find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Acha Shauhar Kaise Bane?

Ache Shauhar ke Ander kaun kaun Si khoobiyan Honi Chahiye?

Assalamu alaikum wa rahmattullahi wa barkatuhu ....



Apni Biwi Se Acche Raha Karo.

Nikah ke teen bol padh lene ke baad Ladki apne Maa, Baap, Bhai, Bahen, apna pura Ghar khandan chhor kar Apne shohar ke Ghar aajati hai, jo ke us ke liye Bilkul Ajnabi hai, har koi cheez nayi hai, sab ko Apnane aur Nibhane ke liye tayyar hojati hai, to kya tum uski Qurbani ko nahi maanoge.
zara socho, Agar Bilkul is ka ulta hota, Aap ko ladki ki tarah Apna ghar khandan Maa, Baap, Bhai, Bahen chhor ke kisi Ajnabi khandan mein jana padhta to? Us waqt tumhare liye kitna Mushkil hota.
Isliye! Aurat ki Qurbaniyon ki Qadar karen aur us ke sath Accha Sulook karen.
Quran Mein ALLAH Ka Farman Hai,
وَ الَّذِیۡنَ یَرۡمُوۡنَ اَزۡوَاجَہُمۡ وَ لَمۡ یَکُنۡ لَّہُمۡ شُہَدَآءُ اِلَّاۤ اَنۡفُسُہُمۡ فَشَہَادَۃُ اَحَدِہِمۡ اَرۡبَعُ شَہٰدٰتٍۭ بِاللّٰہِ ۙ اِنَّہٗ لَمِنَ الصّٰدِقِیۡنَ ﴿۶﴾
Tarjuma:-
Jo log apni biwiyon per bad-kaari ki tohmat lagayen aur unn ka koi gawah ba-juz khud unn ki zaat kay na ho to aisay logon mein say her aik ka saboot yeh hai kay char martaba Allah ki qasam kha ker kahen kay woh sachon mein say hain.
(Surha Noor, 24 - Aayat No,6)
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya,..
"Tumme sabse behtar wo hai jo apni biwi se accha rahta ho."
Miya bivi ke bich sulha :-
.Quran Mein ALLAH me Farmaya hai ,

وَ اِنۡ خِفۡتُمۡ شِقَاقَ بَیۡنِہِمَا فَابۡعَثُوۡا حَکَمًا مِّنۡ اَہۡلِہٖ وَ حَکَمًا مِّنۡ اَہۡلِہَا ۚ اِنۡ یُّرِیۡدَاۤ اِصۡلَاحًا یُّوَفِّقِ اللّٰہُ بَیۡنَہُمَا ؕ اِنَّ اللّٰہَ کَانَ عَلِیۡمًا خَبِیۡرًا ﴿۳۵﴾
Tarjuma:- Agar tumhen miyan biwi kay darmiyan aapas ki ann bann ka khauf ho to aik munsif mard walon mein say aur ek aurat kay ghar walon mein say muqarrar karo agar yeh dono sulah kerana chahayen gay to Allah dono mein milaap kera de ga yaqeenan Allah Taalaa pooray ilm wala poori khabar wala hai.
( Surha Nissa 4 Aayat,35)
Behtareen Shohar Kaun
1- Jo Apni Biwi Ke Sath Narmi, aur acchi tarah se Pesh Aaye.
2 - Jo Apni Biwi Ka haque (Right) ada karne mein, apni haisiyat ke hisab se kisi tarah ki kami na rakhe
3 - Jo Apni Biwi Ka Iss Tarah Ho Kar Rahen Ke Kisi Ajnabi Aurat Per Nigah Na Dale.
4 - Jo Apni Biwi Ko Apne aaram, khushiyo mein shaamil rakhe.
5 - Jo Apni Biwi Per Kabhi Zulm na kare
6 - Jo Apni Biwi Ki kisi kharab baat par bhi sabr kare
7 - Jo Apni Biwi Ki acchaiyon Par Nazar Rakhe Aur chhoti-moti Galatiyon Ko Nazar Andaz Kare.
8- Jo Apni Biwi Ki Musibaton Bimariyon mein wafadari kare.
9 - Jo Apni Biwi Ko Parde Me Rakh Kar Izzat-O-Aabru Ki Hifazat Kare.
10 - Jo Apni Biwi Per Iss Tarah control mein rakhe ke wo kisi burai ki taraf na jaye.
11 - Jo Apni Biwi Ko islam par chalne ke liye Samjhata Rahe.
12 - Jo Apni Biwi Ko Zillat-o-Ruswayi Se Bachaye Rakhe.
13 - Jo Apni Biwi Ke jayaz kharcho mein Kanjoosi Na Kare.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS