*ꙮHajj Pay Janay Se Pehlay Maafi Maangnaꙮ*
*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi*
*🖋 Romanised By: Umar Asari*
___________________________________________________
Hajj Pay Janay Se Pehlay Pooray Khuloos Key Saath Apney Gunaaho Se Tauba Karna Chahiye Aur Aindah Na Karney Ka Azm e Musammam (Pakka Iradah) Karna Chahiye, Agar Kisi Ko Dukh Pohnchaya Ho To Us Se Maafi Maangni Chahiye, Kisi Ka Haq Dabaya Ho To Maafi Ke Saath Usko Wapas Kar Dena Chahiye, Agar Haqdaar (Jiska Haq Ho) Na Miley To Sadqa Karna Chahiye, Saath Hi Niyat Rakhni Chahiye Ke Jab Wo Mileyga To Wapas Kar Dengey.
Islam Mein Huqooq ul ibad (Bandon Key Huqooq) Ki Ahmiyat Pay Bohat Ubhara Gaya Hai, Aur Yeh Woh Haq Hai Jisay Khud Bandah Hi Maaf Kar Sakta Hai, Warna Allah Maaf Nah Karega, Agar Usi Haalat Mein Duniya Se Chala Gaya To Akhirat Mein Uski Neki Mazloom Ko Dey Di Jayegi.
Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Irshad Hai:
مَنْ كَانَتْ لَهُ مَظْلَمَةٌ لأَحَدٍ مِنْ عِرْضِهِ أَوْ شَىْ فَلْيَتَحَلَّلْهُ مِنْهُ الْيَوْمَ، قَبْلَ أَنْ لاَ يَكُونَ دِينَارٌ وَلاَ دِرْهَمٌ، إِنْ كَانَ لَهُ عَمَلٌ صَالِحٌ أُخِذَ مِنْهُ بِقَدْرِ مَظْلَمَتِهِ، وَإِنْ لَمْ تَكُنْ لَهُ حَسَنَاتٌ أُخِذَ مِنْ سَيِّئَاتِ صَاحِبِهِ فَحُمِلَ عَلَيْهِ
*Tarjuma:* Agar Kisi Shakhs Ka Zulm Kisi Doosray Ki Izzat Par Ho Ya Kisi Tareeqa (Se Zulm Kiya Ho) To Aaj Hi, Us Din Ke Aanay Se Pehlay Maaf Kara Ley Jis Din Na Dinar Hongey, Na Dirham, Balkay Agar Us Ka Koi Naik Amal Hoga To Uskey Zulm Key Badlay Mein Wahi Ley Liya Jayega Aur Agar Koi Naik Amal Uskey Paas Nahi Hoga To Uskey (Mazloom) Saathi Ki Buraiyan Us Par Daal Di Jayengi.
*(Sahih Bukhari: 2449)*
Aur Sahih Muslim Mein Riwayat Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ، قَالَ: أَتَدْرُونَ مَا الْمُفْلِسُ ؟ قَالُوا: الْمُفْلِسُ فِينَا مَنْ لاَ دِرْهَمَ لَهُ وَلاَ مَتَاعَ ، فَقَالَ: إِنَّ الْمُفْلِسَ مِنْ أُمَّتِي يَأْتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ بِصَلاَةٍ ، وَصِيَامٍ ، وَزَكَاةٍ ، وَيَأْتِي قَدْ شَتَمَ هَذَا ، وَقَذَفَ هَذَا ، وَأَكَلَ مَالَ هَذَا ، وَسَفَكَ دَمَ هَذَا ، وَضَرَبَ هَذَا ، فَيُعْطَى هَذَا مِنْ حَسَنَاتِهِ ، وَهَذَا مِنْ حَسَنَاتِهِ ، فَإِنْ فَنِيَتْ حَسَنَاتُهُ قَبْلَ أَنْ يُقْضَى مَا عَلَيْهِ أُخِذَ مِنْ خَطَايَاهُمْ فَطُرِحَتْ عَلَيْهِ ، ثُمَّ طُرِحَ فِي النَّارِ
*Tarjuma:* Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Kya Tum Jantay Ho Ke Muflis Kon Hai? Sahaba Radhiallahu Anhum Ne Arz Kiya:
Hum Mein Muflis Woh Aadmi Hai Ke Jis Ke Paas Na Dirham Ho or Na Mata’(متاع). Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya:
Meri Ummat Ka Muflis Woh Aadmi Hoga Ke Jo Qayamat Key Din Namaz, Rozay or Zakat Le Kar Aayega Lekin Us Aadmi Ne Duniya Mein Kisi Ko Gaali Di Hogi, Kisi Par Tohmat Lagai Hogi, Kisi Ka Maal Khaya Hoga, Kisi ka Khoon Bahaya Hoga, Kisi Ko Mara Hoga To Un Sab Logon Ko Us Aadmi Ki Naikiyan Day Di Jayengi Aur Agar Uski Naikiyan Unkey Huqooq Ki Adaigi Se Pehlay Hi Khatm Ho Gayeen To Un Logon Ke Gunah Us Aadmi Par Daal Diye Jayenge Phir Us Aadmi Ko Jahannum Mein Daal Diya Jayega.
*(Sahih Muslim: 2581)*
Jab Bandah Hajj Jaisay Freezey Ki Adaigi Pay Jaa Raha Ho Aur Uskey Upar Kisi Ka Haq Reh Jata Ho Ya Usney Kisi Ko Takleef Diya Ho To Hajj To Ho Jayega Magar Uskey Us Amal Ka Gunah Uskey Upar Baqi Rahayga Ya Dosray Lafzon Mein Yeh Kahen Ke Us Gunah Ki Wajah Se Bohat Se Ajr (Sawaab, Badla) Se Mahroom Ho Jayega Jaisa Ki Hadees Mein Hai:
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ ، أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: تُفْتَحُ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ يَوْمَ الإِثْنَيْنِ ، وَيَوْمَ الْخَمِيسِ ، فَيُغْفَرُ لِكُلِّ عَبْدٍ لاَ يُشْرِكُ بِاللَّهِ شَيْئًا ، إِلاَّ رَجُلاً كَانَتْ بَيْنَهُ وَبَيْنَ أَخِيهِ شَحْنَاءُ ، فَيُقَالُ: أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا ، أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا ، أَنْظِرُوا هَذَيْنِ حَتَّى يَصْطَلِحَا
*Tarjuma:* Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya : Peer (Monday) Aur Jumeraat (Thursday) Ke Din Jannat Ke Darwazay Khol Diye Jatay Hain, Aur Har Us Bandey Ki Maghfirat Kar Di Jati Hai Jo Allah Taala Key Saath Shirk Na Karta Ho, Siwaye Us Bandey Ke Jo Apney Bhai Key Saath Keena Rakhta Ho Aur Yeh Kaha Jata Hai Ke Un Dono Ki Taraf Dekhtey Raho Yahan Tak Ke Woh Sulah Karlen, Un Dono Ki Taraf Dekhte Raho Yahan Tak Ke Woh Sulah Kar Len Un Dono Ki Taraf Dekhte Raho Yahan Tak Ke Woh Sulah Kar Len.
*(Sahih Muslim: 2565)*
Allah Taala Hamein Amal Ki Toufiq Bakhshay. Aameeen.
No comments:
Post a Comment