaa k b mjy Shuru sy biliyan psnd h Jo b bili aajati m usy garage mn rkh leti hu or daily khanay piny ko deti hu lkn mn Janna chahti hu achank inki moat mre ghr m q huti jari hai sbki bari bari

    ReplyDelete
  26. Walaikum Assalam w rahmatullah o barkatahu.
    Jiski jab maut likhi hoti hai tabhi maut aati hai, aap khane pine ke saman ko ache se dekh le, kahi usme kisi qism ke zahrilr saman to nahi pad gaye hai.

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS