Apne Se Baro Aur Choto ka Adab-O-Ehtaraam Karna Kitna Ahem Hai?
Hadith : Jo Shakhs Hamare Choto Par Raham Na Kare Aur Hamare Bado Ka Ehatram Na Kare Wo Hum Mein Se Nahi Hai
Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:-_
Abdullah ibn Amr ibn Al-As Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wa Sallam Ne Farmaya:-_
Jo Hamare Choto Par Raham Na Kare Aur Hamare Bado Ke Huquq Ko Na Pahchane Wo Hum Mein Se Nahi Hai.
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1506 Sahih
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Maine Suna
Abu Qasim ( Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ) Ne Farmaya Jo Hamesha Sach Kahne Wale Aur Tasdeeq Ki Huyee Baat Kahte Hain Ki Meharbani Aur Rahamdili Sirf Usee Se Cheen Li Jati Hai Jo Badbakht Hota Hai.
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1505 Hasan
_✦ Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Ek Budha Shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi Wa Sallam Se Mulaqat Ke Liye Hazir Hua,
Logon Ne Usko Raasta Dene Mein Der Ki To Us Waqt Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shakhs Hamare Choto Par Raham Na Karen Aur Hamare Bado Ka Ehatram Na Kare Wo Hum Mein Se Nahi Hai.
*Jamia Tirmidhi Jild 1,1982-Hasan
No comments:
Post a Comment