find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Namaz-E-Nabwi (Part 2) Hath Kaha Bandhna Hai Namaj Me.

 Namaj Ka Sahi Tarika Rafuldayein Se Qiraat tak, Niyat Kaise Ki Jani Chahiye?

NAMAZ MEIN IDHAR UDHAR NA DEKHE: (Part 02)
Anas bin Maalik RaziAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
‘Logo’n ka kya haal hai ke wo namaz me apni nigahei’n oopar uthaate hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne saqht tambeeh karte hue farmaya:
Log aisa karne se baaz aajaaei’n warna inki nazrei’n uchak lee (T: They will becom blind) jaei’ngi.’
{Sahih Bukhari: 750 }
Ummul Momineen Hazrath Aaisha RaziAllahu Anha bayan karti hai ke : “ Main ne Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam se namaz me idhar udhar dekhne ke bare me sawal kiya to Aap ne farmaya:
‘Namaz me idhar udhar dekhna bande ki namaz me shaitaan ka hissa hai.’
{Sahih Bukhari: al Adhaan 751}
                           Namaz-E-Nabwi (Part 1)
________________
RAFAULYADAEEN:
Yani dono hathon ka utthana namaz mein chaar jagha sabit hai:
Shuru namaz mein (takbeer-e-tehrima ke waqt),
Ruku se pehley,
Ruku ke baad aur
Teesri rakkat ki (shuruwaat)ibteda mein..
In maqamaat par Rafaulyadaeen karne ke dalail darj zail hai:
Sayyiduna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai: “Maine Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) ke peechey namaz padhi, wo namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur jab ruku se sar utthatey tou apne dono hath (kandho tak) utthatey thhey aur kehte thhey: maine Rasoolullah (ﷺ) ke peechey namaz padhi tou Aap (ﷺ) bhi namaz ke shuru mein, ruku se pehle aur ruku se sar utthaney ke baad (is tarha) rafaulyadaeen kartey thhey.”
[Sunan Al Kabeer Lil Bihaqi: 73/2 Wa Sanadahu Sahih, Imam Bihaqi Ney Kahan Ke Iske Tamaam Rawi Siqah Hai]
 Namaz-E-Nabwi (Part 01)
Namaj Ka Sahi Tarika
 Sayyiduna Ali (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke “Rasoolullah (ﷺ) namaz ke shuru mein, ruku mein jaaney se pehle ruku se sar utthaney ke baad aur do rakate padh kar khade hotey waqt rafaulyadaeen kartey.”
[Sunan Abi Dawood Hadees: 744, Wa Sanadahu Hasan, Imam Tirmidhi Ney Essey Hasan Sahih Kahan Hai]
Mazeed Dalail:
Sahih Bukhaari Hadees: 735, 738, 739 Wa Sahih Muslim Hadees: 390, 391, 401 Wa Sahih Sunan Abi Dawood Hadees: 730 Wa Sanadahu Sahih, Wa Jamia Tirmidhi #Hadees 304, Imam Ibne Hibbaan Ney Al Mawaarad Hadees: 491 Mein Aur Tirmidhi Ney Essey Sahih Kahan. Sunan Daarqutni Hadees: 16, Wa Sanadahu Sahih. (aur bhi behat se dalail maujood hai Alhumdulillah)
Hazrat Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Annhu) ki hadees bayaan karne ke baad imam ibne kuzaima is hadees ko riwayat karne ke baad farmatey hai: “Maine Muhammad bin Yahiya ko ye kehtey huwe suna ke jo shaks hadees-e-abu’hameed sunne ka bawajood ruku mein jatey waqt aur is se sar uththateu waqt rafaulyadaeen nahi karta tou uski namaz naqis hai.
[Saheeh Ibne Kuzaima Hadees: 588 Wa Sanadahu Sahih]
_________________________
SEENE PAR HATH BANDHNA:
Phir dayan(right) hath bayen(left) hath par rakh kar seene par bandha ley..
Sayyiduna Hulb Tayee (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke maine Rasoolullah (ﷺ) ko seeney par hath rakkhe huwe dekha.
[Musnad Ahmed: 226/5, Wa Sanadahu Hasan]
Sayyiduna Wail Bin Hujar (Radhi Allahu Anhu) Nabi-E-Kareem (ﷺ) ka namaz ka tariqa bayaan kartey huwe farmatey hai ke:
“Aap ney dayan hath bayen hath ki hateli (ki pusht) uske jod aur kalayi par rakkha.”
[Sunan Nasaayi Hadees: 890 Wa Sanadahu Sahih Essey Imam Ibne Hibbaan Al Mawarad Hadees: 485 Mein Aur Ibne Kuzaima Ney Hadees: 480 Mein Essey Sahih Kahan Hai]
Sayyiduna Sahal Bin Saad (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke lougon ko Rasoolullah (ﷺ) ki taraf se ye hukm diya jaata tha: “Namaz mein dayan hath bayen ziraa (kalayi) par rakkhe.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 740]
Seene par hath bandh kar ye dua padhe:
اللهمّ باعد بيني وبين خطاياى كما باعدتّ بين المشرق والمغرب اللهمّ نقّنى من الخطايا كما ينقّى الثّوب الابيض من الدّنس، اللهمّ اغسل خطاياى بالمآء والثلج والبرد
[Sahih Bukhaari Hadees: 744 Wa Sahih Muslim Hadees: 598]
Phir taauzu padhe:
اعوذ بالله السّميع العليم من الشّيطان الرّجيم من همزه ونفخه ونفثه
[Sunan Abu Dawood Hadees: 775 Wa Sanadahu Hasan, Imam Ibne Kuzaima Ney Hadees: 467 Essey Sahih Kahan Hai]
_______
QIRAAT:
Phir surah fatiha padhe...
Sayyiduna Anas (Radhi Allahu Anhu) farmatey hai ke Nabi(ﷺ) hazrat Abu Bakr aur Umar (Radi Allahu Anhuma) qiraat “alhumdulillahi rabbil aalameen” se shuru kartey...
[Sahih Bukhaari Hadees: 743 Wa Sahih Muslim Hadees: [52] 399]
Sayyiduna Anas (Radhi Allahu Anhu) kehtey hai ke maine Rasoolullah (ﷺ), Sayyiduna Abu Bakr (Radhi Allahu Anhu), Sayyiduna Umar Aur Sayyiduna Usman (Radhi Allahu Anhuma) ke peechey namaz padhi wo buland awaaz se “bismillah hir-rahman nir-raheem” nahi padhtey thhey.... (yane aap “bismillah hir-rahman nir-raheem” sirran(aahistey) padhtey thhey)
[Sahih Muslim Hadees: 399]
Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: “Jis shaksh ney (namaz mein) surah fatiha nahi padhi us ki namaz nahi.”
[Sahih Bukhaari Hadees: 756, Wa Sahih Muslim Hadees: 394]
Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
“Jis shaksh ney namaz padhi aur us mein surah fatiha na padhi, bas wo (namaz) naqis hai, naqis hai, naqis hai, puri nahi” Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se pouchha gaya ke hum imam ke peechey hotey hai (phir bhi padhe?) tou Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) ney kahan: (han!) tou isko dil mein padho.
[Sahih Muslim Hadees: 395]
Namaz-E-Nabwi (Part 3)     Namaz-E-Nabwi (Part 4)
            Namaz-E-Nabwi (Part 5)
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS