find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label nabi ne farmaaya jo shaks masjid me bar bar haziri deta hai uske liye jannat me mehman nawaji hogi. Show all posts
Showing posts with label nabi ne farmaaya jo shaks masjid me bar bar haziri deta hai uske liye jannat me mehman nawaji hogi. Show all posts

Aaj ki Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅


فَتَلَقَّىٰ آدَمُ مِن رَّبِّهِ كَلِمَاتٍ فَتَابَ عَلَيْهِ إِنَّهُ هُوَ التَّوَّابُ الرَّحِيمُ

Then Adam received *(some) words from his Lord, so He turned to him mercifully;* surely He is Oft-returning (to mercy), the Merciful.

Ruman Urdu

(hazrath) Aadam (alaihis salam) ne apne rub se *chand batein sikhli aur Allah ta'ala ne un ki tauba quboal farmaayi,* beshak wahi tauba qubaol karne waala aur rahem karne wala hai

(Quran : Surah Al-Baqara,Verse 37 )

*📌 Aadam alaihis Salam Allah se jo mafi mange Qur'an wo waze alfaaz me bayaan karta hai ! Aadam alaihi Salam Allah se kuch kalimaat sikhe hai wo kalimaat kiya hai wo bhi Qur'an me maujud hai,*

*AGAR ARSH PAR KUCH DEKHTE TO WO BHI QUR'AN WAZE ALFAAZ ME BAYAAN KARTA THA❗*

*lekin aysi Koi baat kehna Ke arsh par kuch dekhe the, na to Qur'an me hai aur na hi Koi sahih hadees me hai ! Allah deen ko Qur'an O Hadees Ke mutabiq samajh ne aur us par amal karne ki sahih taufeeq de, Aameen Sum Aameen*

------------------------------------------------------

Share:

Nabi ka Farman.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُطَرِّفٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنْ غَدَا إِلَى الْمَسْجِدِ وَرَاحَ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُ نُزُلَهُ مِنَ الْجَنَّةِ كُلَّمَا غَدَا أَوْ رَاحَ"".

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जो शख़्स मस्जिद में सुबह शाम बार-बार हाज़िरी देता है। अल्लाह ताला जन्नत में इस की मेहमानी का सामान करेगा। वो सुबह शाम जब भी मस्जिद में जाये।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jo shakhs masjid mein subah shaam baar baar haazri deta hai, Allah taala jannat mein iski mehmani ka samaan karega, woh subah shaam jab bhi masjid mein jaye .“

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جو شخص مسجد میں صبح شام بار بار حاضری دیتا ہے۔ اللہ تعالیٰ جنت میں اس کی مہمانی کا سامان کرے گا۔ وہ صبح شام جب بھی مسجد میں جائے۔

🌺The Prophet ﷺ said, 'Allah will prepare for him who goes to the mosque (every) morning and in the afternoon (for the congregational prayer) an honorable place in Paradise with good hospitality for (what he has done) every morning and afternoon goings.'

📜 *wazahat:* hadees mein sunbah aur shaam ki namaz se  morad fajr aur isha ki namaz hai. paanch namazon mein se sab se ahem namaz Fajar ki hai jisay ada karte hi ek musalman apne din ka agaaz karta hai. isliye iska ehtimaam nihayat zaroori hai. iski fazeelat isliye bhi zeyada hai ke zaeef imam shakhs iski taaqat nahi rakhta balke munafiqeen par to iski adaigi be had mushkil hai. jaisa ke hamare rahabr e azam muhammad ﷺ ka farmaan hai: *Isha aur Fajar ki namaz munafiqeen par sabse zeyada bhaari hoti hai* [📗Bukhari: 657], aur Fajar ki ba jamaat namaz ek musalman ki sadaqat aur iska imaan parkhnay ki kasauti hai. Ek dusre moqam par nabi ﷺ ne farmaya: andhere mein fajar aur isha mein chal kar masjid aane wale ko qayamat ke din qamil noor (bharpoor ujale) ki basharat de do [📗Tirmidhi: 223]. Ek aur jagah nabi ﷺ ne farmaya: *jisne fajr ki namaz ba jamat padhi wo shakhs ALLAH ki zimmedari (khaas hifazat) mein dakhil ho gaya.* [📗sahih muslim: 1526]

📚 _*Sahih Bukhari: jild 1, kitab ul Azaan 10, hadith no. 662*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS