find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaz-E-Nabwi (Part 1) namaj Ka Tarika Niyat Karne Se lekar Takbeer oula tak.

Namaj Ka Tarika Sahi Hadees Ki raushani me Takbeer-E-Oula Se Salam Tak

》Sahih Aahadees Ki Roushni Mein.
Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.
Izafa: Nadeem Shaykh.
بسم الله الرحمن الرحيم
NABI-E-KAREEM (ﷺ) NE FARMAYA:
“TUM IS TARHA NAMAZ PADHO JIS TARHA TUM MUJHE NAMAZ AADA KARTEY HUWE DEKHTEY HO.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 631]
_____________
HADEES E ABU HAMEED SAADI (RADHI ALLAHU ANHU)
Sayyiduna abu hameed saadi (radhi allahu anhu) se riwayat hai ke unhune Rasoolullah (ﷺ) ke 10 sahaba (radhi allahu anhum) (ki jammaat) mein kahan ke "main tum (sab) se zyada Rasoolullah (ﷺ) ka tariqa e namaz ko jaanta ho, sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ne kahan: wo kaise, na tou tum aap (ﷺ) ke paas ziyada aatey rahe ho aur na hum se ziyad aap ki sohbat mein rahe ho? unhune jawaab diya: han (waqai surate haal tou yehi hai)_ (ye sun kar) sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ney un se kahan: phir (hummare rubaru Rasoolullah (ﷺ) ki namaz) bayaan karo_ Sayyiduna abu hameed saadi (radhi allahu anhu) ne kahan:
 Namaz-E-Nabwi (Part 01)
Namaj Ka Sahi Tarika
 "Jab Rasoolullah (ﷺ) namaz ke liye khade hotey tou aapne dono hath kandho ke barabar utthatey phir takbeer (tehrima) kehtey, phir Qur'an padtey, phir (ruku ke liye) takbeer kehtey aur aapne dono hath kandho ke barabar utthatey, phir ruku kartey aur aapni hateliya aapne ghotno par rakhtey, phir (ruku ke dauraan) kamar seedhi kartey, bas na aapna sar jhukatey aur na buland kartey_(paeet aur sar hamwar rakhtey) aur phir apna sar ruku se uttahtey tou kehtey (sami allaahu liman hamidah), phir aapne dono hath utthatey yahan tak ke inhe apne kandho ke barabar kartey, aur (qaoma mein atmenaan se) sidhe khade ho jatey aur (Allahu'Akbar) kehtey, phir zameen ki taraf sajde ke liye jhuktey, bas apne dono hath (bazo) aur pehlo rano (aur zameen) se door rakhtey aur apne dono paaon ki ungliya khol letey (is tarha ke ungliyo ke sar qibla ruq hotey), phir apna sar sajde se utthatey aur apna bayan paaon mortey (bichaa letey), phir us par baithtey aur seedeh hotey yahan tak ke har haddi apni jagha par aajati (bade atmenaan se jals mein baithtey), phir (doosra) sajda kartey, aur (Allahu'Akbar) kehtey aur uthtey aur apna baya paaon mortey, phir us par baithtey aur dil jami se aitedaal kartey yahan tak ke har haddi apne thikane par aajati (atmenaan se jalse isterahat mein baithtey), phir (doosri rakat ke liye) khade hotey, phir is tarha dusri rakat mein kartey, phir jab do rakkat padh kar khade hotey tou (Allahu'Akbar) kehtey aur apne dono hath kandho ke barabar utthatey, jaise namaz ke shuru mein takbeer e oula ke waqt kiya tha, phir is tarha apni baqi namaz mein kartey yahan tak ke jab wo sajda hota jis ke baad salaam hai (aakhri rakkat ka dusra sajda jis ke baad baith kar tashahud, darood aur dua padh kar salaam phairtey hai) tou apna baya paaon (dayin pindli ke niche se) bahat nikaal letey aur bayin janib, kholey (sireen) par baithtey, phir salaam phairtey."
(ye sun kar) in sahaba kiraam (radhi allahu anhu) ne kahan: (aye abu hameed sadi!) tuney sach kahan: Rasoolullah (ﷺ) is tarha namaz padha kartey thaye...
[Sunan Abi Dawood Hadees: 730 Wa Sanadahu Sahih, Wa Jamia Tirmidhi #Hadees 304. Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad, Hadees: 491 Mein, Tirmidhi Ney Aur Nawawi Ney Al Majamo: 407/3 Mein Essey Sahih Kahan Hai] (is hadees se behat si baate maloom hoti hai jin mein se ek ye hai ke ke sahaba kiraam (radhi allahu anhum) ke nazdeek Rasoolullah (ﷺ) ki wafaat tak rafaulyadaeen mansooq nahi huwa)
_______________
NAMAZ KI NIYAT:
Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: “Aamalon ka daar-o-madaar niyaton par hai.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 1, Wa Sahih Muslim Hadees: 1907]
Niyat chuken dil se taluq rakhti hai, is liye zubaan se alfaaz aada karne ki zarorat nahi hai, aur niyat ka zubaan se aada karna Rasoolullah (ﷺ) ki Sunnat nahi hai aur na Sahaba (Radhi Allahu Anhum) ke Aamal se sabit hai, (lehaza zubaan se kehna Biddat hai) (tafseel ke liye namaz-e-nabawi safa 180 dekhe)
________
QIYAAM:
Sayyiduna Imran Bin Haseen (Radhi Allahu Anhu) bayaan farmatey hai: mujhe bawasiri ki takleef thi_ Nabi (ﷺ) ne farmaya:
“(Mumkin ho tou) khade ho kar namaz aada karo, aagar taqat na ho tou baith kar, aagar baith kar aada karne ki bhi taqat na ho to laeet kar (namaz aada karo).”
[Sahih Bukhaari Hadees: 117]
_________________
SAFO'N KO SEEDHA KARNA:
Anas RaziAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
‘Safo’n ko seedha karo aur aapas mein nazdeek, nazdeek khade ho tehqeeq main tumhei’n pas e pusht bhi dekhta hu’n (ye Aap ka muajjeza tha). Anas kehte hain ke ham mein se har shaqs (safo’n mein) apna kandha doosre ke kandhe se aur apna qadam doosre ke qadam se mila deta tha.’
(Sahih Bukhari: al Azan 725 – Muslim: 434)
Abdullah bin Umar se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya:
‘Safo’n ko qaem karo, kandhe baraabar karo, (safo’n ke andar) in jagaho’n ko pur karo jo khaali reh jaaei’n, apne bhaiyo’n ke hatho’n mein narm ho jaao, safo’n ke andar shaitan ke liey jagah na chodo aur jo shaqs saf milaaega Allah bhi ise (apni rahmat se) milaaega aur jo saf ko kaatega Allah bhi apni rahmat se isko kaat dega.’
{ Abu Dawood: 666 }
Ise Imam Haakim V1 P213, Imam Ibne Khuzaima (#549), Imam Zahabi aur Imam Nawavi ne Saheeh kaha.
_________________
TAKBEER-E-OULA:
Qible ki janib mou(face) kar ke (Allahu'Akbar) kehtey huwe rafaulyadaeen kare. yani dono hath kandhon tak utthayen_
Sayyiduna Abdullah Bin Umar (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai:
“Maine Nabi-E-Kareem (ﷺ) ko dekha, Aap ney namaz ki pehli takbeer kahi aur apne dono hath kandho tak utthayen.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 738]
Hath utthatey waqt ungliya (normal tariqe par) khuli rakkhaye. na ungliyo ke darmiyaan zyada fasla kare na ungliya milaye.
[Al Mustadrak Lil Hakim Hadees: 856 Wa Sanadahu Hasan Imam Hakim Ney Al Mustadrrak 234/1 Mein Aur Hafiz Zehbi Ney Essey Sahih Kahan Hai. Wa Sunan Abu Dawood Hadees: 753 Wa Jamia Tirmidhi Hadees: 240 Wa Sanadahu Hasan]
Rasoolullah (ﷺ) dono hath kandhon tak utthatey.
[Sahih Bukhaari Hadees: 735 Wa Sahih Muslim Hadees: 390]
Nabi-E-Kareem (ﷺ) (kabhi kabhi) hath kano tak buland farmatey.
[Sahih Muslim Hadees: [25] 391]
Wazahat: Hathon se kano ko chune ki koi daleel nahi hai, lehaza in ko chona biddat hai.
                      Namaz-E-Nabwi (Part 1)
Namaz-E-Nabwi (Part 2)    Namaz-E-Nabwi (Part 3)
  Namaz-E-Nabwi (Part 4)   Namaz-E-Nabwi (Part 5)
Share:

5 comments:

  1. Mashallah aap logo ko jo deen ki baat dusro tak failate hain Allah iska achha badla de ameen

    ReplyDelete
  2. Mashallah aap logo ko jo deen ki baat dusro tak failate hain Allah iska achha badla de ameen
    Please mujhe pdf send kar dijiye ga paanch part ka

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ye Panchon Part Ka Link Hai
      Part 1
      https://findmrf.blogspot.com/2019/01/namaz-e-nabwi-part-1.html
      Part 2
      https://findmrf.blogspot.com/2019/01/namaz-e-nabwi-part-2.html
      Part 3
      https://findmrf.blogspot.com/2019/01/namaz-e-nabwi-part-3.html
      Part 4
      https://findmrf.blogspot.com/2019/01/namaz-e-nabwi-part-4.html
      Part 5
      https://findmrf.blogspot.com/2019/01/namaz-e-nabwi-part-5.html

      Delete
    2. AGAR pdf Format CHahiye To Ye Hamra Telegram Hai No +13153051881 Hai Ispe Message Karen Ya Yahan Pe email ID Mention Karen Teesra Tariqa Ye Ho Sakta Hai Ke AAp 5 Part Ke Post Ko Mobie Ya Dektop Par print Kar Len Ye Khud PDF Me Save Ho Jayegi Jazak Allah

      Delete

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS