find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aakhir Nujumi (Kaahin) Gaib Aur Dusri Baat Kaise Bta Deta Hai?

★Ye kaahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte he..

----------------------------------------------

★Aayesa Radi Allahu Anha se rivayat hai ki kuch logo ne Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se kaahino (Najumi) ke baare me pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya
iski koi buniyaad nahi ,
logon ne kaha Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam baaz waqt wo hame aisee baate bhi batate hai jo sahi ho jati hai,
★ Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kalma haq hota hai,
ye kaahin kisi Jinn se sun leta hai, wo Jinn apne dost kaahin ke kaan me daal deta hai
aur phir ye kahin (Najumi) iske saath 100 jhooth mila kar bayan karte hai.

★Sahih Bukhari, Vol 7, 5762.

★Tafseer: is hadith ka mafhoom he ki Jo jhuthe baba hote he unke bas me jinn hote he
★Jo unko kuch gaib ki bate batate he Jo wo upar Aasamano se dusre jinno se sun kar Aate he
aur wo bat sach hoti he aur wo hi bat kaahin awaam ko sunate he,
★lekin ese kaahino jhuthe babao ke pas jane walo par Allah ke rasool ne laanat farmayi he.
★Allah sabko sahi samaj ata farmaye..

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS