find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label juma ke din o waqt jiske bare me Hadeeth me aayi hai ke jo bhi dua mangoge o qubool ki jayegi wo kaun sa waqt hai. Show all posts
Showing posts with label juma ke din o waqt jiske bare me Hadeeth me aayi hai ke jo bhi dua mangoge o qubool ki jayegi wo kaun sa waqt hai. Show all posts

Juma Behtareen Deen.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                  
         *اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*

    ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

1. Juma Behtareen Din:

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.

2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.

3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.

4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.

5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’

– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.

Mafhum-e-Hadith: Jumaa ke din mujh par zyada se ziyada durud Parha karo

Urdu Translation:

Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.

{SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih)}



🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

Share:

Juma Ke Din Qubooliyat Wali Ghadi.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆                  
         *اَلصَّــلٰوةُ وَالسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا رَسُوْلَ اللّٰه ﷺ*

    ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Juma Ke Din Qubooliyat Waali Ghadi:

♥ Hadees: Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ke din 1 Ghadi aisee hai ke jo Musalman is ghadi me Allah Ta’ala se Bhalaai ka Sawaal kare tou Allah Ta’ala isko Qubool karta hai aur Aap(ﷺ) ne hath se ishaara kiya ke ye Waqt Qaleel hota hai.’
– (Bukhari: al Juma 935 – Muslim: al Juma 852)

♥ Hadees: Abu Musa Asha’aree (R.A) se riwayat hai, Nabi-e-Rahmat(ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ki Qubooliyat ki Ghadi imam ke (mimbar par) baithne se lekar Namaz ke Khatme tak hai.’
– (Muslim: 753)

♥ Hadees: Jaabir bin Abdullah farmate hain ke Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya ke:
‘Is Ghadi ko Asr ke baad Talaash karo.’
– (Abu Dawood: 1048)

♥ Hadees: Anas bin Maalik (R.A) se riwayat hai ke, Rasool’Allah(ﷺ) ne farmaya:
‘Is Ghadi ko Juma ke din Asr se Ghroob-e-aftaab tak Talaash karo.’
– (Tirmizee: 489)

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: Jab Juma ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain

Urdu Translation:

Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aaney wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey(ram) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab Imam (khutba dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.

{Sahih Bukhari, Vol 3, 929}



*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS