Kya Ramzan ke mahine me Biwi se Mil sakte hai?
Biwi Se Hambistar hone Ke Ahkaam Roze ki halat me.
*اَلسَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَتُهُ
*بِسمِ اللّٰهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيمِ
روزہ دار پر رمضان میں دن کو
جماع حرام ہے۔* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*ROZAHDAAR PAR RAMZAAN MAI DIN KO JAMA'A HARAAM HAI.* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*. Abu-Hureraah Radiallahu Ta'aala Anhu ne kaha......* *. Aik Shakhas aaya Nabi Sal'lal'lahu Alayhi wa Sal'lam ke paas aur kaha ke :* *. " Mai halaak ho gaya , ya Rasulallah !"* *. Aap ne farmaaya:* *. " Kisne halaak Kiya tujh ko "*❓ *. Usne arz kee ke , mai apni Bibi par jaa pada Ramzaan mai (yaani Jama'a Kar betha ).* *. Aap ne farmaaya:* *. " Tu aik Ghulaam ya laundi لونڑی Aazaad Kar sakata hai*❓ *. Usne kaha : " Nahi ".* *. Aap ne farmaaya: " Do maheene ke Rozeh baraabar rakh sakata hai*❓ *. Usne kaha, " Nahi ".* *. Aap ne farmaaya: " Saath (60) Miskeenon ko Khilaa sakata hai*❓ *. Usne kaha, "Nahi."* *. Phir woh baitha raha , yahaan tak ke Hazarat ke paas aik tookara khajoor ka aaya.* *. Aap ne farmaaya: " Jaa , iss ko Sadqah de de Miskeenon ko."* *. Usne kaha ke , " Mujh se bad Kar koi Miskeen hai❓Madeena ke dono kankareelee kaale pat'tharon waali zameenon ke beech mai ke in mai Koi ghar waala mujh se bad-kar mohtaaj nahi ".* *. To Nabi Sal'lal'lahu Alayhi wa Sal'lam hans pade.* *. Phir aap ne farmaaya ke :* *. " Le iss ko aur khila apne ghar waalon ko ."* *SAHEEH MUSLIM* *. Jild : 3* *. Kitaabul - Sayaam.* *. Hadees No.19* *. Page No. 119* *. Urdu Edition.
ALLAH
ReplyDelete