find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Badshaguni kya hai aur Iska sharai Haisiyat.

Momeen ko kya Badshaguni me Imaan Rakhni Chahiye,Islam Me Badshaguni kya Hai?


Abdullah bin masood Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne teen (3) baar farmaye badshaguni Shirk hai aur ham mein se har ek ko waham ho hi jata hai lekin Allah Subhanahu usko tawaqqal (sirf Allah par yakeen) se dur farma deta hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,511-Sahih
✦ Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain ( yani achche bure shagun mein yakeen nahi karte) aur apne RAB par hi bharosa karte hain
Sahih Bukhari, Vol 7, 6472
✦ Note : badshaguni yani koi kisi buri baat par yakeen karke us kaam se ruk jaye jaise kaali billi ke raasta kaat jane se kuch bura hoga agar koi aisa sochta hai to wo shirk hai kyunki usko Allah aur uski taqdeer par yakeen nahi.
----------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے تین بار فرمایا: بدشگونی شرک ہے اور ہم میں سے ہر ایک کو وہم ہو ہی جاتا ہے لیکن اللہ اس کو توکل سے دور فرما دیتا ہے ۔
سنن ابو داوود ، جلد ٣، ٥١١ صحیح 
ابن عباس رضی اللہ عنہما سے بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا میری امت کے ستر ہزار لوگ بے حساب جنت میں جائیں گے ۔ یہ وہ لوگ ہوں گے جو جھاڑ پھونک نہیں کراتے نہ شگون لیتے ہیں اور اپنے رب ہی پر بھروسہ رکھتے ہیں ۔
حَدَّثَنِي إِسْحَاقُ، حَدَّثَنَا رَوْحُ بْنُ عُبَادَةَ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، قَالَ سَمِعْتُ حُصَيْنَ بْنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، قَالَ كُنْتُ قَاعِدًا عِنْدَ سَعِيدِ بْنِ جُبَيْرٍ فَقَالَ عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ ‏ "‏ يَدْخُلُ الْجَنَّةَ مِنْ أُمَّتِي سَبْعُونَ أَلْفًا بِغَيْرِ حِسَابٍ، هُمُ الَّذِينَ لاَ يَسْتَرْقُونَ، وَلاَ يَتَطَيَّرُونَ، وَعَلَى رَبِّهِمْ يَتَوَكَّلُونَ ‏"‏‏.‏
صحیح بخاری جلد ٧ / ٦٤٧٢
 
☪ Share karey  Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS