🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*✦ Al Quran : Beshak Allah ki yaad se hi dilo ko sukun milta hai*
Surah Ar-Rad (13) , Verse 28
✦ Al Quran : Aur Allah ko bahut yaad karne waley mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai
Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
✦ Al Quran : Aur jo ALLAH ki yaad se ghafil ho jata hai to hum us par ek Shaitan muqarrar kar detey hain phir wo uska saathi ban jata hai
Surah Az-Zukhruf (43) , Verse 36
✦ Hadith: Abdullah bin Busr Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ek shaks ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se arz kiya Ya Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam Islam ke ahkam bahu zyada ho gaye hain , Aap mujhe koi aisee cheez bata dijiye jisko mein hamesha ke liye ikhtiyar kar lu to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tumhari zuban ko har waqt Allah subhanahu ke zikr se tar rakho
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 1299-Hasan
✦ Hadith : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye),
AAP Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se
badkar aur koi cheez nahi hai
Jamia Tirmidhi , vol 2, 1301 - Hasan
------------------
القرآن : سن رکھو کہ خدا کی یاد سے دل آرام پاتے ہیں
سورة الرعد ٢٨
القرآن : اور خدا کو کثرت سے یاد کرنے والے مرد اور کثرت سے یاد کرنے والی عورتیں۔ کچھ شک نہیں کہ ان کے لئے خدا نے بخشش اور اجر عظیم تیار کر رکھا ہے
سورة الأحزاب ٣٥
القرآن : اور جو کوئی خدا کی یاد سے آنکھیں بند کرکے (یعنی تغافل کرے) ہم اس پر ایک شیطان مقرر کردیتے ہیں تو وہ اس کا ساتھی ہوجاتا ہے
سورة الزخرف ٣٦
ایک آدمی نے کہا: اللہ کے رسول ﷺ اسلام کے احکام و قوانین تو میرے لیے بہت ہیں، کچھ تھوڑی سی چیزیں مجھے بتا دیجئیے جن پر میں ( مضبوطی ) سے جما رہوں، آپ نے فرمایا: ”تمہاری زبان ہر وقت اللہ کی یاد اور ذکر سے تر رہے
جامع ترمیزی جلد ٢ ١٢٩٩-حسن
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”کیا میں تمہارے سب سے بہتر اور تمہارے رب کے نزدیک سب سے پاکیزہ اور سب سے بلند درجے والے عمل کی تمہیں خبر نہ دوں؟ وہ عمل تمہارے لیے سونا چاندی خرچ کرنے سے بہتر ہے، وہ عمل تمہارے لیے اس سے بھی بہتر ہے کہ تم ( میدان جنگ
میں ) اپنے دشمن سے ٹکراؤ، وہ تمہاری گردنیں کاٹے اور تم ان کی ( یعنی تمہارے جہاد کرنے سے بھی افضل ) “ لوگوں نے کہا: جی ہاں، ( ضرور بتائیے ) آپ نے فرمایا: ”وہ اللہ تعالیٰ کا ذکر ہے“، معاذ بن جبل رضی الله عنہ کہتے ہیں: اللہ کے ذکر سے بڑھ کر اللہ کے عذاب سے بچانے والی کوئی
اور چیز نہیں ہے
جامع ترمیزی جلد ٢ ١٣٠١ -حسن
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆