*ꙮKYA AURAT BAGHAIR MEHRAM KE HAJ YA UMRAH KAR SAKTI HAI ?ꙮ*
Mehram ke baghair aurat ke liye safar karna jayez nahi chahe uska safar farz haj ya umrah ke liye hi kyu na ho.
*Ibn e Abbas Radiallahu anhu se rivayat hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya:*
“Mehram ke baghair aurat safar mat kare aur nahi koi shaks uski tanhaai me uske paas jaaye siwaye iske ke aurat ka mehram uske sath ho. To ek shaksh ne arz kiya Mera to irada falan falan lashkar ke sath jane ka hai aur meri biwi haj pe jana chahti hai❓ To Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya tum apni biwi ke sath jaao.”
*(Sahi Bukhari: 3006, Sahi Muslim: 1341)*
➖Is hadees ke alawa dusri ahadees jo baghair mehram aurat ke safar ki hurmat karti hai uske bina pe ulama e deen ne aurat par haj farz hone ki sharto me ek shart aurat ka mehram ke sath hona bhi rakhi hai, isliye agar apke sath jane ke liye mehram nahi hai to ap par haj farz nahi hai aur ap mazoor hai aur in shaa’a Allah apko apni niyat ka ajr wa sawab hasil hoga.
*Imam Ahmad Rahimahullah se sawal kiya gaya ke Ek maaldaar aurat ke paas mehram nahi to kya us par haj farz hota hai❓*
Imam Ahmad Rahimahullah ne jawab diya
Nahiiiii
*Al Mughni Ibn e Qudaimah (3/97)*
*Standing committee ne kaha:*
➖Sahi Qual ye hai ke aurat ka agar shauhar ya uska koi mehram nahi hai to us par haj farz nahi hai kyunki haj ke farz hone ki sharto me se ek shart ye bhi hai ke aurat ka mehram uske sath ho.
Allah Ta’ala Surah Al-Imran Ayat 97 me farmata hai ke jo haj kar sakta hai uspe haj farz hai:
▫“Allah Ta’ala ne un logo par jo uski taraf ki Raah pa sakte ho, us ghar ka haj farz kar diya hai.”
*Fataawa al-Lajnah al-Daa’imah (11/90, 91)*
*Ulemaae deen Qur’an ki tafseer me likhte hai ke:*
“Raah pa sakte ho” ka matlab ye hai ke Raste ke kharch ka intezam ho, yani itna maal ho ke Raste ka kharch asaani se pura ho jaaye,iske siwaye intezam se murad ye bhi hai ke raaste me aman ho aur jaan wa maal mahfooz ho, isi tarah ye bhi zaruri hai ke sehat safar ke layaq ho, iske alawa aurat ke liye uska mehram zaruri hai.
*Fatahul Qadeer*
*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
------------
No comments:
Post a Comment