Fajr ki 2 rakatein duniya aur jo kuch duniya mein hain un sabse behtar hai
Aisha Radhi allahu anha se rivayta hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya fajr ki 2 rakatein duniya aur jo kuch duniya mein hain un sabse behtar hai
📚Sahih Muslim, Vol 2, 1688
Abu hurairah Radhi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada karega , wo aisa hai jaise ki aadhi raat tak Ibadat ki , aur jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usne Sari raat Ibadat mein Guzari.
📚Sunan Abu Dawud, Vol 1, 553-Sahih
.
Ubayy ibn Ka'b Radhi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye do namazein ( Fajar aur Isha) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do namazon ka kitna sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey
📚Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
.
Samurah bin jundab Radhi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo subah ki Namaz ada kar le wo Allah subhanahu ke zimme (panah) mein hai
📚Sunan Ibn Majah, Vol 3, 827-Sahih
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment