📮 *Kya RAMADHAN me apni Zakaat nikalna Farz hai?*
◼Zakaat ka taluq Ramadhan se nahi hai. Lekin aksar Musalman Ramadhan ne apni Zakaat ka hisab karte hai aur apni zakat ko taksim karte hai. Haqiqat ye hai ke Zakaat tab nikali jaati hai jab Zakaat di jaane wale apne Maal par 1 saal mukkamal huwa ho. Ye ek sal Ramadhan me bhi Mukammal hosakta hai ya fir Islam ke dusre mahino me bhi hosakta hai jaise Muharram, Safar, Rajab Shawwal wagaira me. Isliye jab bhi apne maal ka 1 saal pura hojaye fauri Zaakat nikali jaye, Ramadhan ke mahine ka intezaar na kare.
◼Agar saare Maldar Musalman sirf Ramadhan me hi apni Zakaat nikalenge to baqi mahino me Garibo aur Miskino ko Kaun madad karega?
🔴 *Khulasa:*
◼Ramadhan ke Siyam (Roze) aur Zakat dono Mukhralif Farz ibadatein hai.
🥀 *_Allahu Aalam Bis-Sawab._*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*
🌸 *Composed by :* 🌸
🌈 *SIRF -*
*_Salsabiil Islamic Research Foundation._*
💚 *May Allah accept our small efforts and May Allah keep us away from RIYA and Guide us towards Path of Hidayah.*
*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*