SHADI KE LIYE BUNIYADI SHART
AHLE TAWHEED KI SHADI AHLE SHIRK se HARAM hai
◼Is bareme Allah ka hukm is tarah hai.
وَلَا تَنكِحُوا۟ ٱلْمُشْرِكَٰتِ حَتَّىٰ يُؤْمِنَّ ۚ وَلَأَمَةٌۭ مُّؤْمِنَةٌ خَيْرٌۭ مِّن مُّشْرِكَةٍۢ وَلَوْ أَعْجَبَتْكُمْ ۗ وَلَا تُنكِحُوا۟ ٱلْمُشْرِكِينَ حَتَّىٰ يُؤْمِنُوا۟ ۚ وَلَعَبْدٌۭ مُّؤْمِنٌ خَيْرٌۭ مِّن مُّشْرِكٍۢ وَلَوْ أَعْجَبَكُمْ ۗ أُو۟لَٰٓئِكَ يَدْعُونَ إِلَى ٱلنَّارِ ۖ وَٱللَّهُ يَدْعُوٓا۟ إِلَى ٱلْجَنَّةِ وَٱلْمَغْفِرَةِ بِإِذْنِهِۦ ۖ وَيُبَيِّنُ ءَايَٰتِهِۦ لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَذَكَّرُونَ
*"Aur Shirk karne waali awrato se ta waqt ye ke wo Imaan na laaye tum nikaah na karo, Imaan waali Baandi (ghulam awrat) shirk karne waali Azaad awrat se bahut behtar hai go tumhe Mushrika hi acchi lagti ho aur na shirk karne waale mardo ke nikaah me apni awrato ko do jab tak wo Imaan na laaye, Imaan waala Ghulaam azaad mushrik se behtar hai go mushrik tumhe accha lage, ye log Jahannam ki taraf bulaate hai aur Allah Jannat ki taraf aur apni bakhshish ki taraf apne hukm se bulaata hai, Wo apni aayate logo ke liye bayaan kar raha hai, take wo Nasihat haasil kare".
(Surah Al Baqrah 02 : Ayat 221)
ℹ Aur Allah par Iman laane ka dawa karne walo me bhi aksar log Mushrik hai isliye Shadi se pahle hame chahiye ke Naam Nihad Musalman Dulha Dulhan ki taheqiq karle ke haqiqat me we Muslim hai ya nahi kyunke Allah ne khud kaha hai ke..
وَمَا يُؤْمِنُ أَكْثَرُهُم بِٱللَّهِ إِلَّا وَهُم مُّشْرِكُونَ
*"Un me aksar Allah par Imaan rakhne ke ba-wajood bhi Mushrik hi hai"
(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)
No comments:
Post a Comment