find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaj-E-Eid Ke Ahkam ( Eid Ul Fitr Aur Eid Ul Azha).

*NAMÃZ E EID KE AHKÃM❗*

*Namaz e eid ka hukm ; ❗* *Sunnat e moukkida hai. Rasool Allah sallallãhu alaihi wasallam ne is par hameshgi iqtiyar ki hai.* Surah Al-kousar : 2. *Islam me sharai Eidon ki te’adad sirf do(2) hai. Eid ul azha aur Eid ul fitr.* Sanan abi dawood : 1134. Sanan nisai : 1557.
*Namaz e eid ka waqt ; ❗* *Suraj buland hone ke baad se zawal tak.* Talqeez al-habeer : 83/2. *Namaz eid ul fitr thodi taqeer ke saath aur namaz eid ul zuha jaldi ada karni mustahab hai.* Musnad al-imam ash-shafai : 442. Fiqhus sunnah : 410/1. *Agar kisi ilaqe ke log eid ka chand na dekh sake aur doosre din zawaal se pehle tak kisi ke zariye chand nikalne ki khabar mil gayi tou roza tod kar isi din namaz e eid ada kar lenge aur agar zawal ke baad khabar mili tou roza tod denge aur namaz e eid doosre din ada karenge.* Sanan abi dawood : 1157. *❗

EID aur NAMÃZ e EID SE MUTÃLLIQ DEEGAR AHKÃMÃT

* *Eid ka din mubãrak aur pãkeeza din hai.* Sahih bukhari : 971. *Eid ke din ghusul karna aur achche libaas pahenna mustahab hai.* Mustadrak Al-hakim : 230/4. Silsila al-ahadees al-sahiha : 1279. *Namaz e eid khule maidaan me ada karni sunnat hai.* Sanan ibn majja, kitab iqama as-salah. *Al-batta agar barish ya koi aur majboori ho tou masjid me ada kar sakte hai.* Sanan abi dawood : 1160. Sanan ibn majja : 1313. *Namaze eid ke liye jaldi aana sunnat hai, bahot zyada taqeer karna durust nahi.* Sahih bukhari, baab Al-takbeer lal eid ta’aliqa. Sanan abi dawood : 1135. *Namaze eid ul fitr se qabl kuch meethi cheez khana sunnat hai.* Sahih bukhari : 935. *Al-batta eid ul azha me kuch na kha kar eidgah jana aur wapis ho kar qurbani ka gosht paka kar khana mustahab hai.* Sahih sanan tirmezi : 447. *Eid ki raat me bakasrat takbiraat kehna masoon hai, eid ul fitr me imam ke khutbe tak aur eid ul azha me ayyame tashreeq tak.* Surah al-baqra : 203. Jame al-sagheera ziyadata al-albani : 9135. *Takbiraat ke masnoon alfaaz ye hai “اللَّه أَكْبَر اللَّه أَكْبَر , لَا إِلَه إِلَّا اللَّه , وَاَللَّه أَكْبَر , اللَّه أَكْبَر وَلِلَّهِ الْحَمْد” “ALLAHUKABAR ALLAHUAKBAR LAILAHA ILLALLAHU WALLAHUAKBAR WALILLAHUL HAMD”* Arwa al-ghaleel al-albani : 125/3. *Eid ki namaz sirf do(2) raka’at hai.* Sahih bukhari : 989. *Namaz e eid ke liye azaan wa iqamat nahi.* Sahih bukhari : 960. Sahih muslim : 887. *Namaze eid se pehle aur baad me koi sunnat wa nafil nahi.* Sahih bukhari : 989. Sahih muslim, salah al-edain : 5. *Pehli raka’at me qiraat se pehle saat(7) martaba takbeer ( اللَّه أَكْبَر) (ALLAHUAKBAR) aur doosri raka’at me qiraat se pehle paanch(5) martaba takbeer kahenge, phir surah fatiha aur koi doosri surat ki tilawat karenge, baqya namaz ka tariqa aam namazon ki tarha hai.* Sanan abi dawood : 1149, 1150, 1151. Sana tirmezi : 536. Sanan Ibn majja : 1278. *Inn takbiron me har takbeer par haath uthane chahiye.* Arwa al-ghaleel al-albani : 641/3. *Pehli raka’at me “SABBI HISMA RABBIKAL AAL” aur doosri raka’at me “HAL ATAKA HADEESUL GHASHIYA” ki qiraat masnoon hai.* Sahih muslim : 878. *Khutba eid namaaz ke baad hai.* Sahih bukhari : 957, 962. Sahoh muslim, salah al-edain : 3. *Khutba edain sunna masnoon hai.* Sanan abi dawood : 1155. Sanan nisai : 1572. Sanan ibn majja : 1290. *Sawaar aur paidal dono tariqon se eidgah jana durust hai.* Sahih bukhari : 989. Sanan ibn majja : 1284. *Eidgah aate jaate waqt raasta badal dena sunnat hai.* Sahih bukhari : 986. *Agar juma ke din eid pad jaye tou namaze eid aur juma dono padhlena afzal hai aur agar namaze eid padh kar juma ke bajaye zohar padhle tou bhi jayez hai.* Sanan abi dawood : 1080. Sahih ibn khuzaima : 1464. *Mardon ki tarha aurten bhi eidgah jã kar namaze eid ada karengi, albatta zeb wa zeenat be-pardgi aur khushbu wagaira se ijtenaab karengi, aur inki safein mardon ke peeche hongi.* *Agar kisi ki namaze eid choot jaye tou wo tanha do(2) raka’at namaz padhle.* Sahih bukhari. *Eid ke din ek doosre ko mubarak baad dena sunnat hai.* Sanan al-kubri lal-baihaqi : 319/3. *Eid ke din wo tafreehi kaam jayez hai jinme shariyat ki mukhalifat na ho* Sahih bukhari : 988. *

Post from :

Tahãrat aur Namãz by Saud Ahmed bin Maqsood Ahmed Al-Madni*

Share:

1 comment:

  1. Hello everyone, it’s my first visit to this website, and the piece of writing is eid ul Fitr in support of me, keep up posting this content. Eid Ul Fitr Namaz Ka Tarika

    ReplyDelete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS