find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Manasik-E-Hajj Aur Mukhaalifat-E-Hanafiyah wa Barailwiyyah. (Part 2)

*🔘Manasik e Hajj Aur Mukhaalifat e Hanafiyyah wa Barelwiyyah🔘*

*Part-2*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised By: Umar Asari ​*

*⓭ Muzdalifah Mein Mukammal Namaz:*
Hamein taajjub hota hai Fiqah e Hanfi par, unkey according Arafat mein namazein jama karna jaayez nahi magar unki fiqah kehti hai ke Arafat se jab Muzdalifah aana hai to sooraj doob jaaney ke baad bhi Arafat mein ya raastey mein Maghrib ki namaz nahi padhni hai Muzdalifah mein hi padhni hai. Ab zara mujhey batayen Muzdalifah mein Isha ke waqt jo Maghrib aur Isha ki namaz padhtey hain kya yeh Jama nahi hai? Yahi cheez Arafat mein mana hai aur Muzdalifa mein jaayez?
Khair! Yahan bhi sunnat ki mukhalifat ki jaati hai yani namazein jama to ki jaati hain magar Qasr nahi ki jati jabki sunnat ki roshni mein Muzdalifah mein Maghrib aur Isha ki namazein “Jama Takheer” se Qasr ke saath padhni chahiye.

*⓮ Jamarat Ka Naam Shaitaan:*
Hanfi logon mein Jamarah (is ka plural Jamarat hai) jisey kankari maartey hain us ka naam Shaitaan mash-hoor hai, yeh badi galati hai. Us ka naam Jamarah hai, usey Shaitaan kehna aur Shaitaan samajh kar ihanat (contemn) se usay kankari maarna galat Aqeedah hai. Apney aqeeday ki islaah karen.

*⓯ Hajj e Akbar Ka Nazariya:*
Logon mein yeh baat bhi mash-hoor kar di gayi hai ke Arafah agar jumay (friday) ke din pad jaaye to Hajj e Akbar hai. Halaanki aisi koi daleel nahi milti albatta Yaum un Nahar ko Hajj e Akbar ka din kehna saabit hai.

*⓰ Yaum un Nahar ko A’amaal e Hajj Ki Tarteeb Ka Wujoob:*
Hajj e Tamattu’ (حج تمتع) karney walon ke liye Yaum un Nahar ko Hajj ke A’amaal ki tarteeb is tarah hai. Pehlay Rami e Jamarah (Uqba), phir Qurbani, Us ke baad Halaq ya Qasr karna, us ke baad Tawaaf e Ifazah phir Sa’ee. Yeh tarteeb agar badal jaye to koi harj nahi kiyunki is tarteeb se mutalliq Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
افْعَلْ وَلاَ حَرَجَ‏​
*Yani* in kamon mein se jis mein aasaani ho pehlay karlo koi harj nahi. *(Tafseel ke liye dekhen, Sahih Bukhari: 1736)* Magar Ahnaaf ke yahan tarteeb wajib hai. Koi aadmi baghair Qurbani kiye baal nahi munda sakta. Is wujoob ki wajah se Yaum un Nahar ko Hanfi log kaafi pareshan rehtey hain aur baal mundaney se pehlay Qurbani karney ke chakkar mein bohot saari mushkilaat ka saamna kartey hain halanki tarteeb sirey se wajib hi nahi. Allah Taala ne hamein aasaan deen diya hai magar Ahl e Raye ne usey logon ke liye mushkil bana diya.

*⓱ Aurat Ka Chehra Kholna:*
Aurton mein yeh baat kaafi mash-hoor hai ke Hajj mein parda nahi hai jabki Hijaab har jagaah wajib hai chahey Hajj ho ya Hajj ke alawah doosra mauqa. Kuch aurton mein yeh baat mash-hoor hai ke chehrey se koi kapda nahi choona chahiye is liye aurtein Hajj mein english Cap lagati hain. Kya hi mazhaka-khez (ridiculous,laughable) amal hai.

*⓲ Ehtiyati Dam Ka Tasawwur:*
Hanfi logon mein ehtiyaqt bohot mai’ney rakhta hai jaisey Zohr e Ehtiyaati (Zohr e Ehtiyaati yeh hai ki Juma ke din ehtiyaat ke taur par Zohr padhi jayee). Ahnaaf ke yahan Hajj mein bhi bohot saari ehtiyaat hain un mein sab se ahem dam (دم) ki ehtiyaat hai. Aksar Hanfi Hujjaj (Hanfi Pilgrims) is liye dam detey hain ke hajj mein kahin koi galati na ho gayi ho. Bechaarey aam logon ke saath Hajj par aaney waley adhoorey ilm waley rehnuma (leaders, mentors) ki yeh karam-farmai (condescending) hai jo unhein is qism ka sabaq padhatey hain. Dam us waqt dena hai jab maloom ho ke us se Hajj ke wajibaat mein se koi wajib choota hai ya Ehraam ke Mehzoorat ka irtikaab kiya hai. A’amaal e Hajj par shak karna aur shak ki bunyaad par dam dena Imaan mein shak ki daleel hai.

*⓳ Bida’ee (بدعی) A’amaal:*
Barelwiyon ki tarah Ahnaaf ke yahan bhi Hajj mein Bida’ee A’amaal anjaam diye jaatey hain, jin mein deewar o dar, paththar, ped (trees) wagera se barkat lena, Kabootaro (pigeons) ko dana daalna, us ka khaaya huwa dana chunna, kankari dhona, Zamzam se kafan dhona aur waseeley ke zariya dua karna waghera shaamil hain.

*⓴ Zaeef aur Banawti Duayen:*
Upar kuch duaon ka zikr kiya gya hai jo Sahih Hadees se saabit nahi hain. In ke alawah Hajj mein kai maqamat pe makhsoos duayen ki jaati hain jo saabit nahi hain balki kuch to manghadat (trumped) hain. Jaisay Safa aur Marwah par chadhtey, utartey waqt ki dua, Marwah ki taraf chalney ki dua, hari batti ke darmiyan ki dua, Waadi e Mina ki dua, Arafat ki taraf rawaangi (yani jaaney) ki dua, Arafat mein dakhil honay ki dua, Wuqoof e Arafah ki dua, Muzdalifah ki taraf jaaney ki dua, Wuqoof e Muzdalifah ki dua, Qiyaam e Muzdalifah mein subah ki namaz ke baad ki dua, Jamra e Uqbah ki Rami (رمی) se pehlay ki dua, Tawaaf e Wida’ ki dua, Khana e Ka’ba se juda (alag) hotey waqt ki dua waghera. In mein se koi dua saabit nahi hai.

*➋➊ Hajj Mein Farz Aur Wajib Ki Taqseem:*
Haqeeqat mein Farz aur Wajib ke darmiyan koi farq nahi magar Ahnaaf ke yahan in dono mein farq kiya jaata hai. Hajj ke arkaan ko Ahnaaf Farayez (farz) ka naam detey hain halaanki inhein Arkaan kaha jayega Farayez nahi. Un ke yahan Farayez ki ta’daad mein bhi ikhtelaaf hai. Kuch chaar (4), kuch paanch (5), kuch che (6) mantey hain jabki dalail ki roshni mein Hajj ke Arkaan chaar (4) hain.

*➋➋ Masjid e Aisha Se Bar Bar Umrah Karna:*
Hajj e Qira’an mein Umrah aur Hajj aik saath hota hai, Hajj e Tamattu’ mein pehlay Umrah karna hai phir Hajj karna hai. Ahnaaf ke yahan khaas taur se Hajj e Tamattu’ karney waley Hajj se pehlay bar bar Umrah kartey hain jis se Manasik e Hajj (ceremonies of Hajj) ki sareeh mukhalifat hoti hai. Is amal se seedhey saadey log bhi behak jatey hain aur woh bhi dekha dekhi aisa karney lag jatey hain.

*➋➌ Makkah Walon Ke Liye Hajj e Ifraad:*
Ahnaaf mein yeh bhi mash-hoor hai ke Makkah walon ke liye sirf Hajj e Ifraad hai jabki un ke paas koi daleel nahi hai. Durust baat yeh hai ki teeno qism ka Hajj jaisey aam logon ke liye hai waisey hi Makkah walon ke liye bhi hai.

*➋➍ Madinah Ki Ziyarat Ka Tasawwur:*
Zaeef Ahadees ki bunyaad par yeh kaha jaata hai ke Madinah ki Ziyarat Hajj ka aik hissa hai balki yeh maana jaata hai ke Rouza (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke qabr) ki ziyarat hajj ka itmam (poora hona) hai. Halaanki Tawaf e Wida’ Hajj ka aakhri amal hai, us ke baad Hajj mukammal ho jata hai.

*☘Alhamdulillah Completed☘*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS