find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Biddat Kise Kahte Hai? Islam me Biddat Ke Kya Matlab. (PART 2)

BIDD'AT KISE KAHTE HAIN❓
                 Part-2✔

BIDD'AT KE ASBAAB
1. Deeni ahkaam se  
la-ilmi.
✒Quran wa hadees ka ilm na hone ki wajah se log asli deen par chalne ke bajaye khud se nai chize ijaad karlete hai. Aur anjam ye nikalta hai ke Sunnat chali jati hai Bidd'at chali ati hai.
2. Apni khwahishaat ki pairwi.
✒Apni khwahishaat ki pairwi karne wale aksar deen me ghulu kar jate hai aur unhe diya gaya deen kam lagne lagta hai lehaza wo nai nai chize ijaad kar lete hai, jabki Allah Ta'ala ne hame deen me had se badh jane ko mana farmaya hai.
3. Makhsus logo ki ray ke liye      ta'assub baratna.
✒Zabani to log Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam se mohabbat ke naare lagate hai lekin jab sunnat ki baat aati hai to Aap sallallaho alaihi wasallam ki hadees chhod kar apne buzurgo ki baato ko tarjeeh de dete hai aur anjam deen me Bidd'at ho jata hai.
4. Kuffar se mushabehat(copy) ikhteyar karna.
✒Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne hame kuffaro ki mushabehat karne se mana farmaya hai ye aksar musalman jante hain lekin fir bhi wo unke riwajo ko apnate chale ja rahe hai aur apne deen ko chhodte chale ja rahe hai. Aur aj ye haal hogaya hai ke hamare muslim muashre me asal deen pe chalne wale kam aur kafiro ke tareeqe pe chalne wale zada log ho gaye hai. Yani Muslim Muashre par Deen ka asar kam aur kafiro ki mushabehat(copy) ka asar zada hai.
DEEN MUKAMMAL HO CHUKA HAI LEHAZA BIDD'AT KI KOI GUNJAISH NAHI
Allah ta'ala ne deen ko kamil nazil kiya hai yani ke hamara deen mukammal hai nahi usme nuqs hai naahi wo adhura hai.
Allah Ta'ala farmata hai :

"Aj maine tumhare liye deen ko kamil kar diya aur tum par apna in'aam bharpoor kar diya aur tumhare liye islam ke deen hone par razamand ho gaya. "
Surah Maidah : 3
NAYA DEEN IJAAD KARNE WALO KO DARDNAAK AZAAB

" Kya in logo ne aise (Allah ke) shareek(muqarrar kar rakhe) hai jinhone aise (ahkaam) deen muqarrar kardiye hain jo Allah ke farmaye hue nahi hai. Agar faisle ke din ka waada na hota to (abhi hi) unme faisla kar diya jata. Yaqeenan un zalimo ke liye hi dard naak azaab hai.
 Surah Shuara : 21
SUNNAT CHHOD APNI NAFS PE AMAL KARNE WALA
✔☘Anas Bin Malik Radiallahu anhu se marvi hai ki teen aadmi azwaje mutahharat(wives of prophet sallallaho alaihi wasallam) ke paas gaye aur Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki ibadat ke bare me pucha. Jab unko bataya gaya to Goya unhone khud ke amal ko kam samjha. Unme se ek ne kaha ke mai hamesha raat ko ibadat karunga, dusre ne kaha ke mai hamesha din ko roze rakhunga, teesre ne kaha ke mai kabhi shadi nahi karunga. Jab Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ko is bat ka ilm hua to Aap ne sakhti se mana kar diya aur farmaya:
"Khabardaar!!!!!  Jisne meri sunnat se inkar kiya wo ham me se nahi "
Sahih Bukhari, 5063
Sahih Muslim,1401
✒Halaki unhone neki ka hi izhar kiya tha lekin wo neki sunnat ke mutabiq na hone ki wajah se Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne mana kar diya. Yani ke hame deen utna hi follow karna hai jitna ke hame bataya gaya hai.
AHKAAM E SHARI'AT PE CHALNE KA HUKM
Allah Ta'ala farmata hai :

"Hamne har ek ummat ke liye ek raah(Ahkaam e Shari'at) muqarrar kardi hai aur unhe isi par chalna hai."
Surah Haj 22 : 67
✒Jab Allah Ta'ala ek Shari'at nazil kar chuka hai to hame ye haq ni hasil ke ham apni nafs ki pairwi kar Bidd'ato ko apnale jabki hamara deen mukammal ho chuka hai.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS