find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label pahle tashahhud me durud padhna kaisa hai. Show all posts
Showing posts with label pahle tashahhud me durud padhna kaisa hai. Show all posts

Pahle Tashahhud Me Durud Padhna Kaisa Hai?

*ꙮPehle Tashahhud Mein Durood Padhnaꙮ*

www.findmrf.blogspot.com

*❀Sawaal:❀*
Pehle Tashahhud mein durood padhna kaisa hai?

*✿Jawaab:✿*
Teen ya chaar rak'aton waali Namaz ke tashahhud e awwal mein sirf in kalimaat par iktifaa kiya jaaye:
التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ السَّلامُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ السَّلامُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ أَشْهَدُ أَنْ لا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ​
*Tarjumah:* (Meri saari) qauli, badani aur maali Ibaadat sirf Allah ke liye khaas hai. Aye Nabi Aap par Allah Taala ki rehmat, salamati aur barkatien hon aur hum par aur Allah ke (doosre) nek bandon par (bhi) salaamati ho, main gawaahi deta hun ke Allah ke siwa koi (sachcha) Ma'bood nahi hai aur main gawaahi deta hun ke Mohammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Allah ke bande aur Rasool hain.
*(Sahih Bukhari: 6265)*

*Afzal yahi hai ke inhi kalimaat par iktifaa kiya jaaye aur agar yahan yeh durood shareef padh liya jaaye to is mein bhi koi harj nahi:*
اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ، وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ
اَللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ، كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيم َوَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ، إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ​
*Tarjumah:* Ya Ilaahi Rahmat Farma Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam aur Aal e Muhammad Par Jis Tarha Tune Rahmat Farmai Ibraheem Alaihissalam Aur Aale Ibraheem Par Beshak To Taareef Wala Aur Buzrugi Wala Hai. Ya Ilaahi Barkat Farma Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Aur Aale Muhammad Par Jis Tarha Tune barkat Farmai Ibraheem Alaihissalam aur Aale Ibraheem Par
Beshak To Taareef Wala Aur Buzrugi Wala Hai.
*(Sahih Bukhari: 3370)*

*Kuch ulama ne is (pehle) tashahhud mein bhi durood shareef padhne ko mustahab qaraar diya hai lekin mere nazdeek ziyada durust baat yeh hai ke sirf At-Tahiyyaat hi par iktifaa kiya jaaye aur agar durood shareef bhi padh le to koi harj nahi, bil-khusoos (khaas taur se) jab imam tashahhud mein ziyadah der baithe to phir durood shareef ko bhi padh liya jaaye.*
وباللہ التوفیق​
*Fataawa Arkaan e Islam*
*Namaz ke Masaail*
*Mohaddis Fatwa*

-------------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS