Bismillahirrahmanirrahim
✦ *RasoolAllah ﷺ par kitna durud padhna chahiye ?*
--------------
✦ Ubai ibn kaab Radi Allahu anhu se rivayat kiya ki Jab do tihayee raat guzar jati to Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam uth te aur farmate , Eh logo Allah ko yaad karo, Allah ko yaad karo soor ka waqt aa gaya hai aur uske baad dusri martaba bhi phunka jayega aur maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai,maut bhi apni sakhtiyo ke saath aa rahi hai، Ubai ibn kaab Radi Allahu anhu kahte hain ki maine arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam main aap par bahut zyada durud padha karta hu , aap mujhe bata dijiye ki main durud padhne ke liye kitna waqt muqarrar kar lu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho Maine arz kiya ek chothayee (1/4) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine arz kiya aadha waqt (1/2) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine arz kiya do tihayee (2/3) ? Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jitna tum chaho, magar is se zyada padhoge to tumhare haq mein behtar hoga,Maine Arz kiya to phir main har waqt aap par durud padha karunga to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir to ye durud tumhare sare gamo ko dur karne ke liye kaafi hoga aur iski wajah se tumhare gunah bakhsh diye jayenge
*Imam Tirimizi ne is hadith ko Hasan Sahih kaha hai*
-----------
Jamia Tirmizi, Jild 2, 347-Hasan,
Masnad Ahmad -20736-Hasan
Al-Baihiqi- 1416-Hasan,
Saheeh At-Targheeb ,1670-Sahih