*ꙮRoze ke jadeed tibbi masailꙮ*
*PART: 2⃣*
*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*
*🖋 Romanised By: Umar Asari*
*➓ Skin par maadde ka istemaal:*
Ilaaj ki gharz se ho ya shauq ke taur par, skin par kisi bhi qism ka tel, marham aur cream ka istemaal kar sakte hain.
“Skin par mali jaane wali koi bhi cheez masaam (skin ke chote chote suraakh jin se paseena nikalta hai) ke zariye skin ke neeche khooni mawaad mein jazb ho jaati hai lekin jazb hone ka yeh amal bahut sust hai. Lehaza skin par mali jaane waali cheez bhi naaqiz e roza nahi”.
*(Majmoo’ Fatawa Ibn e Taimiyah: 25/267)*
*⓫ Danton ki safaayi:*
Roze ki halat mein danton ki safaayi (scanning) ya daant nikalwaana ya danton ki islaah karna saare umoor jaaiz hain. Ehtiyaat ka taqaza yeh hai ke is amal ko raat ke liye mu’akhkhar kar den ya din mein aisa amal anjaam dene ki soorat mein danton se behne waala khoon halaq se neeche na utre. Danton ki safaayi mein istemaal hone waale teeke bhi roze ke liye nuqsaandeh nahi.
*⓬ Zakhmon ka ilaaj:*
Jism ke kisi hisse mein zakhm ho, rozedaar un zakhmon ka ilaaj kara sakta hai kiunki yeh amal na to khaane peene par qiyaas kiya jaayega aur na hi log ise khaana peena kehte hain.
*⓭ Spray ka hukm:*
Asthma ke mareezon ke liye spray ki zaroorat padti hai, yeh un ki sakht tareen majboori hai, aur islam mein qaida hai ke aadmi jis cheez ka muztarr hota hai us ke liye us cheez ka istemaal jaaiz hai. Irshad e baari Taala hai:
وَقَدْ فَصَّلَ لَكُمْ مَا حَرَّمَ عَلَيْكُمْ إِلَّا مَا اضْطُرِرْتُمْ إِلَيْهِ
*◈Tarjumah:◈* Aur jo cheezein us ne tumaahre liye haraam thehra di hain woh ek ek kar ke bayan kar di hain (be shak in ko nahi khaana chahiye) magar us soorat mein ke in ke (khane ke) liye majboor ho jao.
*(Surah Al-An’aam, Surah No: 6 Ayat No: 119)*
Lehaza asthma ka mareez roza rakhte huwe spray ka istemaal karega aur us ka roza durust hoga. Aur use rakhe gaye roze ki qaza nahi karni padegi.
Allah Taala ne Deen e Islam ko apne bandon ki khatir aasaan bana diya hai, hasb e sahoolat yani baqadr e istita’at deen par amal pera hona hamari awwleen zimmedaari hai. Jahan Allah Taala ne musafiron, mareezon aur ma’zooron ko rukhsat di hai wahan rukhsat par amal karna hi afzal hai aur rukhsat par amal karte huwe dil mein zarra barabar bhi tangi ka ehsas na paida hone paaye jaisa ke baaz makhsoos tabqon mein yeh dekha jaata hai.
*☘Alhamdulillah Completed☘*