find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shadi Me Mehar Ki Kitni Ahmiyat HAi? Tohfa-E-Nikaah. (Part 16)

 Islamic Shadi Me Mehar Ki Ahmiyat HAi

Tohfa-e-Nikaah Part - 16
   Maher Biwi Ka Haq Hai Jis Ko Khushdili Se Ada karna Allah Ka Hukm Hai*
Islaam mein shohar ke zimme biwi ke kayi huqooq waajib kiye hain, jin mein se ek bada haq maher ada karna bhi hai,
Qur'aan mein Allah Ta'ala farmaata hai: Aur aurton ko un ke maher khushi se diya karo. (Sura-e-Nisa: 4)
✺ Aur ek Hadees mein
✺ *Hazrat Aaisha (RA) farmaati hain ke mujhe Rasulullah ๏ทบ ne hidaayat di thi ke main aisi aurat ko us ke shohar ke hawaale na karoon ke jise apne maher mein se kuch bhi na mila ho. (Mo'jame Sageer: 108)*
✺ Is ke alaawa aur bhi kayi Aahaadees hain, jin mein Nabi-e-Kareem ๏ทบ ne maher ada karne ki taakeed farmaayi hai; lihaaza jin shoharon ne abhi tak apni biwiyon ko maher ada nahein kiya hai, woh jald se jald use ada karne ki koshish karein, aur maher ke silsile mein buri niyyat se bachein kyun ke ek Hadees mein
✺ *Rasulullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne kisi aurat se nikaah kiya, maher bhi mut'ayyan kiya lekin dil mein ada karne ki niyyat nahein hai to woh zaani hai. (Sunan-e-Kubra baihaqi: 14782, Abu Huraira (RA))
✺ Is Hadees mein kitni sakht waeed bayaan ki gayi hai, is liye maher ke silsile mein hamaari niyyat saaf suthri honi chaahiye, aur Allah ka hukm samjh kar use ada karna chaahiye.
      ☆▬▬▬▬เฎœ۩۞۩เฎœ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
   ☆▬▬▬▬เฎœ۩۞۩เฎœ▬▬▬▬
Share:

1 comment:

  1. your post is best but I believe this is best book to understand to Ramzan.
    Islami Shadi

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS