find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ghar Me Tasweer Wagairah Diwar Pe Lagana Haram Kyu Hai?

PHOTO  KI  HAQEEQAT
حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَفِظْتُهُ مِنَ الزُّهْرِيِّ كَمَا أَنَّكَ هَا هُنَا أَخْبَرَنِي عُبَيْدُ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي طَلْحَةَرَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""لَا تَدْخُلُ الْمَلَائِكَةُ بَيْتًا فِيهِ كَلْبٌ وَلَا صُورَةٌ"".
Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "( rehmat ke ) farishte un gharon mein nahi daakhil hotay jin mein kutta ya ( jandaar ki ) tasweer ho."
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرما یا: "( رحمت کے ) فرشتے ان گھروں میں نہیں داخل ہوتے جن میں کتا یا ( جاندار کی ) تصویر ہو۔"
 _The Prophet ﷺ said: "Angels do not enter a house that has either a dog or a picture in it."_
 *wazahat:* tasweer kashi aur photography ko islam ney haraam qarar diya hai.
imam Bukhari رحمۃ اللہ  ne tasweer ke mutaliq mustaqil ek unwan(Topic) qayam kiya hai, is mein bayan kardah ahadees ki roshni mein unke nuqsanaat se hum padhne walo ko aagah karte hain.
Aap ﷺ ne farmaya~
Qayamat ke din tasweer banane walay ko sakht tareen azaab se dochar kiya jayega.
_[Bukhari: 5950]_
tasweer banane wale ko bad-tareen makhlooq qarar diya hai.
_[Bukhari: 434]_
tasweer banane walon par laanat farmai hai. _[Bukhari: 5962]_
Aap ﷺ tasweer ya koi mujasma paate usay tor dete.
_[Bukhari: 5952]_
 *Note:-* Passport, identity card ya note par bane tasaveer apne paas rakhne ki gunjaish hai, kyun ke yeh ek majboori ki soorat hai.
 *_Sahih Bukhari: jild-4, kitab bd Al khalaq 59, hadith no 3322_*
 *اپنے گھروں کو فوٹوز/تصاویر سے پاک رکھیے تاکہ جن شیاطین ہمارے گھروں سے دور رہے اور رحمت کے فرشتے ہمارے گھروں میں آئیں*
*اللہ عمل کی توفیق دے آمین
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS