Wo aisee hadees tumko sunayenge jo tumhare baap dada ne nahi suni hogi to unse bachte rahna aisa na ho ki wo tumhe gumrah kar de
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya aakhri zamane mein dajjal aur kazzab (yani jhooth bolne wale) paida honge wo aisee hadith tumko sunayenge jo tumhare baap dada ne nahi suni hogi to unse bachte rahna aisa na ho ki wo tumhe gumrah kar de aur aafat mein daal de
*Sahih Muslim, Jild 1 , Muqadma (The Book of Introduction), 16
✦ Salama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan kare jo maine nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le
*Sahih Bukhari , Vol 1 , 109
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ’’آخری زمانے میں ( ایسے ) دجال ( فریب کار ) کذاب ہوں گے جو تمہارے پاس ایسی احادیث لائیں گے جو تم نے سنی ہوں گی نہ تمہارے آباء نے۔ تم ان سے دور رہنا ( کہیں ) وہ تمہیں گمراہ نہ کر دیں اور تمہیں فتنے میں نہ ڈال دیں۔*
*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا کہ جو شخص میرے نام سے وہ بات بیان کرے جو میں نے نہیں کہی تو وہ اپنا ٹھکانا جہنم میں بنا لے۔
*Aqeedah (Islamic Belief), Dajjal (Antichrist), Jhoot (Lie), Qayamat ki Nishaniya (Sign of Last day), Sahih Bukhari,Sahih Muslim*
*Aqeedah (Islamic Belief), Dajjal (Antichrist), Jhoot (Lie), Qayamat ki Nishaniya (Sign of Last day), Sahih Bukhari,Sahih Muslim*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
JazakAllah Khaira Kaseera
No comments:
Post a Comment