SALAM KARNE KI FAZEELAT AUR USKI AHMIYAT
Prepared by : Bint Iqbal
Salam karne se dilon me mohabbat wa ulfat.
Allah Ta’ala ne salam ko aam karne ka hukum diya hai aur salam ka jawab wajib qarar diya hai, balke salam ko aise umoor mein shaamil farmaya hai ke jin ki wajah se musalmanon mein mohabbat aur ulfat paida ho .
Abu Hurairah Razi Allahu anhu se marwi hai ke Rasool’Allah ﷺ ne farmaya :
Tum us waqt tak jannat mein daakhil nahi ho sakte jab tak imaan na le aao, aur us waqt tak imaan wale nahi ban sakte jab tak tum bahami Mohabbat na karne lago, Kya mein tumhe aisi cheez na batlaoon jis ke karne par tum mohabbat karne lago❓
Aapas mein salam ko aam karo.
📚(Sahih Muslim : 54 )
__________________________________
Salam khair o barkat ka zariya
Farmaan e Ilahi hai :
”Bas jab tum gharon mein daakhil hone lago to apne ghar walon ko salam kaha karo, (Salaam) Allah Ta’ala ki taraf se nazil shuda dua e khair hai jo babarkat aur pakeeza hai.”
📚(Surah Noor : 61)
__________________________________
Islam ki behtar khaslat kaun si hai❓
Syedna Abdullah bin umro se riwayat hai, ek aadmi ne Nabi ﷺ se sawal kiya ke : Islam ki kaun si khaslat behtar hai ❓ Aap ﷺ ne farmaya : tum khana khilao aur sab ko Salaam karo ( chahe) tum usey pahchante ho ya nahi pahchante ho.
📚( Bukhari : 12 )
__________________________________
Musalman ke MUSALMAN par 6 huquq
Abu Hurairah RaziAllahu anhu se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya : MUSALMAN ke MUSALMAN par 6 huqooq hain, Poocha gaya : Aei Allah ke Rasool ﷺ wo kaun se huqooq hain❓ Aap ﷺ ne farmaya : Jab tum kisi MUSALMAN se milo to usko salaam karo. Jab woh tum ko dawat de to uski dawat qubool karo. Jab woh tum se Naseehat ( yani mashwara) talab kare to usko achi naseehat karo. Jab woh chheenk ke baad Alhamdulillah kahe to uski chheenk ka jawab Ya Rahmak Allah kaho. aur jab woh bemaar ho jaye to uski ayadat karo. Aur jab woh faut ho jaye to uski namaz e janaza mein jao.
📚( Muslim : 5389 )
__________________________________
Majlis se uthkar jaate waqt Salam karne ka bayan
Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya : jab tum mein se koi majlis mein pahunche to salaam kare, aur phir jab uth kar jane lagey to bhi salaam kare, kyunki pahla dusre se ziyada haqdaar nahi hai ( balki dono ki yaksaa ahmiyat o zaroorat hai, jaise majlis mein shareek hote waqt salaam kare aise hi majlis se rukhsat hote waqt bhi sab ko Salamti ki dua deta jaye ) .
📚(Sunan Abi Dawud :5208)
Note :-aksar logo me ye galati hai ke wo aate waqt to salaam karte hai lekin jaate waqt salaam nahi karte balki uski jagah sirf Allah hafiz waghiara kahte hain. Jabki Hame Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne aate aur jaate dono waqto me salam karna sikhaya hai.
__________________________________
Kaun kisko pahle salam kare❓
Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ”chhota bade ko salaam kare, guzarne wala baithne wale ko salaam kare aur choti jamaat badi jamaat ko Pehle salaam kare. “
📚(Bukhari 6231)
__________________________________
Apne bhai se Teen din se zyada talluq kaatna jayez nahin
Abu aiyub RaziAllahu Anhu bayan karte hain ke
Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ”kisi musalman ke liye jayez nahi ke woh apne kisi ( musalman ) bhai se teen din se ziyada talluq kaate ke jab woh milein to yeh ek taraf mun pher le aur dusra doosri taraf aur dono mein acha woh hai jo salaam pehle kare.
📚(Bukhari 6237)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
ماشاءاللہ ۔۔
ReplyDeleteBahut accha kam kar rahi hen app...