Kya MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA pahucha payenge?
🍃BismillahirRahmanNirRaheem🍃
Aye Nabi aap kah dijiye ke meri RAAH yahi hai, mai aur mere muttbayeen (pairokaar) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur mai mushriko me se nahi”.
📙(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)
🍃 “Un me se Aksar log (Majority) Allah par Imaan rakhne ke bawajood bhi MUSHRIK hi hai”.
📙(Surah 12 Yousuf: Ayat 106)
ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
🍃 “Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”._
📙(Surah 18 Kahf: Ayat 107)
🔴 MUSHRIK ke NEK aamaal (deeds) usko FAYDA nahi pahuchapayenge:
🍃 “Yaqinan teri taraf (yaani Muhammad s ki taraf) bhi aur tujh se pehle (ke tamaam Ambiya) ki taraf bhi wahee ki gayi hai ke agar tu (yaani Muhammad s) shirk kiya to bila shuba tera amal zaaya ho jayega aur bil yaqeen tu ziyaa kaaro me se ho jayega”.
📙(Surah 39 Zumar : Ayat 65)
🔻 Is Ayat me shirk karne walo ka anjaam bataya gaya hai. Waise Allah ke Ambiya aur Rasool Allah ke sath kabhi Shirk nahi karte lekin unko tambi (warning) ki gayi ke agar aap Nabi hokar bhi Shirk karenge to apke bhi zindagi ke saare aamaal barbaad kar diye jayenge, Jab Shirk kiye jaane par Allah Ambiya ko tak nahi bakshega to hamara kya haal hoga.
🔹Janab Muhammad s ko Nabi banaye jaane se pahle ke zamaane ko Zamaan-e-Jahiliayat kaha jata hai, us waqt Makka me ek bahot hi sakhi shakhs raha karta tha jiska naam “Abdullah bin Judaan” tha jo har saal aanewale Haajiyo ki mehman nawazi karta kiya karta tha lekin wo Mushrik tha. Isi ke bareme Ayesha (Rz) ne Nabi s se sawal kiya hai kuchh is tarah kiya tha:
🍃 Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz kiya ke :
“Judaan ka beta zamana -e-jahiliyat me sila-rahmi karta tha miskeeno ko khana khilata tha kya ye kaam use faida denge?” Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya : “Use kuch faida na denge kyunki usne kabhi yun nahi kaha: Aye mere Rabb! qayamat k din mere gunah maaf farma”.
📙(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
🔹Aaaj Ummat ke logo ka haal ye hai ke Allah ke sath Shirk bhi kar rahe aur sath sath me Salaat par Salaat(Namaze), Siyaam par Siyaam (Roze), Umre par Umre, Haj par Hajj adaa karte jaarahe hai. Kya inke saare aamaal Qayamat ke din kuchh kaam ayenge ?
🔹 Pyare Bhaiyo apke Nek aamaal (deeds) Allah ke paas qubul hona chahte ho to pahle apne Iman, Aqeeda, Manhaj ko sahih karlo iske baad agar aap jo bhi chhoti si chhoti neki karoge Allah ke paas uska bahot bada badla paaoge.
🔹Isiliye Allah ne irshad farmaya:
🍃 “Jo log Imaan laye aur Unhone Apne Imaan me Zulm (Shirk) Ki Milawat nahi ki to aise logo ke liye Aman Hai aur Yahi log Hidayat Paane Wale Hai”.
📙(Surah 6 An’am: Ayat 82)
🔴 Kafir-Mushrik ke liye Allah ke paas Azaab:
قُلْ هَلْ نُنَبِّئُكُم بِٱلْأَخْسَرِينَ أَعْمَٰلًا
🍃 “kah dijiye ke agar (tum kaho to) mai tumhe bata du ke ba-etebaare amaal sab se zyaada khasaare (nuksaan) me kaun hai?”
ٱلَّذِينَ ضَلَّ سَعْيُهُمْ فِى ٱلْحَيَوٰةِ ٱلدُّنْيَا وَهُمْ يَحْسَبُونَ أَنَّهُمْ يُحْسِنُونَ صُنْعًا
🍃 “Wo wahi hai ke jin ki dunyawi zindagi ki tamaam tar koshishe bekaar ho gayi aur wo usi gumaan me rahe ke wo bahut acche kaam kar rahe hai”.
أُو۟لَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ كَفَرُوا۟ بِـَٔايَٰتِ رَبِّهِمْ وَلِقَآئِهِۦ فَحَبِطَتْ أَعْمَٰلُهُمْ فَلَا نُقِيمُ لَهُمْ يَوْمَ ٱلْقِيَٰمَةِ وَزْنًۭا
🍃 “Yahi wo log hai jinhone apne parwardigaar ki aayato aur us ki mulakhat se kufr kiya is liye un ke amaal ghaarat (barbaad) ho gaye pas Qayaamat ke din hum un ka koyi wazan qaayam na karenge”.
ذَٰلِكَ جَزَآؤُهُمْ جَهَنَّمُ بِمَا كَفَرُوا۟ وَٱتَّخَذُوٓا۟ ءَايَٰتِى وَرُسُلِى هُزُوًا
🍃 “Haal ye hai ke un ka badla Jahannam hai kyunke unhone kufr kiya aur meri aayato aur mere Rasulo ko mazaaq mein udaaya”.
📙(Surah 18 Kahf : 102-106)
🔴 Iman walo ke liye Allah ke paas Inaam:
إِنَّ ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَعَمِلُوا۟ ٱلصَّٰلِحَٰتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّٰتُ ٱلْفِرْدَوْسِ نُزُلًا
🍃 “Jo log Imaan laaye aur unhone kaam bhi acche kiye yaqinan un ke liye Firdaus (Jannat) ke baghaat ki mehmaani hai”.
خَٰلِدِينَ فِيهَا لَا يَبْغُونَ عَنْهَا حِوَلًۭا
🍃 _”Jaha wo hamesha raha karenge jis jageh ko badalne ka kabhi bhi un ka iraada hi na hoga”.-
📙(Surah 18 Kahf : 107-108)
Wallahu Alam Sawab.
*☑||Appeal:- Yeh Message Sabko Share Kijiye, Yeh Kisi Ki Islaah Ka Zariya Aur Aapke Liye Hamesha Jaari Rehne Wala Sawaab-e-Jaariya Ban Sakta Hai.
No comments:
Post a Comment