find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label us ghar me Rahmat ke farishte dakhil nahi hote jaha kutte ya jandar chijon ki tasweer ho. Show all posts
Showing posts with label us ghar me Rahmat ke farishte dakhil nahi hote jaha kutte ya jandar chijon ki tasweer ho. Show all posts

Us ghar me Farishte Dakhil Nahi Hote Jaha Kutte ya jandar Chijon ki Tasweer ho.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَفِظْتُهُ مِنَ الزُّهْرِيِّ كَمَا أَنَّكَ هَا هُنَا أَخْبَرَنِي عُبَيْدُ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ ابْنِ عَبَّاسٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي طَلْحَةَرَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""لَا تَدْخُلُ الْمَلَائِكَةُ بَيْتًا فِيهِ كَلْبٌ وَلَا صُورَةٌ"".

🌹नबी अकरम ﷺ ने फरमाया: "( रहमत के ) फ़रिश्ते उन घरों में नहीं दाख़िल होते जिनमें कुत्ता या ( जानदार की ) तस्वीर हो।"

🌹Nabi kareem ﷺ ne farmaya: "( rehmat ke ) farishte un gharon mein nahi daakhil hotay jin mein kutta ya ( jandaar ki ) tasweer ho."

🌹نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرما یا: "( رحمت کے ) فرشتے ان گھروں میں نہیں داخل ہوتے جن میں کتا یا ( جاندار کی ) تصویر ہو۔"

🌹The Prophet ﷺ said: "Angels do not enter a house that has either a dog or a picture in it."

📜 *wazahat:* tasweer kashi aur photography ko islam ney haraam qarar diya hai. imam bukhari ra ne tasaveer ke mutaliq mustaqil ek unwan qaim kiya hai, is mein bayan kardah ahadees ki roshni mein un ke nuqsanaat se hum padhne walo ko aagah karte hain. Aap ﷺ ne farmaya~
💠Qayamat ke din tasaveer banane walay ko sakht tareen azaab se dochar kiya jayega. [📗Bukhari: 5950]

💠tasweer banane wale ko bad-tareen makhlooq qarar diya hai. [📗Bukhari: 434]

💠tasaveer banane walon par laanat farmai hai. [📗Bukhari: 5962]

💠Aap ﷺ tasaveer ya koi mujasma paate usay tor dete. [📗Bukhari: 5952]
Wagera....

*Note:-* Passport, identity card ya note par bane tasaveer apne paas rakhne ki gunjaish hai, kyun ke yeh ek majboori ki soorat hai.

📚 *_Sahih Bukhari: jild-4, kitab bd Al khalaq 59, hadith no 3322_*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS