find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Showing posts with label alah hmari dua kyu nahi sunta gau?. Show all posts
Showing posts with label alah hmari dua kyu nahi sunta gau?. Show all posts

Allah Ne Quran ko kyu Najil Kiya.

📮📮 *Allah ne Quran ko kyu naazil kiya*❓

*Allah ne Quran ko is liye naazil kiya taake us par amal kiya jaye.*

〽 *Daleel* :

✅Allah ka farman hai :

✏ _*Tum pairvi karo us kitab ki jo tumhari taraf tumhare Rab ki janib se utari gai hai.*_

📚QURAN: [AL AARAAF: 3]

📃Source : Sahih Islami Aqida book - Murattib - Asrar Ahmed Abdul Wahab Salafi

Share:

Allah ki Ibadat ke Liye Waqt Nikalo.

*Allah Ki Ibadath Ke Liye Waqt Nikalo, Warna ....... :*

Imam Tirmizi Rahimahullah Bayan Karte Hai:
حَدَّثَنَا حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ خَشْرَمٍ، أَخْبَرَنَا عِيسَى بْنُ يُونُسَ، عَنْ عِمْرَانَ بْنِ زَائِدَةَ بْنِ نَشِيطٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي خَالِدٍ الْوَالِبِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى يَقُولُ:‏‏‏‏    يَا ابْنَ آدَمَ تَفَرَّغْ لِعِبَادَتِي أَمْلَأْ صَدْرَكَ غِنًى وَأَسُدَّ فَقْرَكَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِلَّا تَفْعَلْ مَلَأْتُ يَدَيْكَ شُغْلًا وَلَمْ أَسُدَّ فَقْرَكَ  ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ، ‏‏‏‏‏‏وَأَبُو خَالِدٍ الْوَالِبِيُّ اسْمُهُ:‏‏‏‏ هُرْمُزُ.

Tarjuma: Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Farmaya: "Allah ta'ala Farmata Hai: Ibne Aadam! Tu Meri Ibadath Ke Liye Farigh hoja (yani waqt Nikal), Mai Tere Seene ko BeNiyazi Se Bhardoonga, Aur Teri Mohtaji Door Karoonga, *Aur Agar Tu Ne Aisa Na Kiya (Yani Allah Ki Ibadath Ke Liye Waqt Na Nikala) To Mai Tere Dono Haathon Ko Mashghool (busy) Kardoonga Aur Teri Mohtaji Door Na Karoonga."*
[Sunan Tirmizi:2466, Sunan Ibn Majah: 4107, Assaheeha:1359]

Allama Albani Rahimahullah Ne Ise Saheeh Kaha.
Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ne Ise Hasan Kaha.

Share:

Allah Subhanahu Ki Ata Ki Gayi Nemton Ke Zawal Se Bachhne Ki Dua.

Bismillahirrahmanirrahim

*✦ Allah subhanahu ki ata ki gayee naimato ke zawal se bachne ki dua*
---------------------
✦ Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki dua ye thi : 

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

✦ Allahumma innee Auzubika min zawali nimatika, wa tahawwuli Aafiyatik, wa fujaaaati nimatika wa jamee'e sakhatik.

✦ Tarjumah : Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se, aur teri ata ki huyee Aafiyat ke palat jane se , aur tere naaghani Azab se , aur  sab tere ghazab (gussey) wale kaamon se.
Sahih Muslim , 6943
-----------------------------
حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، کہا : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی دعاؤں میں سے ایک یہ تھی

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

 " اے اللہ! میں تیری پناہ چاہتا ہوں تیری نعمت کے زوال سے ، تیری عافیت کے ہٹ جانے سے ، تیری ناگہانی سزا سے اور تیری ہر طرح کی ناراضی سے ۔ "
صحیح مسلم ٦٩٤٣ 
----------------
✦ Abdullah bin Umar reported that The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam  supplicated in these words:

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

✦ Allahumma innee Auzubika min zawali nimatika, wa tahawwuli Aafiyatik, wa fujaaaati nimatika wa jamee'e sakhatik.

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS