Behtareen Biwi Ki Pehchan..
1. Jo Apne Shohar ki farmabardari aur khidmat guzari ko apna farz-e-azeem samjhe.
2. Jo Apne Shohar ke tamam huqooq ada karne me kotahi na karen.
3. Jo Apne Shohar ki khubiyon per Nazar rakhe aur uss ke Aib aur Khamiyon ko nazar-andaz karti rahe.
4. Jo Khud takleef utha kar Apne Shohar ko aaram pohchane ki humesha koshish karti rahe.
5. Jo Apne Shohar se uski Aamdani se zyada ka mutaliba na kare aur jo mil jaye uspar Sabr-O-Shukr ke sath zindagi basar kare.
6. Jo Apne Shohar ke siwa kisi Ajnabi Mard per nigah na dale na kisi ki nigah apne uper padhne de.
7. Jo Parde me rahe aur Apne Shohar ki Izzat-O-Namoos ki hifazat kare.
8. Jo Shohar ke Maal aur Makan-O-Saman aur khud Apni jaat ko Shohar ki amanat samajh ker har cheez ki hifazat-o-nigehbani karti rahe.
9. Jo Apne Shohar ki Musibat me Apni Jani-O-Maali Qurbani ke sath wafadari ka saboot de.
10. Jo Parhezgaari ki paband aur Deendaar ho, Huqooq Allah-O-Huqooq Ul Ibad ko ada karti ho.
11. Jo Padosiyon(Aurto) aur milne julne waali Aurton yaani saas, nanand, sasurali rishtedar ke sath Khush Akhlaqi aur sharaft ka bartao kare.
12. Jo Maika-O-Sasural dono Gharon me har dil Azeez aur Ba Izzat ho.
In’sha’Allah-Ul-Azeez ❗Allah Rabbul Izzat Hum tamam ko kehne sun’ne se jyada amal ki toufiq de. Ameen ❗❗❗
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
No comments:
Post a Comment