find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label namaj ki tarika. Show all posts
Showing posts with label namaj ki tarika. Show all posts

Namaz-E-Nabwi (Part 6)

*📮NAMAZ E NABWI (Part - 6)*

______________________________________
ِ   
        *🍃بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ🍃 *

*🛑Ruku ke azkaar*

_Huzaifa Radiallahu anhu farmate hai ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam Ruku me_ _*“Subhana Rabbiyal Aazeem” farmate.*_
_📗(Muslim Hadees 772)_

_Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:_ _*“Jisne Ruku mein 3 baar “Subhana Rabbiyal Aazeem” kaha iska Ruku pura hogaya magar ye adna darja (kam az kam tadaad) hai.*_
_📚(Abu Dawood, Ibne majah)_
_(Ibne Kuzaima aur Immam Ibne Habbaan ne ise saheeh kaha)_

_Phir_
_*سمع الله لمن حمده*_
_(Sami Allaahu liman Hamidah) kahte hue apna sar uthaate aur Rafulyadain karte._
_📒(Sahih Bukhari :795,736)_
____________________________________

*🛑Ruku se sar uthakar sidhe khade hona*

_*Anas Radiallahu anhu hame Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki namaz ka tareeqa batate the chunanche Aap Sallallaho alaihi wasallam namaz padhte aur jab apna sar ruku se uthate to itni der tak khade rahte ke ham sochne lagte ke Aap sallallaho alaihi wasallam bhul gaye hai.*_
_📘(Sahih Bukhari, 800)_

_*Phir*_

_Jab Aap Sidhe khade ho jate to *رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ،*_
_(Rabbanaa wa Lakal- hamd) kahte ._
_📕(Sahih Bukhari : 797)_

_Rifaa bin Rafi Az-Zuraqi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Ham Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke piche namaz padh rahe the. Jab ap ruku se sar uthate to_
*سمع الله لمن حمده*
_Kahte. Ek shaks ne piche se kaha_

*رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ*

_(Rabbana Wa Lakal humdu humdan Kaseeran Taaiyiban Mubarakan Feeh)_
_Aap sallallaho alaihi wasallam ne namaz se farigh hokar dariyaft farmaya ke kisne ye kalimat kahe hain us shaks ne jawab diya ke "maine"_
_Is par Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya_
_*"Maine 30 se zyada farishto ko dekha ke wo in kalimat ko likhne me apas me sabqat kar rahe the(yani ke kaun pahle likhega iske liye apas me compete kar rahe the)*_
_📗(Sahih Bukhari : 799)_
_Isse in kalimat ki fazeelat sabit hui_

_*Phir Allahu Akbar kahte aur sajde me chale jate.*_
_📒(Sahih Bukhari : 789)_

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
            
🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS